Mera Pehla Pehla Pyar: New Season Chapter 4-6

 Mera Pehla Pehla Pyar


Chapter-4


 Lunch


1 bajte hi sahil apne class se bahar aata hai.


Ritu:-"ab yahan hi khade hone ka erada hai ya ghr bhi jana hai?"


Sahil:- "nhi vo nimam, i mean vo ladka mila tha Library jane time to uska kuch kaam hai to usne bola hai ki vo mere saath market jaega"


Ritu:-"acha college aaye nhi aur new dost banana shuru bhi kr diya, achi baat hai bhai hum to ab purane ho gye hai"


Sahil:- "bs bs ab etna bhi dramatic mat ho tumhe pta hai tum mere liye kitni importance ho aur main tumhare liye"


Ritu:-"kisne bola tum mere liye important ho"


Sahil:- "oh acha aisi baat hai"


Dono jor jor se hasne lg jate hai.


Ritu:-"acha main chlti hoo kaam jldi khatam kr ke ghr chl jana aur text kr dena, vrna kya pta serial killer nikla vo to".


Sahil:- "oh haan location bhej doonga koe na"


Ritu (hasne lgti hai):- "chl chl main chlti hoo bbye kl milte hai".


Sahil:- "haan theek bbye"


Sahil college ke gate pe kaafi time se khada rehta hai lekin Akshay nhi aata.


Sahil apni ghadi ki taraf dekhta hai time 2 bj chuke hote hai lekin Akshay ka koe ata pta nhi hota.


Sahil ke pass to Akshay ka number bhi nhi hota jis se vo Akshay ko call kr ke pooch le sahil kaafi gusse hota hai aur auto se ghr aa jata hai.


Sandhya:- "beta etni jldi aa gye?"


Sahil:- "haan vo aj half day ho gya"


Sandhya:- "acha theek hai fresh ho ja main khana lgati hoo"


Sahil:- "abhi bhookh nhi hai jab bhookh lgegi main khaa loonga mummy"


Sandhya:- "acha theek hai apne room main ja kar araam kr le"


Sahil:- "papa?"


Sandhya:- "vo kaam pe, bank ki chutti 5 bje to vo ussi time aayenge"


Sahil:- "lekin aj to bank ki chutti thi na"


Sandhya:- "haan bank band hai lekin staff ko bulaya hai kuch pending work khatam krne ke liye"


Sahil:- "oh acha chutti vale din to chod dete yeh log "


Sandhya:- "chlo ab kya kr sakte hai kaam hai krna to padega hi"


Sahil:- "chlo main jata room main so jaunga neend aa rhi mujhe".


Yeh bol ke sahil apne room main chala jata hai.


"Agar nhi aana tha to atleast bol deta kya fyda tha etni badi badi baatein krne ka 1 bje lunch oe chlte hai, main etna kyun soch rha hoo, lekin kyun na sochu agar kisi se promise kiya to pura bhi to krna chahiye, kya pta koe kaam aa gya hoga, lekin kaam aa bhi gya to inform bhi to kr sakta tha, kahin kuch emergency to nhi aa gyi, etni bhi kya badi emergency thi jo mujhe inform nhi kr sakta tha"


"Yeh kya sochi ja rha main mujhe khud hi nhi pta chl rha"


Sahil bed le let jata hai aur sone ki kaushish krta hai lekin har baar vo so nhi paata baith jata aur fr se kuch na kuch sochne lg jata hai.


Tabhi usko gussa aata aur vo apna muh takiye ke beech main de kr sone ki kaushish krta hai.


Kaafi time beet jata hai sahil gehri neend main hota hai.


Usko khawaab aata hai ki..


Vo apne room main soya hua hai aur Akshay uske room main aata hai.


Akshay ne tight black jean pehni hue hai aur loose t-shirt halke paire se vo sahil ki taraf badhta hai aur sahil ke pass ja kr baith jata hai, Akshay apna haath sahil ke face ke uper se laate hue use chest tak pahunch jata hai, fr vo apna face sahil ke gardan pe slowly slowly le kr jata hai, sahil ki neend khulti aur Akshay ko vo door kr deta hai. Akshay kuch nhi bolta lekin fr sahil Akshay ke kareeb jana shuru kr deta hai jaise hi sahil Akshay ko kiss krne ki kaushish krta hai...


