Mera Pehla Pehla Pyar: New Season Chapter _19
Mera Pehla Pehla Pyar
New Season
Chapter _19
Sahil Ritu Akshay aur nishant college aa jate hai.
Announcement :-"aj college festival ka last day hai day ke khatam hote hi price distribution ka program hoga 12 to 5 festival ka time hai aur 6 to 7pm ko play hoga, students sabhi 5:30 tak hall main aa jaye thanks."
Sahil :-"jaise jaise time nikal raha hai vaise vaise mujhe bahut darr lg rha hai, pta nhi kya krunga main stage pe"
Akshay :- "sab theek hoga bs darr ko apne ander se nikaal do"
Ritu:- "tum dono ko thoda chill hone ki jaroort hai"
Nishant :-"haan Ritu bilkul theek bol rhi hai, main to bol rha hoo kucj gaming zone main jaa ke games kheel lo kaafi mind fresh hoga"
Ritu :-"kaafi acha idea hai"
Sahil Akshay ki taraf dekhta hai.
Sahil:- "chale?"
Akshay :- "haan haan kyun nhi"
Sahil aur Akshay game zone main chale jate hai.
Nishant:- " tum shop tak chalo mujhe class main jana hai kuch kaam hai"
Ritu:- "haan theek hai"
Nishant class room main chala jata hai aur Ritu shop aa jati hai, aaj phir ek rose shop ke table par pada hua dikhta hai, Ritu usko utha kar ek halki c smile deti hai.
Ritu:- "is nishant ko kya ho gya"
Us rose ko bhi vo ek book main rakh leti hai.
Ritu shop ka samaan phir se set krna shuru kr deti hai. Dheere dheere time nikalta hai aur festival shuru ho jata hai, kal ki tarah, aaj bhi Ritu ki shop pe kaafi rush hota hai. Ritu ki shop pe sahil Akshay nishant sabhi hote hai.
Pura din ache se nikal jata hai 5 baj jate hai.
Ritu:- "5 baj gye hai tum dono ko ab jana chahiye dress-up ho jao play shuru hone main ab tume bhi hai ho sake to ek baar rehearsal kr lo apni apni lines aur chill rehna"
Nishant :-"all the best"
Sahil:- "nishant all the best tumko bhi last credit tumhara hi hai"
Nishant :-"oh haan main to bhool gya tha last main to mera ek song play bhi hai"
Ritu :-"theek hai jao main aur nishant jldi se yeh shop band krte hai aur bacha hua samaan count kr ke pack kr lete hai, vapas krne ke liye aur amount bhi count krna hoga"
Akshay :- "theek hai kuch help krein kya hum"
Ritu:- "nhi Akshay kaafi help kr di tum sabhi ne aur etna acha output bhi nikla hai bs ab apne play pe Focus kro, aur agar main disappoint hue to dekh lena fr"
Akshay:- "i swear tum sab kaafi enjoy kroge play ko"
Nishant:- "ab bs yahan hi baatein kr kr ke time waste krna hai kya kuch kroge bhi"
Sahil :-"theek hai bbye milte hai"
Sahil aur Akshay shop se nikal ke rehearsal room ki taraf chale jate hai.
Kuch der baad....
Nishant :-"kaafi acha din rha aaj ka bhi"
Ritu:- "haan maine paise count kiye hai around 50k ho gye hai"
Nishant :-"wow kaafi achi earning hai yeh"
Ritu:- "yeh paiso se un logo ko kaafi help hogi"
Nishant :-"haan vo to hai"
Udher sahil aur Akshay apne apne look ke saath teyaar ho jate hai.
Play ka time aa jata hai.
Sabhi students hall main apni apni seats par baith jate hai.
