Pyar Ki Yeh Anokhi Kahani Chapter 5-8

 Pyar Ki Yeh Anokhi Kahani


Chapter_5


Next day.....


Priyanshu so kar uthata hai, woh dekhta hai uspar blanket hai....


Priyanshu :- mera hath.....


Priyanshu Hath pe dekhta hai toh woh bilkul thik tha............


Priyanshu :- yeh thik kaise aur mere upar blanket kon udayaa main toh shoes pehan ke hi so gaya tha na kya koi mere room mein aaya tha........????


Itne mein Vitika aati hai....


Vitika :- uth gaya tu?????


Priyanshu :- haan


Priyanshu change kar ke aata hai h.....


Priyanshu :- Vitika ???

Vitika :- haan bol


Priyanshu :- tu raat mein mere room mein aayi thi kya


Vitika :- nahi to kyu?


Priyanshu :- achaa tujhe pata hai mere room mein koi aaya tha raat mein mere upar blanket tha


Vitika :- tu bhul gaya hoga ki tune blanket liya yaa nahi warna idhar koun aa sakta hai…


Priyanshu :- aa nahi sakta par aaya tha aur yeh window yeh bhi band thi par jab main utha to yeh khulli hui thi.....

.

Vitika :- tumhe veham hua hoga......


Priyanshu :- veham nahi hai yeh.....


Priyanshu reception pe jata hai.....


Priyanshu :-excuse me…


receptionist :- jii..???


Priyanshu :- mere room mein aapne kisiko aane diya tha kya kal raat ko


receptionist :- kon sa room h apka???


Priyanshu :- 304.....


receptionist :- jiii nahi koi naji asya aapke room mein…


Priyanshu :- haaadd ho gayi koi aaya th.......


receptionist :- sir, yahan par cctv lage huye Hain aap usme dekh lijiye.......


Priyanshu :- jii dikhaiya


receptionist usko cctv footage dekhati hai par wahan Priyanshu ke room mein koi bhi naji aaya aur na hi andar se bahar ayaa.....


Priyanshu :- yeh possible kaise hai kya pata window se aaya ho....


receptionist :- dekhiye sir, hamare hotel mein pehle kabhi aisa nahi hua hai aapko kuch galat fehmi hui hai....


Priyanshu :- hmmm.....


Priyanshu hotel se bahar aata hai woh dekhta hai hotel ke bahar koi khada tha 


Priyanshu usko dekhta hai toh woh Abhay th....


Priyanshu :- tummm???


Abhay :- tumhara hath dekhne aaya th.....


Priyanshu :- tumhe kaise pata ki mere hath ko kuch hua hai??


Abhay :- maine hi itne tightly pakra tha toh kuch to hua hoga na (in mind mujhe bas tumse baat karne ka mann tha)


Priyanshu :- han tum na jungli ho itna zor se kon Pakrata hai Maine bola bhi tha ke choro mujhe.........


Abhay :- Maine suna nahi....


Priyanshu :- jungli hone ke sath sath behre bhi ho


Abhay :- sorry...... par ab hath kaisa hai??


Priyanshu :- hath ke jesa hai...


Abhay :- itne rude tareeke se baat kyu kar rahe ho


Priyanshu :- toh kal tum bahut pyar se baat kar rahe the na mera se.....


Abhay :-sorry.....


Priyanshu :- nahi chahiye by...


Priyanshu jane lagta hai ki abhay uska hath pakar car ke sath touch kar deta hai.........


Abhay :- sorry bola na....


Priyanshu :- its ok…


Abhay :- kaha ja rahe ho tum.....


Priyanshu :- apne liya rent pee ghar dekhne....


Abhay :- waise mere paas ek Ghar hai..... woh bahut dinon se khali hai tum chaho to waha rah sakte ho or rent dene ki bhi zarorat nahi hai


Priyanshu :- main kisi ka ehsan nahi leta…


Abhay :- aur main kisi par ehsan nahi krta๐Ÿ˜Š


Priyanshu :- kahan hai tumhara ghar.....


Abhay :- chalo batata hun.....


Abhay or Priyanshu car m baith ke jate.......... woh jagah bahut ajeeb si thi.....aas paas na koi or ghar tha na koi shop kuch bhi naji.... thora sa aage jungle th.......or bicch mein ek chota sa Ghar.. woh Ghar bahar se bahut pyara tha.....


Priyanshu :- tum aishi jagah pe rahte ho.....


Abhay :- mujhe akele rehna pasand hai.....


Priyanshu :- hmmm aisa kyu haii...

Abhay :- aisa hi aaoo ghar dikhata hun.....


Priyanshu ghar mein jata ... wahan ek pic lagi thi....jisme Abhay shirtless kadha tha.......


Priyanshu :- yeh tum ho


Abhay :- han yeh 1- 2 year purani pic h


Priyanshu :- hmm waise tum hot ho


Abhay :- hahaaha sab kahte hai yeh.......


Priyanshu :- hn.........


Abhay :- tum bhi sexy ho


Priyanshu :- flirt kar rahe ho....


Abhay :- tum karo to sahi me karu to galt..... yah kahan ka insaf hai.....


Priyanshu :- yah Priyanshu ka banaya gaya insaf hai ๐Ÿ˜‚


Abhay :- Yeh sab cheziie tum use kar Sakte ho


Priyanshu :- okk ek question hai bura na mano to puchu


Abhay :-hnn.....


Priyanshu :- tmh6ari koi girlfriend hai???