Sandhya:- "sahil sahil sahil "


Sahil ki neend sach main khul jati hai vo edher udher dekhta hai saamne uski mummy khadi hoti hai.


Sandhya:- "tumhara koe dost neeche aaya hai tumhe bula rha hai".


Sahil (neend vali awaaz main):- "koun aa gya etni subah subah"


Sandhya:- "subah nhi shaam ke 7 bj gye hai".


Sahil:- "kya 7 bje gye".


Sahil jldi se apna face wash krta hai aur neeche aa jata hai, vo dekhta hai neeche Akshay uske papa se baat kr rha hota hai, usne vohi loose t-shirt aur tight jean pehni hue hoti hai jaisa use apne khwab main dekha hoga hai.


Vinod:- "lo sahil bhi aa gya tum dono kro baat main apne room main ja rha"


Akshay:- "ok uncle ji aapne baat kr ke acha lga"


Sahil:- "yahan kaise, kisne bata mera address?"


Akshay:- "maine dhoond liya"


Sahil:- "kya kaam hai"


Akshay:- "im sorry tumhe main aa nhi saka"


Sahil:- "aisa bhi kaam kya tha vo bata nhi sake?"


Akshay:- "ek to tumhara number nhi mere pass doosra college se 12 bje hi nikal gya tha jis karan mil bhi nhi hua ki bata doon"


Sahil:- "theek hai ab batao"


Akshay:- "mere ek friend ka accident ho gya tha, uski koe family nhi hai to usko hospital le ke jane aur treatment hone tak mujhe uske saath rehna pata"


Akshay apni sleeve uper krta hai aur bolta hai


Akshay:- "dekho ussi ko khoon de kr bhi aaya hoo"


Sahil:- "to mujhe sapna thodi na aaega ki aisa hua hai"


Akshay:- "tumhara number mil sakta?"


Sahil:- "aur vo kyun"


Akshay:- " agar hum aur kisi time lunch pe gye to uske liye"


Sahil:- "mtlb tab bhi tum nhi aaoge"


Akshay:- "maine aisa to nhi bola"


Sahil:- "acha theek hai type kro"


Sahil aur Akshay apna number exchange krte hai.


Tabhi sahil ki mother vahan aati hai.


Sandhya:- "beta khana khaa kr jana"


Akshay:- "im sorry aunty vo mere dost ka accident hua hai to mujhe vahan jana hai, aj nhi but phir kabhi pakka, vaise maine aapke haath ka khana khaya hai bahut swaad khana banate ho aap"


Sahil aur Akshay ghr ke bahar aa jate hai.


Akshay:- "im really sorry mujhe nhi pta tha aisa kuch hoga lekin pkka hum lunch pe jaroor chalenge"


Sahil:- "koe baat nhi jao aur apne dost ka khayal rakho, uske theek hone ki khusi main chalege lunch pe, lekin pura kharcha tum kroge aaj ki saja to milni chahiye"


Akshay:- "jo hukum mere aaka"


Akshay jate wakth sahil ko hug krta hai.


Sahil us time kaafi alag sa feel krta hai.


Akshay chala jata hai.


Sahil apne ghr ke ander aa jata hai. Aur uske dimaag main bs Akshay hi Akshay chl rha hota hai.


Sandhya:- "sahil baith ja kuch khaa le"


Sahil:- "haan theek hai"


Dinner ke baad sahil apne room main aata hai.


Uska phone charger pe lga hota hai vo dekhta hai kisi ka text aaya hota hai.


"hey mere aaka"(msg)


Sahil:- "koun"(msg)


"etni jldi bhool gye"(msg)


Sahil:- "yaad hi kab the?"(msg)


 "acha to aisi baat hai, main Akshay hoo"(msg)


Sahil:- "pta hai mazak kr rha tha"(msg)


Akshay:- "kya kr rhe"(msg)


Sahil kuch der tak type nhi krta aur man main sochta hai (bs tumhe yaad)


Sahil:- "kuch nhi bs abhi dinner ke baad room main aaya hoo, sone ki tyari hai".(msg)


Akshay:- "lekin kl to college off hai to etni jldi so rhe"(msg)


Sahil:- "haan mere koe babu sona nhi jise liye main puri raat jaag jaag ke us se baatein kru".(msg)


Akshay:- "oh acha aisi baat hai"(msg)


Sahil:- "by the way tumhara dost kaisa hai ab?"(msg)


Akshay:- "haan kaafi theek hai ab to kl ghr bhi aa jaenga vo to"(msg)


Sahil:- "to aj puri raat hospital main rehne ka eraada hai kya"(msg)


Akshay:- "haan rehna padega"(msg)


Sahil:- "dinner?"(msg)


Akshay:- "nhi abhi nhi kiya bhookh bhi nhi hai kuch der tak khata"(msg)


Sahil:- "acha theek hai chlo good night bbye take care"(msg)


Akshay bhi good night bol kr text band kar deta hai.