Teacher:- "is saal ka college festival peechle sabhi kaalo ka record tod diya hai jahan pehle kuch log participate krte the activities main is saal hamare college ke aadhe se jyada stidents ne participate kiya, bhale unko chance na mila ho lekin kuch seekhne ka mauka hum sabko mila, hum sabhi unki himan to daad dete hai ki un sabhi ne himat dikhai audition dene ke liye aur un main se hum se kuch students ko select kiya hai. Aur aaj ka yeh play bahut khaas hai yeh koe prince aur princess ki kahani nhi hai, yeh ek aise ladke ki kahani hai jise pyar hota hai ek ladke, to kya vo apne pyar ko paa sakega ya is duniya ke khokhli soch kr degi unko alag, jaante hai is show ke jariye se, to shuru krne se pehle hum is show ke cast se mil lete hai.
************************************************
Show ka naam hai MERA PYAR.
Sahil perform as akash.
Akshay perform as aditya.
Paras perform as sagar (akash's brother)
Aditi perform as niti (akash's friend)
Krishna perform as mohan (akash's friend)
Tara perform as nandini (aditya's mother)
************************************************
Yeh hai hamare kuch cast jo is show main mukhya bhumila nibhayenge.
To chahiye shuru krte hai."
__________________________________
MERA PEHLA PYAR PYAR
The play
__________________________________
Play shuru hota hai play ke shuru main hum dekhte hai akash aur uska brother sagar apas main baatein krte hai.
Akash :-"bhaiya mera result aa gya hai"
Sagar:- "aree wah mujhe pta hai mera bhai to hamesha ki tarah first hi aaya hoga"
Akash( sad hoke bolta hai):- "im sorry bhaiya maine aapko is baar niraash kr diya"
Sagar:- "kya mtlb hai tumhara"
Akash:- "is baar ka exam kaafi tough tha main clear nhi kar paya"
Sagar :-"eher aao, koe baat nhi kabhi bhi khud ko kam mat samjhna, is baar nhi to agli baar hi ho jaega dont worry agli baar thoda jyada ache se padhna dekhna bahut ache marks aayenge"
Sagar akash ko hug krta hai, kuch der baad akash sagar se door ho jata hai aur joor joor se hasna shuru kr deta hai.
Sagar:- "kya hua aise paglo ki tarah kyun hass rhe ho"
Akash:- "maine top kiya hai is vale exam main mere marks pure school se bhi jyada aaye hai"
Sagar:- "ek pal ke liye to tumne dara diya tha mujhe"
Akash:- "lekin bhaiya aap kitne ache ho mujhe bilkul bhi nhi bola aur baaki logo ki tarah aapne bola bhi nhi mujhe, aap sabse ache bhai ho, mummy papa ke jane ke baad aap hi ho jisne mujhe mummy aur papa ka dono ka pyar Diya hai, ab meri baari hai aapko life ki sabhi khushiya dene ka, bs ek baar meri graduation ho jaye phir to ek achi job lg jaegi phir ache din hamare bhi aa jaenge"
Sagar:- "bahut badi badi baatein krne lg gya hai , mera chota bhai kab bada ho gya mujhe to pta hi nhi chala , vaise koe college dekha hai kya admission lene ke liye"
Akash:- "school ki tarah se ek college offer hua hai aur vo mujhe 100% scholarship de rhe hai"
Sagar:- "mtlb"
Akash:- "mtlb yeh ki main vahan pe free padhunga aur ek bhi paisa nhi lgega"
Sagar:- "kya hua aise paglo ki tarah kyun hass rhe ho"
Akash :-"maine top kiya hai is vale exam main mere marks pure school se bhi jyada aaye hai"
Sagar :-"ek pal ke liye to tumne dara diya tha mujhe"
Akash:- "lekin bhaiya aap kitne ache ho mujhe bilkul bhi nhi bola aur baaki logo ki tarah aapne bola bhi nhi mujhe, aap sabse ache bhai ho, mummy papa ke jane ke baad aap hi ho jisne mujhe mummy aur papa ka dono ka pyar Diya hai, ab meri baari hai aapko life ki sabhi khushiya dene ka, bs ek baar meri graduation ho jaye phir to ek achi job lg jaegi phir ache din hamare bhi aa jaenge"
Sagar :-"bahut badi badi baatein krne lg gya hai , mera chota bhai kab bada ho gya mujhe to pta hi nhi chala , vaise koe college dekha hai kya admission lene ke liye"
Akash:- "school ki tarah se ek college offer hua hai aur vo mujhe 100% scholarship de rhe hai"
Sagar :-"mtlb"
Akash:- "mtlb yeh ki main vahan pe free padhunga aur ek bhi paisa nhi lgega"
Sagar aur akash kaafi khush ho jate hai.