Abhay :-niii.....


Priyanshu :- sach mein matlab itne hot hoke tumne koi gf nahi banayi


Abhay :- tumne bhu to itni secy hoke gf nahi banayi.....or sach kahu toh mujhe tumhare jaise cute koi mila hi nahi


Priyanshu hotel chala jata hai.......


Priyanshu :- mujhe ghar mil gaya hai main wahi rahuga kal se tum wapas ghar chali jaa.....


Vitika :- tujhe chhor ke nahi


Priyanshu :- plzzzz Vitika jaaaa aur maa ko bhu bata dena main nahi aaunga…


Vitika :- tu yahan save nahi haii.....


Priyanshu :- main save hun.....


Vitika :- mujhe kuch thik nahi lag raha hai isliye main tere sath yahi rahungi


Priyanshu :- thik hai to kal hum uss naye ghar me shift ho Rahe hai


Vitika :- ok


Scene changed.........


Raja Sahab :- Abhay ???


Abhay :- jii Raja Sahab .....


Raja Sahab :- tum Priyanshu per nazar rakh rahe ho na???


Abhay :- jiii


Raja Sahab :- dhyan rahe woh kahi naa jaa pa.....


Abhay :- naji jayegaa....


Raja Sahab :- woh pure Chand ki raat aane mein bass 3 mahine hai.....agar Priyanshu mil gaya toh hum bahut powerful hoo sakte hai... main usko kisi keemat pe nahi kho sakta hun


Abhay :- jiiiiiii raja sahab...........


Abhay wahan se chala jata hai.......


Abhay(in mind):- main tumhe kisi keemat par nahi kho sakta Priyanshu kabhi nahi main raja sahab ke sath mein galt Kar raha hu janta hun main..... tumse pyar karna unko dhoka dena hai par main majbur hun....par ab tumhe bhi pyar krna hoga mere se... mera bannaa hoga tumhe....har keemat pee......


Abhay ped pe marta hai ghuse se aur woh ped hi tut jata hai........


Next day.......


priyanshu aur vitika apna sara saman Abhay ke ghar mein shift karte hai


Abhay :- toh hogaya sab.......


Priyanshu turn kar ke dekhta hai aur apne dil pe hath rakh leta hai.......


Abhay :- kyaa hua???


Priyanshu :- daraa diya tumne mujhe.....aisa kon karta hai bhala achanak se hi aagye tum to


Abhay :- hahaha phatu ho tum.....darpook...


Priyanshu :- darpook nahi hun main.......mere andr itni himmat hai ki zarorat padhne pe khud ko bhi mar sakta hun.........


Abhay gusse se Priyanshu ki tarf bhadta h...uski ankhe gusse se laal hogayi thi.....Priyanshu usko dekh ke darr jata hai......


Abhay :- marne ki baat mat karna ab samjhe tum.......


Priyanshu :- aisa kyu


Abhay :- bola na.....


Priyanshu koi question nahj karta kyuki Abhay gusse mein tha.....aur aise question karna thik nahi lagta.......


Abhay(in mind):- main bas tumhe khona nahi chahata tumhare marne ka sun kar hi dil dar jata hai..... toh tumse dur jate hue kya hoga


Itne mein vitika aati hai


Vitika :- priyu tu thik toh hai na mujhe aisha laga tere uppar koi khatra hai


Priyanshu :- aisha kuch nshi hai viti tu kuch zyada hi sochti hai mere bare me


Vitika abhay ko dekhkar


Vitika :- yeh kon hai??


Priyanshu:- yahi to Abhay hai yeh ghar isi ka hai.. main tum donon ke liye kuch khane ke liye lekar aata hu tab tak tum donon baate karo


Abhay :- meharbani aapki

.

Priyanshu :- thora Makhan to lgana padhta hu haai..... yeh tumhara ghar hai aur hum isme mufft mein rah rahe hai


Abhay :- aisa mat bolo yeh tumhara hu Ghar hai…


Priyanshu :- kuch time ke liye .....coffee loge ya tea???


Abhay :- coffee mera first love hai ..


Priyanshu smile kar ke coffee banane chala jata hai......


Vitika :- usse nuksan pahunchane ke baare mein sochna bhi mat Varna tumhara woh hasar karungi ki tum soch bhi nahi sakte


Abhay :- main usse pyar karta hun uska bura kbhi nahi soch sakta


Vitika :- isliye uske picche padhe ho taaki waqt aane par use apne raja sahab ko shonp do, 


Abhay :- main aisha kbhi nahi karuga.. lekin tumhe yeh sab kaise pata.. tum toh ek nar bhediya(werewolf) humare bare mein tumhe kaise pata??


Vitika :- main koi mamuli werewolf nahi hu mujhe priyanshu ka rakshak chuna gaya hai , jab tak main yahan hu tum priyanshu ka Baal bhi Banka nahi kar sakte ho


Itne main priyanshu coffee aur cookies lekar aa jata hai


Priyanshu :- kya baate ho rahi thi tum donon mein mujhe bhi batao


Vitika :- kuch nahi hum to bas aishi hi baatein kar rahe the …


Vitika coffee lekar upar kamre mein chali jati hai..


Abhay :- tumhe nahi pini coffee?


Priyanshu :- mujhe pasand nahi


Abhay wo coffee leke phenk deta hai


Priyanshu :- yeh kya.......