Kuch der baad Akshay dekhta hai ki sahil uske saamne se chal ke uski taraf aa rha hota hai.


Akshay ( khada ho jata hai aur bolta hai):- "etni raat ko tum yahan"


Sahil:- "haan tum etna khayal rakhte doosro ka to humain bhi punya ka mauka milna chahiye, maine mummy ko bataya ki tum yahan akele ho aur kuch khaya nhi to mummy ne ussi time tumhare liye parathe banaye, aur main yahan le kr aa gya"


Akshay:- "tum sach main pagal ho vo yahan ke canteen se khaa leta"


Sahil:- "tumhe pta hai canteen ka khana kaisa hota hai tabhi etni der tak khaa nhi rhe tum"


Akshay:- "tum bhi khaoge mere saath"


Sahil:- "maine dinner kr liya hai"


Akshay:- "acha chlo mere saath kuch dikhata hoo".


Akshay sahil ko hospital ki chatt pe le jata hai jahan se puri city ka nazara bahut acha hota hai thandi thandi hawa chl rhi hoti hai aur pure aasmaan min taare hi taare Hote hai.


Sahil (uper der ke bolta hai):- "wow kitna pyara nazara hai"


Akshay (sahil ki taraf dekh ke bolta hai):- "haan sach main bahut pyara.


Sahil Akshay ki taraf dekhta hai aur bolta hai "to yahan dinner krein, i mean tum khao".


Akshay dinner khatam krta hai aur dono eadge pe aa jate hai aur Akshay apna haath se sahil ka haath pakadta hai, sahil aur Akshay ek doosre ko dekhne lg jate hai Akshay halke halke ke sahil ki taraf badhne lgta hai sahil bhi Akshay ki taraf badhne lgta hai, dono ki aankhein band ho jati hai, aur dono ek doosre ko kiss krte hai.


Kiss krne ke baad doono peeche hath jate hai.


Sahil:- "shayad ab chlna chahiye mummy wait kr rhe honge".


Akshay:- "rukoge nhi"


Sahil:- "sorry vo jana padega"


Akshay uper hi khada rehta hai sahil jane lgta hai.


Sahil ke chehre pe muskaan hoti hai aur khushi bhi.


Kya yeh raat inki life main laayegi ek nayi subah ya yeh raat bhar degi in ki life ko andhere se..



Chapter-5


Next morning


Sahil apne room main hota hai pichli raat ke baare mein soch raha hota hai har pal har ek minute bs aise lgta hai jaise ki abhi bhi vo usi raat mein fassa hua hai.


Sahil jaldi se uthta hai aur baith jata hai.


Sahil:- "kya yeh vo bhi hua vo theek tha kya Akshay sach main mujhe pasand krta hai, ya main hi jyada soch rha hoo shayad Akshay aisa kuch soch hi na raha hoo mere baare mein, shayad vo sab aise hi ho gya ho, lekin aise kaise ho sakta hai usko kuch to khayal aaya hoga na ek ladke ko kiss karne se pehle kya, kya vo bhi mere hi tarah......


Hey bhagwaan kitni uljhan bhad rhe hi mujhe kuch samjh nhi aa rha main kya socho kya bolu aur uske samne kaise jau ab to college ja kr hi pta chalega ki vo mere baare main kya sochta hai, tab tak ke liye main yeh khayal kaise bhulau kaise bhulau us raat ki har ek ek yaad.


Tabhi neeche se sahil ki mummy sahil ko awaaz lagati hai.


Sandhya:- "sahil beta neeche Akshay aaya hai"


Sahil (sochta hai):- "Akshay aur yahan lekin aaj to college bhi band hai to Akshay yaham kya karne ke liye aaya"


Sahil:- "aaya mummy"


Sahil neeche aata hai samne Akshay ko dekh kr thoda hairan hota hai.