Sagar:- "theek hai, theek hai maine khana banaya hai tum fresh ho jao aur khaa lo aage bahut kaam jo karna hai life main"
Akash:- "ji bhaiya"
Akash ke college ka aj pehla din hota hai.
Sagar:- "akash, aaj tumhare college ka pehla din hai kaisa lg rha hai"
Akash:- "thoda sa nurvous hoo lekin acha bhi feel ho rha hai ki, ek new step le rha hoo main future ki taraf"
Sagar :- "ache se padhna aur mummy papa ka naam roshan krna"
Akash college aata hai. College ka mahol kaafi hi acha hota hai yeh ek international college hai jahan kaafi ameer logo ke bache padhte hai.
Akash ke man main kaafi saare khayal chl rhe hote hai. Sab mix feeling hoti hai.
Door se aditya aata hai.
Aditya:- "hey do you know where is principal's office"
Akash :-"sorry im new here i also trying do find that but not found yet"
Aditya:- "oh thats bad, chlo saath mil ke dhoondhte hai"
Akash:- "ya why not"
Aditya akash ko ek room main le jata hai jiske bahar ek board laga hota hai "principal office"
Aditya :-"shayad yeh hi hai office tum jao main ek mint main aaya"
Akash :-"theek hai thanks for helping"
Aditya vahan se chala jata hai aur akash room ke ander chala jata hai, ander jaate hi dekhta hai ki vo office nhi balki washroom hai.
Akash ko bahut gussa aata hai, vo bahar aata hai to dekhta hai aditya ke haanth main principal ke office ka fake board hota hai aur uske kuch dost uske saath hote hai jo akash ka mazak udda rhe hote hai.
Aditya:- "tumhe kya lga, is college main fresher aayenge aur hum senior unka mazak nhi banayenge"
Akash kuch nhi bolta hai aur vahan se chala jata hai.
Akash dobara park main aa jata hai.
Akash niti ko call krta hai.
Akash:- "hello kahan ho tum abhi tak college nhi aayi"
Niti :-"thoda trafic jyada ho gya hai bs pahunch gyi"
Akash :-"aur mohan kahan hai"
Niti :-"mere saath hi hai bs 5 minutes ruko hum aa gye"
Akash, niti aur mohan ka wait krta hai.
Mohan aur niti ke aane ke baad teeno principal office chale jate hai.
Nanditi (principal or aditya's mother) :-"shayad main galat nhi hoo to tum vo hi students ho jo yahan full scholarship pe aaye ho"
Akash:- "yes mam, hum bs kuch documentation ke liye aapka office khoj rhe the lekin.."
Nandini :-"lekin"
Akash "no mam its fine"
Nandini :-"yeh college no ragging policy pe kaam krta hai agar kuch hua hai to tum bata sakte ho"
Akash:- "mam kuch students the jo mujhe aapke office ki jagah washroom le gye aur prank kiya"
Nandini :-"unka name tumhe pata hai kya"
Akash :-"mam sabhi ka to nhi lekin un main ek aditya tha"
Nandini ek announcement krti hai "aditya jahan bhi ho principal office report kro"
Aditya principal ke office aa jata hai.
Aditya:- "yes mam aapne mujhe bulaya"
Nandini:- "maine kuch suna kya vo sach hai"
Aditya:- "mam hum sab bs mazak kr rhe the"
Nandini :-"tumhe pta hai college ke rules ke khilaf hai yeh sab abhi sorry bolo akash se tum"
Aditya thoda gusse se dekhta hai aur akash ko sorry bolta hai.
Aditya :-"sorry"
Akash kuch nhi bolta.
Nandini:- "aditya tum ab jaa sakte ho.
Aditya vahan se chala jata hai.
Nandini :-"aage se kuch bhi ho to tum sab yahan be jhijhak aa sakte ho, abhi jao class ka time ho rha hai.