Abhay :- apni pasand badal raha hun.....aaj se mujhe bhi nahi pasand


Priyanshu :- hadh hai itni mehnat se banai thi coffee 


Abhay :- sorry


Priyanshu :- bhhar mein jaoo huh


Priyanshu woh cup ghusse se uske hath se le leta hai.......


Abhay (in mind):- main to smjha thw woh smile karega ......ki maine uske liye itna sab kiya.......coffee mera first love tha....... woh bhi chorr diya.......par woh toh ulta ghussa ho gaya yaar....... yeh insan bhi na.....inko samjhna impossible hai..... par Priyanshu ke liye ab try toh karna hi padega


Abhay yeh soch smile kiya jara thaaaa.......


Priyanshu :- ab dant kya phad rahe ho... bahut maza aa raha hai mujhe gusse mein dekh kar....


Abhay uske paas jata h.......


Abhay :- I'm sorry


Priyanshu cup mein pani Leta hai aur Abhay ke muh pe phenk deta hai .......


To be continued..



Chapter_6


Priyanshu Abhay pe pani phenk deta hai...


Priyanshu :- hahaaha.....


Priyanshu wahan se bhag jata hai ...Abhay chahata toh woh 1 sec ke andar usse pakar sakta tha....... par woh Priyanshu ke smile ke liya ruk jata h.......


Priyanshu :- daar gaye pakroo na...Abhay 


Priyanshu bhagne lagta hai ki Abhay jaldi se usse pecche se jake pakar leta hai.......


Priyanshu :- itni jaldi kaise aaye tum


Abhay :- main vampire hu na isliye


Abhay (in mind) :- yeh kya bol diya maine kahi isse sach pata chal gaya toh


Priyanshu :- vampire ho tum to main parishta hu.. matlab kuch bhi , ab chorro mujhe


Abhay :- nahi chodunga..


Priyanshu :- kyu??


Abhay :- kyuki tumne mujhpe pani phenka tha isliye......


Priyanshu :- huh tumne bhi to meri banai hui coffee phenke thi.....


Abhay :- sorry


Priyanshu :- rakho apne paas mujhe nahi chahiye......


Abhay :- haan tumhe to apne paas hi rakh hua hai 


Priyanshu :- flirt band karo chorro mujhe.....


Abhay :- pehle "sorry" kho.....


Priyanshu :- acha sorry


Itne mein bahar kisi ki awaz aati hai......


Unknown:- Abhay .......


Abhay :- ohhh shit yeh yahan kya kar hai


Priyanshu :- kon hai???


Abhay uske muh Pe hath rakh deta hai...


Abhay :- ssssshhhhhh chup kuch bolna mat….aur idhar chup jao usne dekh liya na tumhe toh woh le jayega tumhe 


Abhay Priyanshu ko cupboard mein chupa deta hai , Priyanshu ko Claustrophobia hota hai par Abhay itna jaldi mein usse chupata hai ki kuch sunta hi nahi hai.......


Abhay :-hi Preet .....


Preet :- hey kaise ho


Abhay :- main toh thik hun... par tum yahan achanak.....


Preet :- suna hai ki woh "ladka" mil gaya hai


Abhay :- kon ?? Ladka.......(abhay janta tha ki wo priyanshu ki baat kar raha hai par anjaan ban raha tha)


Preet :- Abhay itna nadann banne ki zarorat nahi hai.......tum jante ho kiske baare mein bol hun.........kya ladks hoga na waise woh agar mil jaye ek raat ke liye


Abhay :- baassss bakwaas band๐Ÿ˜ 


Preet :- ohh ohhhhh itna gussa,koi nahi par woh mila to hume hu milega phir hum sab karenge puri duniya pe raaj


Abhay :- toh jaa dhundh le usee........jaa mera dimag mat kharab kar.....


Preet :- mujhe yaha se do alag tarah ki khusboo kyu aa rahi hai aur bhi koi hai kya yahan ??? Ek khusboo to jaani pechani lag rahi hai jaise ki nar bhediye (werewolf)ki ho??


Abhay :- nahi mere alwa yahan aur koi nahi hai...


Abhay ki aankhe gusse se lal ho chuukii thi.....Preet wahan se chala jata h.....Abhay uskee jata hai Priyanshu ko cupboard se nikalta hai.....par priyanshu behosh padha tha


Abhay :- Priyanshu 


Abhay usse apni godh mein uta kar bedroom mein aata hai…


Vitika apne kamare ki khidki se Preet ko bahar jata dekh neeche aati hai


Abhay Priyanshu ko bed pe lita deta h....ussse smajh naji aa raha tha ki Priyanshu ko kya hua hai


Vitika:- woh kon tha.. yahan kya karne aaya tha yeh Priyanshu ko kya hua hai..


Abhay usse sab baat batata hai...


Vitika :- tum pagal ho kya ho usse Claustrophobia hai.. main dawa lekar aati hun


Abhay bahut dar gaya tha wo Priyanshu ko kbhi khona nahi chahata tha...........aur usko aise dekh wo tut rha tha.......Abhay uska hath pakar kar rub karne lagta haai...ki shayad Priyanshu isse hosh mein aa jaye.....


Abhay :- mujhe issbaat ka khyal rakna chahiye t6h.....ki tum insan ho tum logon ko zinda rahane ke liya oxygen chahiye hoti haiiiii.....main kaise bhul gaya tumhe kuch hogyaa to


Thodi der mein Priyanshu ko hosh aata h...Abhay usko pani pilata hai Vitika dawa leke aati hai aur usko deti hai


Priyanshu :- thanks.......