Akshay:- "aunty vo aj college ka off hai aur mujhe kuch shopping ke liye bahar jana tha to kya sahil ko saath le jau, thodi help bhi ho jayegi"


Sandhya:- "beta is main kuch puchne ki baat hai kya tumhara dost hai tum pooch lo"


Akshay ( sahil se):- "vo kuch shopping ke liye jana hai chaloge"


Sahil:- "haan theek hai one sec"


Sahil bhaag ke apne room main jata hai.


Sahil:- "usko haan to bol diya hai lekin uske saath, main usko kaise face krunga, jo hoga dekha jaega"


Sahil neeche aata hai.


Sahil aur Akshay ghr se bahar nikal jate hai.


Sahil aur Akshay main ek alag c hi khamoshi chahi hoti hai.


Tabhi sahil bolta hai.


Sahil:- "tumhara dost kaisa hai"


Akshay:- "haan theek hai"


Sahil:- "parathe kaise lge the?"


Akshay:- "ache the"


(thodi der baad Akshay ruk jata hai aur bolta hai)


Akshay:- "tum itni formal baatein kyun kar rahe ho"


Sahil:- "kuch nahi bas aise hi"


Akshay:& "maine kl tumhe kiss kiya kyunki tum mujhe pasand ho mujhe baatein gol mol karni nahi aati aur na hi mujhse tumhari khamoshi bardaasht ho rhi, tum mujhe bata do tum mujhe pasand karne ho ya nahi agar nahi to main tumhare pass kabhi nhi aaunga, lekin chup mt rho"


Sahil:- "aisi baat nahi hai, maine kabhi aisa kuch feel nhi kiya hai tumhare saath vo meri life la first kiss tha yes i do like you but main tumhare baare mein kuch nahi jaanta aur na hi tum mere baare mein kuch jante"


Akshay:- "samajhna hi to chahta hoo tumhe"


Sahil kuch nhi bolta hai kuch der tak khamosh rahne ke baad sahil bolta hai.


Sahil:- "vaise hum market aaye kya lene"


Akshay:- "lag jaega kuch der baad samjh bs chalo mere saath"


Akshay:- sahil ka hath pakad ke bhag kar ek restaurant ki taraf jata hai.


Akshay:- "hamari lunch date nhi ho paye aur mujhse afternoon tak ruka bhi nhi ja rha tha to main morning hi aa gaya tumhe breakfast karwane ke liye"


Sahil:- "to kya.. yeh hamari date hai"


Akshay:- "aisa hi kuch"


Sahil aur Akshay dono ke chahare pe muskaan hoti hai.


Sahil aur Akshay ek table pe baith jate hai.


Akshay:- "bolo kya khaoge, aaj sab tumhari pasand ka hoga"


Sahil:- "tum le kr aaye yahan, restaurant tumhari pasand ka jagah tumhari pasand ki to khana bhi tumhari pasand ka hona chahiye"


Akshay:- "oh acha aisi baat hai to theek hai, yahan ke chole bhature kaafi famous hai to vohi mangwaau kya"


Sahil:- "ji bilkul"


Akshay aur sahil breakfast krte hai aur restaurant se bahar aa jate hai.


Akshay:- "mujhe pata hai shayad yeh sab tumhare liye kaafi naya hai, aur tumhare yeh sab samjhne ke liye kafi waqt bhi chahiye hoga lekin yaad rakhna ki har mod pe main tumhare saath rahunga"


Sahil:- "haan"


Sahil apne room aa jata hai.


Sahil:- "to kya sach main Akshay mujhe pasand krta hai, yeh kaisa sawaal hai tabhi to vo mujhe restaurant le kr gya aur mere saath time spend kiya, lekin kya main usko aise pasand karta hoon jaise vo mujhe karta hai, yeh swaal bhi na mera dimaag kharab kr denge aise sawaal kyun aate hai mujhe jis se mera dil aur dimaag mere vash se bahar nikal jata hai, lekin uske saath kuch alag sa feel hota hai kuch aisa jaisa maine kabhi feel nhi kiya, ohhooo yeh khayal bhi aise hai jaise ek sawaal kr rha aur doosra jawaab de rha lekin kya yeh sab sach hai"


Sahil khud ko pinch krta hai.


Sahil:- "haan yeh sab to bilkul sach hi hai"


Sahil ko nimam ki call aati hai


Akshay:- "hey kya kr rhe"


Sahil:- "apne room main hoon book padh raha tha"


Akshay:- "kon si"


Sahil text padta hai aur ghabrahat main bhaag ke apne bag se ek book nikalta hai.