Akash niti aur mohan "thanks mam"
Akash niti aur mohan class room main aate hai.
Teeno ek jagah jake baith jate hai. Aditya peeche baitha hota hai jo akash ko kaafi gusse se dekh rha hota hai.
Class over hoti hai. Aditya akash ke pass aata hai.
Aditya:- "tumhari himat kase hue meri mom se samne yeh sab bolne ki, yeh to shuruaat thi aage dekho tumhare saath kya hota hai"
Yeh bol ke aditya class se bahar chala jata hai.
Class ka ek student akash ko bolta hai.
"Nandini mam aditya ki mother hai aur jo bhi aditya se panga leta hai aditya usko chodta nhi ab tumhara jo hoga, tumhe to rab hi bachaye"
Akash kuch nhi sochta aur chill hoke ghr ki taraf aa jata hai. Niti aur mohan bhi apne ghr ki taraf nikal jate hai.
Akash :-"bbye niti bbye mohan kal milte hai, aur plz jldi aa jana late mt krna"
Niti :-"ya sure bbye"
Mohan:- "bbye"
Raaste main ek accident hua hota hai.
Akash utar ke jiska accident hua hota hai uski maddat krta hai yeh aditya dekh leta hai.
Akash us ladke ko utha ke apne auto tak le jata hai aur hospital tak le kar jata hai, vahan pe koe bhi uski help nhi krte bs sab khade hoke dekh rhe hote hai.
Aditya apni car main hota hai jo ki hospital tak uska peecha krta hai.
Aditya (khayal main):- "jaisa maine socha tha akash vaisa nhi hai, mujhe us se sache dil se maafi maangni chahiye"
Agle din akash college jata hai aur apni jagah baitha hota hai.
Class over hone ke baad aditya akash ke pass aata hai.
Aditya :-"mujhe sach main bura lg rha hai jo maine tumhare saath kiya im really sorry"
Yeh bol ke aditya vahan se chala jata hai.
Akash ko lgta hai ki yeh phir se koe na koe prank hoga, is liye vo aditya ko ignore krta hai.
Kuch din aise hi chalta hai roz aditya us se sorry bolta hai.
Ek din akash Aditya ko bolta hai.
Akash:- "aisa bhi kya ho gya jo roz sorry bol rhe ho"
Aditya:- "main roz tumhe sorry bolta hoo lekin kabhi bhi tum mujhe yeh nhi bolte ki tumne mujhe maaf kiya hai"
Akash:- "theek hai jao maine tumhe maaf kiya"
Aditya kaafi khush hota hai aur akash ko hug kr leta hai.
Akash kaafi hairaan sa hota hai. Aditya vahan se chala jata hai.
Niti :-"yeh aisa kyun kr rha kya hua isko"
Akash:- "mujhe kya pta kya hua usko"
Kuch din tak aise hi chlta hai.
Kuch months ke baad college ek camp ke liye jate hai.
Jahan sabhi students jaate hai.
Camp main sabhi ko do do students ko ek camp diya jata hai.
Aur aditya ka partner akash hota hai. Dono ek hi camp share krte hai.
Raat ka time hota hai. Aditya akash ho dekhta hai.
Aur akash ko purpose krta hai.
Aditya:- "tumhe ek baat bolu maine tumhe pehle din kaafi galat samjha tha lekin jab maine tumhe us din us insaan ki help krte dekhka tab se lekar aaj tumhara face meri aankon se jata hi nhi"
Akash:- "mtlb"
Aditya:- "shayad mujhe tumse pyar hai"
Akash:- "kya, yeh kya bol rhe ho tum"
Aditya:- "main tumhe pasand nhi hoo kya"?
Akash:- "nhi bilkul bhi nhi"
Aditya thoda akash ke pass aata hai "aur ab"
Akash:- "nhi"
Aditya thoda aur pass aata hai "aur ab?"
Akash :-"nhi"
Aditya akash ke bilkul pass aa jata hai "ab bhi nhi"
Akash thoda hasta hai aur aditya ko dhakka de kar camp se bahar aa jata hai akash ke chehre pe smile hoti hai.