Abhay Priyanshu ko apni tarf khinch kar hug kar leta hai tightly Priyanshu ko toh lag raha tha uski hadiyaan aaj tut jayegi


Abhay :- mujhe bolna chahiye tha na......ki tum itni der cupboard mein nahi rah sakte the.....


Priyanshu :- filahal toh agar tumne mujhe aise hi pakra raha....... toh shayad main iss duniya mein hi nahi rhunga


Abhay jaldi se usse alag hota hai


Abhay :- tum thik hona…


Priyanshu :- idiot aisa bina baat sune cupboard mein kon band kar deta hai


Abhay :- sorry


Priyanshu :- kya sorry?????huhh agr main mar jata toh.....?????


Abhay :- yeh mat bolna ab please.


Priyanshu :- kyu na bolu abhi tumne my aise hug kiya tabh toh sach mein lag raha tha ki aaj aakhiri din hai mera.......


Abhay Priyanshu ke upar aa jata haai.....uske muhh pe hath rakhta hai.......


Abhay :- bola na ki mat bolo tumhe samjh kyu nahi aata hai ek bar mein itne ziddi kyu ho???


Priyanshu Abhay ki aankhon mein dekh raha tha.....Abhay apna hath side pe karta hai


Priyanshu :- wo.....wo...(in mind:-kya bahhana banau is idiot se dur rahane ka thodi der....nahi toh yeh khun chuss jayegga mera) mujhe nind aa rahi hai........


Priyanshu bed pe let tha hai.......Abhay uska hath pakar leta hai.......

 

Abhay :- jhut kyu bol rahe ho???


Priyanshu :- nahiii toh mujhe sach mein nind aa rahi hai.......


Priyanshu aankhen band kar ke lait jata hai..... woh sach mein so gaya tha.......Abhay uske close aata hai aur uske forehead pe kiss karta hai......


Abhay :- I love you❤.........


Abhay yeh bol wahan se chala jata hai.......dusre room mein..... woh puri rat Priyanshu ke sath hi tha kyuki woh usse mushkil mein dalna nahi chahta tha.......


Abhay :- main tumhe yahan se lekar bahut dur chala jaaunga.....itna ke koi humien dhundh nahi payega.....main tumhe kuch nahi hone de sakta kabhi bhi nahi


Tabhi Vitika kamare mein aati hai..


Vitika:- mujhe tumse kuch baat karni hai Abhay


Abhay :- haan bolo kya baat hai..


To be continued..



Chapter_7


Vitika :- mujhe tumse kuch baat karni hai


Abhay:- haan bolo.. kya baat hai..


Vitika :- tum priyanshu se sach me pyar karte ho kyuki Maine tumhari aankho me woh pyar dekha hai…


Abhay :- haan main usse bahut pyar karta hu itna ki uske liye apni jaan bhi de sakta hu aur kisi ki jaan le bhi sakta hu .


Vitika :- par tum ek vampire ho woh Insan hai tum donon kabhi ek nahi ho sakte waqt ke sath priyanshu ki umar bhadegi woh bhuda ho jayega aur ek din is duniya se chla jayega.. par tum hamesha isi tarah hi rahoge..


Abhay :- par main dusre vampire ki tarh nahi hu..


Vitika :- matlab???


Abhay :- matlab yeh ki main half human aur half vampire hu , mera dil bhi insanon ki tarah dharakta hai, mujhe bhi pyas lagti hai.. mujhme vampire ki shaktiyan to hai lekin aadhi hi hai.. kyuki main aadha Insan hu


Vitika:- mujhse vada karo ki tum kabhi bhi priyanshu ko kuch hone nahi doge, agar usse kuch hua to main tumahare tukde tukde kar dungi..


Abhay :- ha janta hu tum nar-bhediya ho ek second tum to ladki ho na to tum mada- bhediya hui na๐Ÿ˜‚๐Ÿ˜‚


Vitika :- bahut hi gatiya joke tha main sone ja Rahi hu…


Next day.....


Priyanshu shower le kar room se bahar aata hai usne towel lapet rakah tha 


Abhay :-wow๐Ÿ˜


Priyanshu usko dekhta hai .....


Priyanshu :- tum yahan kya kar rahe ho Ghar nahi gaye kyaa.........nahi gaye toh batana chahiye na huhh.....


Priyanshu room mein jaata hai....... kapde change kar ke aata hai


Priyanshu :- kya kar rahe ho tum yhn???


Abhay :- main raat bhar se idhar hi baitha hun


Priyanshu :- baithe ho kya matlab???soye nahi kya tum.....


Priyanshu uske sath aake sofe pe baith jata hai


Vitika :- maine nasta bana diya hai tum donon kha lena mujhe kuch kaam hai main bahar ja Rahi hu


Priyanshu:- thik hai , aur jaldi aana


Priyanshu apne liye breakfast leke aata hai


Abhay :- kitna khate ho tum motuu 


Priyanshu :- main apne liyr nahi tumhare liye laya hun aadha ....


Abhay :- main to aadha Insan hu lagta hai yeh mujhe pura insaan bana dega yeh gaas fush khila kar


Priyanshu :- kya soch rahe ho tum nahi kahte kya ye sab


Abhay :- khata hu


Priyanshu zabardasti Abhay ke muhh mein thus raha Hota hai.......๐Ÿ˜‚l


Abhay :- acha acha bass mein khud se kha lunga aise thuso toh mat


Priyanshu :- haan thik hai


Priyanshu :- ek baat puchu....