Sahil:- " yeh biology medicine ke uper hai"


Nimam:- "oh acha"


Sahil (thoda relax ho kar):- "aur tum kya kr rhe"


Akshay:- "kuch nahi bas soch rha tha ki kaash tum abhi mere saath hote"


Sahil:- "aur vo kyun"


Akshay:- "jab bhi tum mere saath hote ho har par special sa ho jata hai aisa lagta hai jaise har cheez kaafi khoobsurat aur jab tum door hote ho to tum bas mere khayalon mein aate ho, lekin khayalo main tum se baat nhi kr pata aur na tumhe choo pata"


Sahil:- "ab mujhe nhi pta main kya bolu"


Akshay:- "kuch mat bolo, bs aankhen band karo"


Sahil apni aankhein band krta hai aur Akshay bhi.


Akshay:- "aisa lag raha hai jaise tum mere paas ho"


Sahil kuch nhi bolta hai.


Sahil aur Akshay dono khayalon mein kho jate hai.


Sapne main sahil Akshay ke pass baith hota hai.


Aur jaise hi Akshay sahil ko kiss karne lagta hai.


Sahil ki mummy ki awaaz aati hai.


Sahil sahil sahil.


Sahil ki aankh khul jati hai


Sahil:- "Akshay i'm sorry meri mummy bula rahi hai kal college main milte hai, i'm so so sorry"


Yeh bol ke sahil phone cut kr deta hai.


Udher Akshay ke chehre pe halki c smile hoti hai.


Sahil:- "yeh mummy bhi na galt time pe awaz lagate hai"


Sahil neeche jata hai.


Sahil:- "mummy kya hua"


Sandhya:- "tumhara books ka parcel aa gya hai dekh le yeh vali books hai na"


Sahil:- "oh haan acha theek hai dekh leta".


Next day.....


Kya agli subah lekar aane vali hai in dono ki life main.


Chapter-6


Pyar ki shuruaat


 Akshay college ke park main baitha hota hai jaise vo kisi ko dhoond raha hoo.


Tabhi vo samne se sahil ko aate hue dekhta hai. Akshay jaise sahil ko dekhta hai tabhi uska chehra khushi se khil uthta hai.


Akshay jaise hi sahil ke pass jane lgta hai tabhi sahil ke dost Ritu aur nishant sahil ke pass chale jate hai, sahil Akshay ko dekh leta hai lekin vo bhi kuch nhi bolta aur sahil sandhaya aur nishant ke saath chala jata hai.


Akshay bhi apni class ki taraf badhne lagta hai tabhi peeche se Akshay ke kandhe pe koi haath rakhta hai Akshay peeche mud ke dekhta hai to woh koi aur nhi balki sahil hota hai.


Akshay :- "tum to apne dosto ke saath chale gye the fr yahan?"


Sahil:- "maine tumhe meri taraf aate dekh liya tha aur wapas jate bhi mujhe tumhe hello bol na tha to main aa gaya, by the way hello"


Akshay (halki c smile deta hai) :- "hii"


Akshay sahil ko hug krta hai aur bolta hai kaash yeh pal yahin ruk jaye.


Sahil:- "yeh pal to rukne wale nhi aur meri class bhi nhi so jao aur mujhe bhi jane do"


Dono ek dusre ko bye karte hai.


Sahil aur Akshay dono ke chehre pe ek muskaan hoti hai.


Sahil apne dosto ke pass jata hai.


Ritu:- "college main aate hi bahut jldi dost bana liye tumne, hum to purane ho gye hai ab humain kahan yaad rakhoge"


Sahil :- "aree meri drama queen bs kro, you know that how much i love you guys"


Ritu:- "haan haan bs bs"


Sahil:- "by the way, nishant tumhari di ka baby hua hai na, abhi ghr aa gye kya?"


Nishant:- "thankgod tumhe yaad to aaya Ritu to ghr aake mil bhi gyi lekin tum pta nhi kis duniya main ho"


Sahil:- "i'm so sorry, mere dimag se ek dum skip ho gya tha"


Ritu :- "maine tumhe call bhi kiya tha but tumne pick nhi kiya aur na hi back call kiya, tabhi main bol rahi thi ki tum badal gaye ho"


Sahil:- "i'm sorry ab batao sorry ke liye mujhe kya karna hoga"


Ritu aur nishant dono bolte hai.