Akash bahar ek bench pe baitha hota hai.
Aditya vahan aata hai,
Aditya:- " sach main tumhe main pasand nhi hoo kya"
Akash halki c smile deta hai aur bolta hai :-"nhi bilkul nhi"
Aur camp ke ander aa jata hai.
Aditya bhi ek halki c smile deta hai aur camp main aa jata hai.
Dono ko pta hota hai ki dono ek doosre ko pasand kr rhe hai.
Aadhi raat ko aditya soya hota hai aur akash aditya ki taraf bs dekhta rehta hai.
Aditya ki aankh khulti hai.
Akash peeche ki aur mud jata hai.
Aditya:- "pehle to mujhe dekh rhe the jab maine aapni aankhein kholi tab peeche mud gye"
Aditya akash ko apni taraf modta hai aur uske forehead pe ek kiss krta hai.
Camp khatam ho jata hai.
Kuch din aise hi khatam ho jate hai.
Aditya aur akash ke pyar ka phool khilne lgta hai.
Ek din aditya aur akash class room main hote hai aur vahan koe bhi nhi hota hai.
Aditya ne akash ka haanth pakda hota hai.
Niti un dono ko dekh leti hai, akash jldi se aditya ke haanth se apna haanth nikaal leta hai.
Niti:- "akash mujhe tumse baat krni hai"
Akash :-"haan bolo"
Niti :-"akele main"
Akash:- "tum aditya ke saamne bhi bol sakti ho"
Niti :-"kyun ab aditya tumhe hum sab se pyara ho gya hai jo usko jaane ke liye nhi bol rhe"
Akash:- "aisi baat nhi hai"
Niti :-"kya chl rha hai tum dono ke beech"
Aditya :-"is se tumhe kya"
Niti :-"akash tumse poocha hai tum bolo"
Akash:- "hum dono ek doosre ko pasand krte hai, aur main tumhe sab sach batane vala tha"
Niti :-"chee ek ladka hoke doosre ladke se pyar, mujhe sharam aa rhi tumhe apna dost bolte hue"
Akash :-"niti aisa mt bolo main vo hi insaan ho jisko tum aapa best friend bolti thi"
Mohan bhi room main aa jata hai.
Mohan:- "kya ho rha hai"
Niti:- "main batati hoo, yeh dono ek doosre ko pasand krte hai friends vala nhi boyfriend vala"
Mohan:- "kya agar mujhe yeh sab pehle pta hita tumhe kabhi apna dost nhi banata, ab tk tumse drr lg rha hai mujhe, hum ne kitni raat nightout kiya hai, kya pta raat ko uth uth ke mujhe dekhte hoge tum"
Akash ko kaafi gussa aata hai aur vo mohan ko ek thapad lga deta hai.
Akash:- "you know what, ab mujhe sharam aa rhi etni ghatiya soch vale log mere dost the, tum kya dosti khatam kroge main yeh khokhli dosti khatam krta hoo, aditya chalo yahan se, aise logo ke beech mujhe nhi rehna jo uper se kuch aur ander se kuch aur ho"
Aditya aur akash bahar aa jate hai.
Akash kaafi rota hai.
Aditya:- "babe khayal rakh apna sab theek ho jaega"
Akash (rote hue):- "maine etna kiya apne dosto ke liye aur yeh dost mujhe aisa bol rhe hai, kya meri sexuality ke karan main alag insaan ho gya hoo kya"
Aditya:- "tumhe pta hai na chahe jo bhi ho jaye main tumhe hamesha pyar krta rhunga"
Dono hug krte hai.
Aditya apne ghr aa jata hai.
Aditya ki mummy sofa pe hoti hai, aditya unke pass jake baith jata hai.