Abhay :- ek nahi 1000 pucho


Priyanshu :- filahal ek hi puchni hai.....


Abhay :- toh puchoo


Priyanshu :- woh ladka kon tha jo aaya tha........aur tumne mujhe use aise kyu chupaya???? wo kiss ladke ki baat kar raha tha???


Abhay :- tumne to ek baat puchni thi na


Priyanshu :- chalo 3 puch li na ab bataoo na please kon tha wo...........


Abhay :- woh janna tumhare liye zaroori nahi hai


Priyanshu :- kyu nahi hai mujhe to janna hai 


Abhay :- ek baar bola na maine


Priyanshu :- gussa kyu ho rahe ho.....choti si to baat puchi thi..... par tum mat batao next time mein woh aaya na tumhari absences mein..... toh maiin tab ussi se puch lunga....


Abhay uska hath pakar kar khud ke close khichta hai.......


Abhay :- pahli baat toh yeh hai ki main tumhe kabhi Akela nahi chodunga aur dusra kabhi agar aisa ho gaya kisi main ghar mein na hua woh aa gaya toh tum usse nahi miloge.


At night


Priyanshu apne room mein tha woh o room se bahar aata hai to dekhta hai ki Abhay kahi bhi nahi hai......usse ghar ke bahar se hasne ki awazen aa rahi thi..... woh jake dekhata hai...... toh Abhay kisi ladki se hass hass ke batien kar raha tha.......Priyanshu ka khoon khol raha tha yeh dekh ke woh chuup ke dekhta rahta hai.....


Abhay uss ladki ko hug karta hai..... woh chala jata hai.....Abhay jaise hi room mein aata hai.....Priyanshu usko sofa pe dhaka dekar.....uspe baith jata hai aur peetne Lagta hai.......

.

Abhay :- kya kar rahe ho aa rahe ruk Jao yaar.....bas bas.....


Par Priyanshu usko mare jara tha........


Abhay :- Priyanshu .......

Priyanshu :- naam mat lo mera idiot.....jaan se maar dunga tumhe to aaj 


Abhay :- kya ho gaya haii????itna maar kyu rahe ho.....


Priyanshu :- woh ladki kon thi๐Ÿ˜ 


Abhay :- yaar friend thi.......


Priyanshu :- friend se kon itna chipakta hai bolo btaoo mujhe


Abhay :- tum jal kyu rahe ho??

 

Priyanshu :- nahi jal raha ...


Abhay :- pyar to nahi hogya???


Priyanshu :- nahi


Abhay :- sach batao.....?


Priyanshu :-nahi karta.....


Abhay :- sach mein???


Priyanshu kuch nahi bolta Abhay uske paaa aata hai.....aur uske kaan meib jake kahta h.......


Abhay :- I love youu.......


Priyanshu apni aankhein band kar leta hai.....Abhay uske hothon ke paas aata hai.......apne hoth uske hothon par rakh deta hai .....aur usse kiss karne lagta hai .........Priyanshu chok jata hai ….par kuch time ke baad woh bhi kiss karne lagta hai.......after a deep and passionate kiss.....dono alag hote hai 


Dono ki sanse bahut tej chal rahi thi .........Priyanshu dubara se usse kiss kar deta hai....ussse bahut acha lag raha a tha kiss karte waqt jesa 


Abhay ek dum se piche ho jata hai.....Priyanshu wahan se bhag ke apne room mein chala jata haiii.......


Abhay :- pagal ho Gaya tha main kya.....kiss kar diya woh kya soch raha hoga....par jo bhi ho.....ab tak ka meri life ka sab se haseen pal hai yeh..... meri or Priyanshu ki first kiss.....I love u ptiyu.......I love u so much๐Ÿ˜๐Ÿ˜๐Ÿ˜


Udhar Priyanshu apne room mein bhag ke jata hai.......or washroom mein ghus jata hai...


Priyanshu :- yeh maine kya kiya.....kahi mujhe Abhay se pyar to nahi ho raha na.....par aise kaise ho sakta hai..... mujhe pyar nahi ho sakta hai....... mujhe nahi karna pyar ..........


Priyanshu :-maine usse roka nahi to ab usse lag raha hoga ki mujy bhi usse pyar hai.....ulta usse kiss karne lag gaya main.......


Itne mein usse aisa feel hota hai ki koi window se aaya hai


Scene changed.......


Abhay :- woh mujhe pasand karta hai shayad.....par woh ab tak room se bahar nahi aaya....kahi usse kuch ho to nahi gaya…


Abhay idhar baitha yahi soch raha tha.............is baat se anjan ke Priyanshu ke sath andarr kiya ho raha hai.........Abhay ko room mein kuch tutne ki awaz aati haii......... woh jaldi se room ka door tod ke andar jata hai.... toh dekhta hai ki Priyanshu behosh hai aur Preet usko godh me lekar kadha hai window ke paas


Preet :- tu chupa raha tha na maine dhundh liyaa ab Priyanshu humare raja sahab ka hai.....


Preet usko leke window se bahar jata hai.........Abhay bhi uske peche bahut tez bhagta h...........


Preet Priyanshu ko lekar jungle mein ja raha tha.........Abhay usse Piche se pakar leta hai.......aur Priyanshu dur girne wala hota lekin waha ek bhediya aakar usse girne se bacha leta hai apni phith par (yeh werewolf vitika rahti hai) ...... priyanshu abhi bhi behosh tha.....