"Chocolate cake"


Ritu:- "jab bhi hum teeno main kabhi ladai hoti hai ya koi ek gussa hota hai to usse manane ke liye hum chocolate cake laate the, sorry ho na tum to chocolate cake laao aur maafi le jao"


Sahil:- "acha acha theek hai evening ko bakery chlte hai ab khush"


Teeno haste hai aur class ki aur chale jate hai.


Class main Ritu nishant ke saath baith jati hai aur sahil ke saath paras baith jata hai.


Paras:- "yaar tum to kabhi baat hi nhi krte"


Sahil:- "kuch nahi bas waise hi mujhe jyada baat karna pasand nahi hai"


Paras:- "lekin main to ab tumhara dost hi hoo na tum apne doston ki tarah mujh se bhi to baat kr sakte ho"


Sahil:- "haan theek hai class shuru ho gyi hai kya hum study pe focus kr le"


Paras:- "haan haan maine kab roka"


Sahil apne notes nikaal kar study krne lg jata hai. class khatam hone ke baat paras sahil ke saath baatein krna shuru kr deta hai


Paras:- "tumhe pata kuch dino main hi puri class ki ladkiyan mere peeche pagal ho gyi hai, tumhari koi girlfriend to nahi mujhe bata dena kahin galti se mistake na ho jaye"


Sahil:- "no, meri koi girlfriend nahi hai aur na hi main aisa chakkar mein padta hoon, mere life ke bahut saare goals hai aur mujhe vo sab poore krne hai"


Paras:- "theek hai bhai tum apne goals kro poore hum to chale apne goals poore krne"


Paras yeh bol ke chala jata hai aur sandhaya nishant sahil ke pass aa kar baith jate hai


Ritu:& "yeh paras kya bol rha tha"


Sahil:- "kuch nhi bss vo hi apni taarifo ke pul bandh rha tha"


Ritu:- "mujh pe bhi line maar raha tha aise ladko ki taraf to main dekhti bhi nahi"


Nishant:- "kya bola usne tumhe, mujhe bataya nahi tumne, abhi uski khabar leta hoo main"


Sahil:- "oh majnu baith ja baith ja sab theek hai ritu apna matter khud solve kr sakti hai jyada sher banane ki jaroorat nahi hai"


Nishant:- "aisi baat nahi hai ritu meri dost hai to hamara farz banta hai uski care krne ka"


Sahil nishant ko dekh ke smile krta hai.


Nishant:- "jaisa tum soch rahe ho waisa kuch nhi hai"


Sahil:- "tumhe kya pta maine kya socha, maine to kuch bola bhi nhi"


Ritu:- "mujhe pata hai tum dono kya bol rhe ho, main koi choti bachi nhi ho sab samjh aata hai mujhe, to please yeh codewords main mt baat karo"


Tabhi Akshay sahil ke class ke bahar aata hai. Aur ishare se sahil ko bahar aane ke liye bolta hai


Sahil:- "ritu nishant main abhi aata hoo"


Sahil Akshay ke pass chala jata hai.


Sahil:- "hi Akshay bolo kyun bulaya mujhe"


Akshay:- "vo mera class over ho gya tha socha tumhe saath le kr ek college ka walk le lete hai thodi baatein bhi ho jayegi aur thoda time bhi saath bitane ko milega"


Sahil:- "lekin itni dhoop mein"


Akshay:- "agar tumhe problem hai to koi nhi"


Sahil:- "maine aisa to nahi bola ki mujhe koi problem hai".


Akshay:- "to chale?"


Sahil aur Akshay walk pe chale jate hai.


Walk krte krte vo kuch baatein krte hai.