Adity:-a "mom mujhe kuch batana hai aapko"
Nandini :-"haan bolo"
Aditya:- "aapko pta hai main aur akash bahut ache dost ban gye hai"
Nandini :-"yeh vo hi akash hai jisse tumne bully kiya tha uske first day pe"
Aditya:- "ji mom, lekin ab main bilkul badal gya hoo"
Nandini :-"chlo achi baat hai"
Aditya:- "mom ek baat hai jo mujhe aapko batani hai, vo vo a.. akash mera friend nhi balki mera b b bo boy friend hai"
Nandini :-"mtlb"
Aditya :-"hum dono ek doosre se pyar krte hai dosto ki tarah nhi lovers ki tarah"
Nandini (pyar se aditya ko poochti hai) :-"are you gay"
Aditya(drr ke):- "ji mom"
Nandini aditya ko gale lagati hai.
Nandini :-"tumhe pta hai main tumhe hamesha pyar krungu chahe jo mrzi ho jaye, aur dekho akash ke tumhe badal ke kitna acha insaan bana diya"
Aditya:- "aap gusse nhi ho na"
Nandini:- "main kyun gusse hoongi, yeh sab normal hai aur mujhe tum par proud hai ki tumne aapne baare main jana aur mujhe bataya"
Aditya :-"thanks mom i love you love you so much"
Nandini ki aankon main paani hota hai aur aditya ke aankon main bhi.
Akash next day college jata hai.
Akash aur aditya dono ek room main baithe hote hai haath pakad ke, tabhi vahan akash ka brother sagar aa jata hai.
Sagar (gusse se):- "akash"
Akash apne bhai ko bahar dekh ke dre jata hai vo bhaag ke room ke bahar aata hai.
Akash :-"bhaiya aap yahan"
Sagar :-"tumhari book reh gyi thi socha college ja ke de aau, jaroori hoga kuch, lekin yahan aake dekha to tum ek ladke ke saath.. cheee"
Akash:- "bhaiya main sab kuch samjha sakta hoo"
Sagar:- "ab kuch samjhne samjhane ke layak nhi hai, dekh liya maine yahan kon c padhai ho rhi hai, ab koe padai nhi ghr pe rho aur ghr ki dukaan pe kaam kro"
Akash:- "lekin"
Sagar :-"bs"
Sagar akash ko vahan se lekar chl jata hai..
Kaafi din beet jate hai akash college nhi aata hai.
Ek din yeh saari baat aditya apni mom ko batata hai.
Nandini:- "to uske ghr jana chahiye"
Aditya :-"theek main mom main kal uske ghr jata hoo"
Nandini :-" main bhi saath main chalungi"
Aditya :-"mom i can manage"
Nandini:- "mujhe pta hai lekin bs is topic pe koe aur behas nhi main chl rhi hoo to chl rhi hoo"
Nandini aur aditua akash ke ghr aa jate hai.
Aditya:- "mon aapke kehne par aap yahan aa gye ab mujhe uske ghr akele jane do plz aap mera car main wait kro main jldi aa jaunga"
Nandini :-"are you sure"
Aditya haan main apna ser hilata hai aur akash ke ghr ki taraf chala jata hai.
Aditya door knock krta hai, ander se sagar bahar aata hai.
Aditya:- "bhaiya akash hai"
Sagar:- "kya kaam hai"
Aditya :-"main uske college se uska dost hoo"
Sagar :-"tum to vo hi ho na, niklo mere ghr se akash yahan nhi hai"
Aditya:- "lekin mujhe us se baat krni hai, vo theek hai na"
Sagar:- "ek baat bola na sunai nhi deta kya"
Aditya:- "lekin"
Sagar aditya ko dhakka deta hai, aditya bahar jake girta hai.
Nandini door se yeh dekh leti hai aur car se nikal ke aditya ke pass pahunch jati hai.
Nandini :-"kaise insaan ho tum"
Sagar:- "dekhiye mujhe aap logo se kuch lena dena nhi hai, mujhe aur mere bhai ko maaf kro aur nikal jao yahan se faltu ka tamasha mt banao"
Nandini :-"tamasha, hum bana rhe ya tum, jab koe insaan ek doosre ko pasnad krte hai to tum kon hote ho unko pyar krne se rokne ke liye"
Sagar:- "pyar haan, vo sirf ek ladka aur ladki main hi hota hai, yeh sab gandhi tum ameero main hoti hogi hamare yahan nhi hoti yeh cheeze"
Akash bhi vahan aa jata hai, jo market kuch samaan lene gya hota hai.