Abhay or Preet ke bich mein fight shuru hojata hai......


Abhay :- dur rah ussse woh kisi ki nahi bass mera hai sirf mera๐Ÿ˜ 


Preet :- hahaha tum bhi usse apne fayade ke liye use karoge


Abhay :- nahi pyar karta hu usse.....or bahut karta hun.....last chance de raha hun..... nikal le.....nahi to uske jism pe aayi ek ek karoch ka badla lunga tujse...


Preet chala jata hai.....Abhay bhag k5 Priyanshu ke paas jata hai Vitika apne insani roop me aa chuki thi...


Abhay :- Priyanshu Yeh kya ho gaya.......mere wahan hote huye bhi tumhari hifaazat nahi kar saka....... mujhe gussa aa raha hai khud pe.....


Vitika :- maine tumse tha priyanshu ko kuch nahi hona chahiye, maine tumpe bhrosa kiya tha…


Abhay :- abhi in sab baato ka time nahi hai hume ghar chalna chahiye..Preet ne tumhe dekh liya hai woh raja sahab ko tumahre bare me bata dega tumhare yahan rahna khatre se khali nahi hai


Vitika :- thik hai ghar chalte hai


Abhay Priyanshu ko godh mei utha kar ghar le jata hai.......


Abhay usko bandage karta hai.........Priyanshu so raha tha.....Abhay bas usse hi dekh raha tha ...... woh uske honth ke pass aata hai.....ussse kiss karta hai.......


Abhay :- I'm sorry........ meri galti hai.........ab se m tumhe akela nahi chodunga ek pal ke liye bhi nahi.......


Abhay sofa pe baith jata hai.....


Vitika :- woh vampire andar kaise aaya , aur tum uss waqt kya kar rahe the


Abhay :- mujhe nahi pata woh andar kaise aaya sayad uss din usse priyanshu ki khusboo aa gayi thi…(abhay gusse mein) tum to uski rakshak ho kaha gayi thi tum haan jab usse tumhari sabse zyada zaroorat thi tab tum gayab thi aishe raksha karogi uski…


Vitika :- main apne kabile mein gayi thi iss ghar ki shurakshit rakhne ke liye aur nar bhediye (werewolf) ko yaha pehra dene ke liye lane gayi thi ..


Idhar Priyanshu ko hosh ata h.....woh bahut Dara hua hota hai......


Priyanshu :-Abhay abhaaay ......


Abhay uske paas aata hai.....Priyanshu foran use tightly hug kar ke rone lagta hai.......


Abhay :- kya ho Gaya Priyanshu .... main idhar hi hun tumhare paas.....


Priyanshu :- kahi mat jao woh mujhe le jayega please


Abhay :- tumhe koi kahi nahi le jayega jab tak main yahan hu.......


Abhay Priyanshu ko chup karata hai.....Priyanshu thora relax hota hai.....


Priyanshu :- woh mujhe le ja raha tha na...... phir main yahan kaise....??


Abhay :- maine waqt rahate police ko phone kar diya woh usse le gaye.......


Vitika :- haan woh abhi jail mein hoga tu tension mat le aaram kar..


Abhay Vitika ki tarf dekh ke ishare me thanks kahta hai


Abhay Priyanshu se jhut bolta hai.....kyuki wo usse aur pareshaan nahi karna chata tha.....kyuki Preet ka jail mein hone ka sun kar......Priyanshu ab thora relax ho jaata hai......


Priyanshu :- acha hua le gaye.......woh Preet tha na??


Abhay:- haannn....


Priyanshu :- woh mujhe kaha le ja raha tha???


Abhay : main nahi janta.........(wo phir jhut bolta hai)par I promise maib ab kabhi tumhe akela nahi chodunga ...aur kuch nahi hone dunga tumhe


Priyanshu :- han mujhe dar lag raha tha par ab woh to jail mein hai na wo wapis nahi ayega......to darrne ki baat nahi hai.......


Abhay :- hmmm.....


Vitika :- ab hume priyanshu ko aaram karne dena chahiye..


Abhay aur vitika dono bahar aate hai


Vitika :- tumhe priyanshu ko sab sach batana hoga 


Abhay:- sahi waqt aane par woh khud jaan jayega sab


Abhay(in mind) tumhe sach ka pata hona zaroori hai Priyanshu .....nahi to tum bar bar khud ko mushkil mein daal loge .....aur kya pata main ya vitika tumhe bar bar na bcha paye.....mujhe tumhe nahi khona haaii.......tum meri life ho.....tum nahi to main nahi.....


To be continued..



Chapter_8


Abhay(in mind) tumhe sach ka pata hona zaroori hai Priyanshu .....nahi to tum bar bar khud ko mushkil mein daal loge .....aur kya pata main ya vitika tumhe bar bar na bacha paye.....mujhe tumhe nahi khona hai.......tum meri life ho.....tum nahi to main nahi.....


Abhay yehi sab baitha soch raha tha..........wo Priyanshu ko bahut pyar karta hai or usse khona nahi chahta tha.......


Abhay :- main tumhe jald he apne dil ki baat bata kar apna Bana loonga I love you so much.....Priyanshu .......


Itne mein Priyanshu usko Awaz de kar bulata Abhay jata hai.....


Abhay:-kya hua??


Priyanshu :- main tumse ek baat puchna bhul gaya.......wo ladki kon thi jisee tum hass hass ke baat kar rahe the.......


Abhay :- ishika thi... meri best friend hai or kuch??