Sahil:- "tumhe baat karni thi aur tum bilkul chup chaap ho"


Akshay :- "vo mujhe samjh nhi aa rha ki kahan se shuru kru"


Sahil:- "to apne ghar se hi shuru kar lo, mujhe tumhare ghr valo ke baare main etna kuch nhi pta, to kuch bataoge unke baare main"


Akshay :- "haan haan kyun nahi tumko to bataya tha ki main yahan apne papa ka sapna pura krne ke liye aaya hoo, papa ka chota sa dhabba hai aur mujhe ussi naam se ek restaurant open karna hai, mera ek chota bhai hai jo bahut chote main hi canada chala gya, ghar ke halaat ache nhi the is liye mere uncle usko sath le kar chale gye the aur mummy bachpan mein hi humain chor kr chale gye, bs yeh hi hai meri family"


Sahil :- "tumhari tumhare bhai se baat hoti hai kya"


Akshay:- "haan kabhi kabhi hoti hai baat vo mujhe hamesha bolta hai bhaiya mujhe waha nahi rehna please yahan bula lo, lekin mujhe pta hai agar vo waha rahega to uski life achi hogi yahan aa kar to kuch hasil nhi hoga"


Sahil:- "to abhi tum aur tumhare papa ji rehne hai saath"


Akshay:- "haan, papa mere hamesha bimar rehte hai, aur main yahan un se door aaya hoo"


Sahil:- "fir unka vahan khayal kon rakhta hai"


Akshay:- "shayad hum ne kuch ache karam kiye hai tabhi hamare rishtedar ache mile hai mere dusre uncle jo mere papa ke chote bhai hai vo unka poora khayal rakhte hai aur dhabba aur meri study ka poora kharcha bhi vo hi utha rhe hai, unka ko bacha nhi hai shayad is liye vo mujhe aur mere bhai ko apne bacho ki tarah rakhte hai"


Sahil:- "to tum kyun nahi gaye canada"


Akshay:- "kyu ki mujhe papa ko chod kr kahin nhi jana tha is liye"


Sahil :- "to aage kya karoge kuch socha hai"


Akshay:- "haan 1 year main meri study poori ho jayegi, uske baad 6 months ki training fir kuch hotels ke contact hai mere paas jo chote chote restaurant main invest krti hai jis se mujhe mera restaurant setup krne main help milegi"


Sahil:- "to us se to naam badal jayega tumhare restaurant ka vo hotel wale khud ka naam use karenge"


Akshay:- "nhi aisa nahi hoga, naam hamara hi rahega lekin uski website pe hamara restaurant unki branch ki tarah dikhega, all india main kuch tourist visit karne aate hai vo trusted hotels search krte hai tabhi vo bade bade restaurant ki site par jate hai lekin jo bade bade hotel hai vo har jagah setup nhi kiya ja sakta is liye unki website pe hamara restaurant trusted krke dikhega jis se tourist bharosa kr ke hamare restaurant par jyada aayenge aur rating denge rating taste, hygiene aur staff behavior ke uper hoga, isi liye mujhe digree ki jaroort hogi kyu ki jis ko restaurant aur hotel ki knowledge hogi unhi ko hi vo trusted restaurant ka tag dete hai.


Sahil:- "to us main kuch percentage ka profit unko dena padta hoga"


Akshay:- "haan dena to hoga jiske baare main jab contract hoga tab sochenge abhi filhaal study puri karte hai"


Sahil :- "baton baton mein pata hi nahi chala class ka time ho gya"


Akshay:- "acha theek hai"


Kuch der awkward silence ke baad sahil Akshay se bolta hai


Sahil:- "kya main tumhe hug kru"


Akshay:- "haan haan kyun nhi"


Dono ek doosre ko hug krte hai aur apne apne class main chale jate hai.


Sahil apne class main vapas aa jata hai


Ritu:- "etni der kahan the"


Sahil:- "kuch nhi vo Akshay mil gaya tha"


Ritu :- "aaj kal vo cooking show block wale ladke ke saath jyada hi milna jhulna ho rha tumhara"


Nishant :- "kya kuch chal raha hai kya tum dono ka"


Sahil:- "aisa kuch nahi hai vo mera bas ek acha dost hai"


Ritu:- "acha agar vo dost hai to phir hum dono kya hai"


Sahil :- "tum dono to mere pakke vale dost ho"


Ritu:- "hum dono ko tere baare mein sab pata hai to please ab jhoot mat bolo tumhare chehre mein woh alag si ronak hum dekh sakte hai jab bhi vo cooking show wala aas pass hoga hai"


Sahil:- "uska naam Akshay hai"


Ritu:- "aree wah isko to gussa bhi aa rha usko maine cooking show bola is liye"


Nishant:- "ritu, pkka daal mein kuch kala hai"


Sahil:- "fine abhi kuch nhi pta, but we know that we like each other".


Ritu :- " aww humain to pehle se pta tha bs tumhare muh se sunana tha humain"


Teeno ek saath hug krte hai.


To be continued…




Comments