Akash, aditya ko neeche pada dekh ke bhaag ke aditya ke pass jata hai.
Akash:- "tum theek ho na"
Aditya :-"tum theek ho?"
Sagar gusse se un dono ko dekhta hai.
Sagar :-"akash ghr ke ander chlo"
Akash kuch nhi bolta air aditya ke pass hi rehta hai.
Sagar :-"akash maine kya bola tumne suna nhi kya, ghr ke ander chlo"
Akash:- "nhi bs, (akash khada ho jata hai) bs bhaiya bs main ab aur nhi darne vala, main aditya se pyar krta hoo aur main usko chodd ke kahin nhi jane vala"
Sagar :-"aaj tumhe vo log ache lgne lg gye, maine mummy papa ke jaane ke baad tumhara khayal rakha, apne saare sapne tod kr tumhare saare sapne pure kiya, bs isi din ke liye jab tum mujhe chodd ke........"
Akash:- "aapne mere liye bahut kiya hai lekin bhaiya main apna pyar nhi chodd sakta hoo, aapne kehne pe maine apna college chodd diya aditya se baat krna chodd diya, lekin ab nhi main usko pyar krta hoo aur main usko aise hi takleef mai nhi dekh sakta"
Sagar:- "agar yeh hi baat hai to aaj se tera mera rishta khatam"
Akash ki aankon se paani aane lg jata hai.
Akash apne bag se rat poison nikalta hai.
Akash:- "aap mera pyar kabhi accept nhi kroge aur na hi main apne pyar ko chod sakta hoo, is se acha hai main apni life hi khatam kr doo"
Akash poison pee jata hai, aur vahin behosh ho jata hai.
Aditya bhaag ke akash ke pass jata hai.
Aditya:- "nhi nhi please nhi please yeh kya kiya please uth jao"
Nandini:- "aditya akash ko car tak le kar aao jldi se hospital ke kar jana hoga"
Nandini aditya, akash ko hospital tak le jate hai.
Sagar ek status ban ke vahain khada rehta hai uski aankon se paani aa rha hota hai. aisa lgta hai jaise sagar kisi coma main hai..
Kuch der baad….
Sagar:- "yeh kya ho gya mera akash theek to hoga, mujhe hospital jana chahiye"
Sagar bhi hospital pahunchta hai.
Aditya:- "aab aap yahan kyun aaye ho, uski halat ke jimewaar aur koe nhi bs aap ho, bs aap"
Sagar kuch nhi bolta.
Nandini doctor se baat kr ke aati hai.
Nandini:- "akash abhi khatre se bahar hai aur kuch der main usko host bhi aa jayega"
Akash ko host aata hai.
Aditya sab se pehle akash ke pass jata hai.
Aditya:- "aage kabhi bhi aisi harkat ki to main bahut maarunga tumhe, pta meri jaan nikal gyi thi tumhe aisi halat main dekh ke"
Door se sagar akash ko dekhta hai. Aur uski aankon main paani hota hai.
Sagar dheer dheer akash ke pass jata hai.
Sagar :-"main kitna galat tha, meri zidd ke aaj tumhari life khatre main daal di thi, maine aditya ko dekha vo tumha khayal mere se bhi acha rakhta hai, shayad aditya hi tumhare liye sabse achi choice hai"
Akash, sagar ka haath pakadta hai "bhaiya aap meri life ka bahut hi important hissa ho jab aapne bola ki aap mere se roshta tod rhe ho mujhe kuch samjh nhi aaya aisa lga jaise meri puri life hi khatam ho gyi hai"
Sagar :-"aditya aur tumhara rishta mujhe manzoor hai, main tumse maafi maangna chahunga jo galti maine ki"
Nandini aur aditya ki bhi aankon main paani hota hai.
Kuch din baad akash bilkul sahi ho jata hai.
Akash phir se college jana shuru kr deta hai.
Ek din akash college main hota hai.
Niti uske pass aati hai.