Priyanshu :- sach mein bs best friend hai


Abhay :-hn.....


Priyanshu :-pyar vyr kuch nahi hai??


Abhay :-mujhe usse pyar kyu hoga bhala.....


Priyanshu :-hmmm..... mujhe laga tumahari girlfriend hai


Abhay :- or agar gf hoti bhi to kya ho jata.....


Priyanshu :-kuchh nii.....

.

Abhay :-to pucha kyu???


Priyanshu :-aisa he puch liya ab se nahi puchunga ok???


Abhay :-nahi pucho aisa kab bola Maine.....waise tum kuch bhulte nahi ho na?


Priyanshu :-haan....


Abhay :-to kiss bhi yaad hoga.....


Priyanshu :-haan.....


Priyanshu ek dum chup ho jata hai ye soch ke wo kya bol gaya abhi abhi....or blush karne lagta hai.......


Priyanshu in mind:-ohhh budhu ladke kya bol diya tum pagal ho kya.....


Abhay in mind:-hayeee aise blush karte ho mann karta hai tumhare gaal hi khaa jaun.......


Priyanshu :- Abhay I'm sorry.....aisa kiss karna galat hai... mujhe rokana chahiye tha.....or hum dono ko thoda dur rhna chahiye ek dusre se........


Abhay( in mind):- ye kya bol rahe ho.....tumse dur kabhi nahi reh paun ga..........yaar main


Abhay khud se he yeh soch raha tha........


Abhay :- acha Priyanshu ab mujhe jana hai Main thodi der mein aunga.....


Priyanshu :-hmmm ...


Abhay chla jaata hai.....


Priyanshu (in mind):-kuch ajeeb h mere sath kuch bahut ajeeb hai..... kabhi sakoon mein Hota hun...to kabhi dar lagta hai.......Abhay ke dur jate kyu hota h aisa.....


Scene changed......


Abhay :-aap ne bulaya Raja Sahab ???


Raja Sahab :-uss ladke ka kuch pata chala.....


Abhay :-wo pata nahi kahan chala gaya.....


Raja Sahab :-maine kaha tha tumhe ke uspe nazar rakho......


Abhay :-nazar thi..... par wo pata nahi kahan gaya Raja Sahab ......


Raja Sahab :-ussse dhundhna hoga.....tumse nahi hua to or vampires usse dhundhege.....


Abhay( in mind):-nahi nahi or vampires mere Priyanshu ko mere se dur le jayenge main yah nahi hone de sakta


Abhay :-main khud dhund lunga....wo apke paas hoga Raja Sahab bas kuch waqt or


Yeh bol Abhay chala jata Hai.......


Scene changed


Abhay ghar aata hai................Priyanshu uske paas aata hai.....


Priyanshu :-kya hua hai Abhay ???


Abhay kuch nahi bolta hai.......


Itne mein or vampires piche se aate hai aur Priyanshu ko pakar lete hain.......


Priyanshu :- Abhay yeh kya ho Raha hai yeh sab kon hai ???


Abhay bas roye ja ra tha.....


Priyanshu :-Abhay please bcha lo Abhay ......


Or woh log Priyanshu ko le jate hai........itne m Priyanshu ki nend khulti hai....Priyanshu sapna dekh raha tha.......


Priyanshu :-Abhay Abhay kahan ho


Abhay room m ata h.....to Priyanshu usse tightly hug kar leta haii.....or rone lagta hai


Abhay :-kya hua ro kyu rahe ho.....


Priyanshu :-wo mujh le jayenge Abhay 


Abhay :-wo kon???


Mishk:-main nahi janta ....


Abhay :- tumne koi bura sapna dekha hoga......


Priyanshu :- maine dekha......kuch log mujhe le ja rahe the or tum bhi meri help nahi Kar rahe the please Abhay mujhe mat chorna kbhii.....


Abhay in mind:- tumhe bhi wohi sapne aane lag gaye hai Priyanshu .....par maine unko to khoo diya ab tumhe nahi..... tumhe bacha lunga ga main.......


Scene changed.....


Abhay kisi room mein Kada tha.....aur uske samne ek lady laiti thi jo behosh thi.....Abhay unke pass jake Baitha hai.......


Abhay :- mom thoda late hogaya aapke paas aane mein I'm sorry.....par kya hai na mujhe koi pasand aa gaya hai bahut cute h.....par mom ek problem hai woh aap jaisa hai agar usse bhi koi is tarah chin lega mujse to.......


Abhay :- I love you mom.......aap to kbhi nahi jagoge ab.......par main nahi chahata ki mera priyu bhi aisa hojaiii mujhe uske sath rahna hai.....aisa kyu hota hai mom pehle aap ab Priyanshu.... main bahut pyar karta hun usse nahi rah sakta uske bagair......


Abhay apni mom se kafi der tak batien karta rahta hai....phir waha se chala jata hai.........


scene changed


Priyanshu :- pehle viti ko btaun kya ya nahi??? Nahi nahi pehle jise pyr karta hun usse to bata dun...par agar woh nahi mana toh???pr aisa kaise hos sakta hai woh to khud close aane ki kosis karta hai.........jo bhi ho main aaj usse bata dun ki main pyar karta hu usse.....(Vitika kuch kaam se apne ghar wapas gayi hai)


Priyanshu ready ho jata hai... woh kuch zyada hi Aache tareeke se aaj ready ho raha tha...usne light pink color ka shirt pehna tha.........or sath mein black pant.......Priyanshu bahar jata hai.....


