Mera Pehla Pehla Pyar Chapter 21-22
Mera Pehla Pehla Pyar Chapter_21 Rishi Confronts Manish!! (Priyank Aur Naman Photos dekh rahe hote hai Aur Unke peeche Ek Board laga hua hota hai Bamboo ke Sahaare Woh Choot jata hai Aur Neeche Girta hai) Manish & Kritika(Ek Saath) : Priyank Naman!!! (Sab Chauk kar Reh Jaate hai) Rishi : Tum Dono Theek Ho na? Naman : Haa Yaar Accha Hua Tune Samay Par Humein Apni Taraf Kheech liya (Kritika Aur Manish Daudkar Priyank Naman ke Paas Aate hai) Kritika : Tum Dono Theek Ho Na Chott toh nahi aayi Tum dono ko? Manish : Haan Tum Dono Theek ho na? Naman : Haan Woh Toh Samay Par Rishi ne Humein Kheech liya Uski Taraf Warna yeh Bhaari Board Humpar Gir Jaata Kritika : Rishi.... Thank God Par Tum Pani Peene Gaye they na Rishi : Haa Main Pani Peene Jaa hi raha tha Ki Mujhe Naman Ko Kuch Batana Tha Isliye Jaise hi main Muda Maine dekha yeh board Wahaan se Choot raha hai Isliye Maine Inhe Kheech liya Naman : Accha Hua Yaar Warna Aaj Kya Ho Jaata Pata nahi.... Yeh Lakde ka Board hai...