Niti :-"akash im really sorry jo bhi maine bola, ab tumhari halat kaisi hai"
Akash :-"tumhe to chee vaali feeling aati hai na mujhe dekh ke phir abhi aisa kyun"
Niti :-"mujhe pta hai main bahut galt thi kuch din baad mujhe realise hua main kitni galat thi, maine aur mohan se socha hum maafi maang lenge phir yeh sab ho gya, main aur mohan roz hospital bhi aate the lekin kabhi bhi himat nhi hue tumse baat krne ki, kyunki humne bahut takleef di thi tumhe"
Akash niti ko hug krta hai :-"tumhe pta kitna akela ho gya tha main"
Niti:- "im so sorry, friend forever will be always forever"
Niti vahan se chali jati hai.
Aditya akash ke pass aata hai.
Aditya:- "kya hua friends se patchup ho gya, maine bola tha na sab theek ho jaega"
Akash:- "haan sab theek ho gya theek nhi sab perfect ho gya"
Akash aur aditya ek doosre ko kiss krte hai..
Play khatam ho jata hai......
************************************************
Last main nishant ka ek song play hota hai.. jo nishant khud stage pe khada hoge gaata hai aur play ki puri team ek ek krne stage pe aati hai..
Sabhi students ki aankon main paani hota hai.
Teacher:- "well well well kaafi emotional play tha, aap sabhi ka yahan aane ke liye bahut bahut dhanyawad, hum sab vaise to pure saal college main milte rhenge kuch college passout ho ke next level ki taraf badh jayenge aur kuch ek class se doosri class, aur is life ka safar aisa hi chlta rhega, final accountent. Price aur awards distribution aaj cancel ho gya hai is liye vo kal kiya jaega, sabhi students ko request ki jati hai vo 12 to 2pm college aa jaye thankyou"
Sabhi students hall se bahar aa jate hai.
Ritu :-"wah wah wah, kya play tha just wow, jab tumne vo poison piya mujhe to goosebumps aa gye aisa lg rha tha jaise yeh sab sach main ho rha hai"
Sahil :-"thanks hum sabhi ne kaafi mehnat ki thi"
Akshay:- "hamara yeh show college ki website pe aaj kuch der main release ki jaegi tab pta lgega is show ki rating aur public review"
Nishant:- "mere gaane ki bhi taarif kr lo"
Ritu :-"ooww mere nishu tum to best ho sachi"
Nishant :-"sachi"
Ritu :-"haan pkka"
Nishant :-"pakka"
Ritu :-"ab yeh jyada ho rha hai, bekaar tha song tumhara"
Chaaro zor zor se hasne lgte hai..
Pura college sahil aur Akshay ko aake unke kaan ki taarif krte hai aur unke saath selfie lete hai..
Ritu:- "wah tum dono to ab star ho gye ho"
Ek hot ladki nishant ke pass aati hai.
Ladki:- "tumhara gaana kaafi acha tha, can i have your autograph?"
Nishant :-"haan haan kyun nhi lekin kahan"
Ladki :-"mere haantho par"
Nishant ladki ka haanth pakad ke autograph deta hai.
Ladki autograph pe kiss krti hai aur vahan se chali jati hai.
Nishant Ritu ki taraf dekhta hai.
Ritu ko kaafi gussa aata hai :-"can i hve your autograph huh..."
Nishant :-"kitne pyar se bola maine de diya"
Ritu :-"haan haan theek hai mujhe to bula mt ab"
Ritu vahan se chali jati hai.
Nishant:- "begam sahiba rooth gyi hai manana padega"
Sahil :-"jao jao"
Nishant bhaa ke Ritu ke peeche peeche chala jata hai.
Sahil:- "aur aditya mera hamesha saath doge"
Akshay:- "bilkul akash kabhi bhi tumhara haath nhi chodunga"
Sahil:- "pkka"
Akshay :- "pkka"
Sahil:- "sach main"
Akshay ajeeb sa muh banata hai. Dono hasne lg jate hai.......
To aap sabhi ko kaisa lga play. Mujhe aapa review jaroor share karna.
Ek story ke saath doosri story free.
Hope mera yeh idea aap sabhi ko kaafi acha lgega.
To be continued…
Comments
Post a Comment