Abhay usko dekhta h....


Abhay :- kahi ja rahe ho kya??


Priyanshu :-nahiii to.....


Abhay :-to Phir itna ready kyu huye ho..


Priyanshu :- tum mera mazak uda rahe ho


Abhay :-nahi dance kar raha hu


Priyanshu :-tum idiot ho duffer..... pata hai main kyu ready hua hu......


Abhay :-kyu???


Priyanshu Abhay ko gusse se dhaka deke diwar se tika deta haii.....


Priyanshu :- prapose karne wala tha kisi ko.....


Abhay :- kisko prapose kar rahe ho???


Priyanshu :- jisko bhi karu.....par mera mood kharab kar diya tumnne...huh.......


Abhay :- sorry par prapose kise???


Abhay aisa isi liya bol raha tha…. kyuki wo dar Gaya tha.......ki priyanshu kisi or ko pssand to nahi karne laga hai ....


Priyanshu :- kya kise kise bar bar laga rakha hai?mood thk hota to bata deta .......


Abhay :- ok I'm sorry.......tum bahut acche lag rahe ho...schh kah raha hun... pehle mazak kiya........


Priyanshu :-okkk.....


Abhay :- kya ok ab batao na kon hai.......


Priyanshu :- Abhay mujhe tumhe kuch bolna h.....


Abhay :-bolo na…


Priyanshu :-I love you


Priyanshu apni aankhen band kar leta hai.....Abhay ko vishwash nahi ho raha tha ki usne kya suna......


Abhay :- kya kaha phirse bolo???


Priyanshu :-I love you


Abhay :- acha mazak tha.....


Priyanshu uski chest pe marne lagta hai


Priyanshu :- idiot main sach mein tumse pyar karta hun..... pagal ho kya.....ek bar samjh nahi aata kya. ........I love you Abhay .......I love you


Abhay apne ghutno pee baith jata h.......aur uska hath pakar ke uspar kiss karta hai .....


Abhay :-I love you too.......I love you so much Priyanshu 


Abhay khade hoke Priyanshu ko hug kar leta h...Priyanshu bhi hug kar leta h.........


Abhay :- mere sath date pe chaloge.....


Priyanshu :- haan main abhi ready ho kar aaya....


Abhay :- itna ready to ho....


Priyanshu :- bas kapde change karna hai.....


Abhay :-okk.......


Priyanshu chala jata hai or abhay pagaloo ke jaise wahin baithe smile Kar raha tha 


Abhay :- kabhi socha nahi tha ki tum aise izhar karoge.....sach mein main bahut phatu hun tumhare mukabale.......... tumne itni aasani se kah diya aur main bol hi nahi paya.......


Priyanshu jaldi s ready hoke aata hai.....he was looking so cute.....


Dono car mein baith ke jate Hai...........Abhay usse Jungle mein le jata hai.....par zyada dur nahi.......


Woh jagah khali thi thodi dur par ped the.....paas mein talab tha.........aur pedon par light lagi thi.....


Priyanshu :- kitna beautiful hai na


Abhay :- haan.... achha laga tumhe. ..


Priyanshu :- bahutt , kisne ki arrangement???


Abhay :- meri dost jisse hass Hass ke batien kar raha tha....... tumhe yahan kabse lana tha prapose karne ke liye par himmat nahi ho rahi thi......


Priyanshu :-bahut bade phatu ho


Abhay :- jaisa bhi hoon tumhara hoon sambhalo ab.....


Abhay:- dance karoge


Priyanshu :- haan


Priyanshu or abhay dance karne lagte hai ......(background mein ek romantic song play ho raha hai)


Priyanshu :- bass Ab main thak gaya baith jate hai…


Abhay :-okk.....


Abhay baitah jata hai to Priyanshu uski godh mein baith jata hai.......


Priyanshu :- waise bf bana na bhi Kitna aacha hai.....jitne bhi nakhare Karo sub sambhalate hai.....


Abhay :- par main nahi Sambhal sakta please mat karna


Priyanshu :- hahaha... nahi kar raha par aise hi special feel karate rahana mujhe.......


Abhay :- woh to hamesha kraun ga......


Priyanshu :- pani lao na car mein hai......


Abhay :- car to dur hai.....aur tumhe akela chor ke kaise jaau???


Priyanshu :- are bacha nahi hun main jao.......


Abhay jata h Priyanshu chhip jata h.....


Priyanshu :- tum aaoge to surprise dunga.....


Itna mein uske sar pe koi zor 5s danda marta hai.....aur woh behosh hojata hai.......Abhay ko Priyanshu ki blood ki khusboo aa jati hai..... woh jaldi se wapis bhagta h.......


Abhay :-Priyanshu...Priyanshu .......


Abhay dekhta hai woh ek ped ke niche behosh pada hai aur uske sar se khoon nikal raha hai.....Abhay usse ghar le jata hai


Abhay :- Priyanshu ......ye jisne bhi kiya main chodunga nahi usse.......main isi liye tumhe akele chorr ke nahi jana chah raha tha......


Abhay ki aankhon mein aansu aa jate hai ...... woh Priyanshu ke dur hone ke khyal se hi dar jata hai.....Priyanshu behosh tha...Abhay ne bandage to kar diya tha.....par woh uske hosh mein aane ka wait kar raha tha.....


Abhay :- please. Jaldi utho na.......mujhe tension ho rahi hai tumhari.......


To be continued…




Comments