Pyar Ki Yeh Anokhi Kahani Chapter 17-19

 Pyar Ki Yeh Anokhi Kahani


Chapter_17


Abhay bahut ro raha tha woh Priyanshu ko apne godh mein uta leta hai...aur le jata hai jahan pe uski maa thi..Abhay Priyanshu ko unke sath lita deta hai....


Abhay :-Priyu.....


Abhay uske gardan pe dekhta hai jahan pe raja sahab bite kiya tha .....


Abhay :-bahut dard hua tha na mere jaan ko hai na??? bahut zor se bite kiya tha na usne


Abhay Priyanshu je forehead pe kiss karta hai aur usse gale laga kar rone lagta hai.  


Abhay :-jaan ankhien kholo na... mera naam lo na ek baar bol do ke "tum zinda ho" tumhe kuch nahi hua... please. wapiss nahi aaoge m6re paas


Abhay ka rona ruk nahi raha tha.....


Abhay :-pehle maa aur ab tum.....??? Tum bhi chale gaye chorr kar mujhe mat jaao naa... main bahut pyar karta hun tumse Kasam se....khud se zyada pyar karta hoon...


Vitika :-Abhay please mat ro itna woh jaa chuka hai.......


Abhay:- aisa mat bolo... woh zinda hai


Vitika :-zinda hai par so raha hai...aur tab tak uthega nahi jab tak vampire nahi banta.....


Abhay :-main bana dunga??


Ishika :-pagal ho... tum mar jaoge.....aur kya pt8a tum bana bhi na Pao...... sirf pavitra aatma hi pavitra aatma ko vampire bana sakte hai.........


Abhay :- main janta hu par main apne pyar ko iss tarha khoo nahi sakta….


Abhay ye bol kar gusse se uth kar aa jata hai wahan se.....


Wo bas idhar Udhar tahal raha tha.....


flashback


Abhay aur Priyanshu ki shadi se kuch din pehle.....Abhay mobile mein Priyanshu ko msg karta hai


Priyanshu :-Abhay ....


Abhay :-ek minute.....


Priyanshu :-Abhay..........Abhay suno na...


Par Abhay busy tha.....Priyanshu aata hai wo uske hath se phone kheench kar band kar deta hai aur uski godh mein baith jaata hai...


Abhay :-are....


Priyanshu:-kya hai mujse baat bhi nahi kar rahe ho tum phone mein ghuse ho...jab main phone mein laga hota hun to tab tumhe kitna gussaa aata hai aur ab


Abhay :-jaan tumhari hifazat ke Liye baat kar raha tha Ishika se


Priyanshu :-acha…


Abhay :-haan na...


Priyanshu usse hug kar leta hai..


Priyanshu :-ab to mujhe bhul gaye.....na tm ek hug bhi nahi kiya kabse.....


Abhay :- I'm sorry.....


Abhay uski gardan pee kiss karta h...aur uski body pe apna hand pherne lagta hai.....aisa karne se Priyanshu ki puri body mein current flow ho Raha tha.....


Priyanshu :-Abhay please mat Karo na


Abhay :-kya


Priyanshu :- please...


Abhay ruk jata hai.......Priyanshu uske hothon pee kiss karta hai....aur hug kar leta hai.....


Priyanshu :-I love you.....


Abhay :-I love you too...ab so jao...


Abhay Priyanshu ko bed pe litata hai aur hug kar leta hai thodi der mein Priyanshu so jata hai.....


Flashback_End.....


Abhay :-ab kon hoga mere sath.....kon karega mujse itna pyar.....kisko tang karunga ....... pyar karunga.....


Abhay rone lagta h6........ thodi der mein barish start ho jati hai upar aasman ro raha tha...aur niche Abhay ro raha tha 


Abhay wapiss Priyanshu ke paas aata hai.......


Abhay :-shadi ke din hi tum dur ho gaye the mujhse..... bata hi nahi paya ke kitna pyar karta hun tumse.......aur ye gift bhi nahi de paya...


Ek hafte se Zyada ho Gaya th...Abhay bahut sad sad sa rehne laga tha..... sara time Priyanshu ke k paas baitha rehta.....aur jab nahi hota uske paas.....to uske bare mein sochta rehta.......


Abhay Priyanshu ke paas baitha tha.....


Ishika :- Abhay .....


Abhay :-Ishika dekho na Priyanshu ko kitna accha lag raha hai.....


Ishika :-Abhay woh nahi ayega ab wapis.....


Abhay :-sshhhhh ye mat bolo please....ki woh wapiss nahi ayega...mere Priyanshu se bohut pyar karta hun main..... woh mere liye ayega wapis


Ishika :-Abhay please........itna to tum apni maa ke baad sad nahi huye the jitna Priyanshu ke baad.....


Abhay :-tab main chota tha na Ishika ....ab nahi hun.......ab mujhe Priyanshu ke sath time guzrna tha.....


Ishika bhi rone lagti haai.....


Abhay chup ho jata hai..jaise uske dimgh mein kuch chal Raha hoo.....


Ishika :-kyaa soch rahe ho???


Abhay :-yahi ki main Priyanshu ko vampire banane ka try karta hun...agar woh vampire ban gaya to thik nahi to bass mein hi marunga na.....


Ishika :-aisaa sochna bhi mat tum... samjhe....aaisa main nahi hone dungi.....


Abhay :-koi nahi main usse Zinda karunga....


Ishika Abhay ko dhaka deti h.....


Ishika :-mere sath chloge abb.....


Abhay :-tum kyu nahi chahti ki main aisa Karu.....


Ishika kuch nahi bolti bas usko leke ja rahi thi.....


Abhay :-main tumse kuch puch raha hun.....


Ishika :- kyuki main nahi chahti hun ki tm maro.....


Abhay :- kyu....


Ishika :-ache dost mushkilon se milte hai na......


Abhay :-kahi pyar to nahi karti mujhse ....


Ishika :-gatiyaa hi socho tum bas... aur r so jaoo


Ishika usse ghar mein Dhaka deta huue kahati hai..Vampires sote to nahi hai..par agar wo sona chahen to so sakte hai......


Abhay:-mere Priyanshu se dur kar rahi ho mujhe tum.....


Ishika :-jitna bola hai tumhe utna Karo main kuch sochati hun.....


Ishika chali jati hai Abhay bed pe lait jata hai...usse yaad aa raha tha ki kaise Priyanshu usse hug kar ke sota tha...usse pyar Karta tha...yahi sochte woh aankhen band kar leta hai.....


Udhar Priyanshu ke paas Ishika jati hai...aur ek letter waha rakhati hai 


Ishika :- dost ke liye to itna kar hi sakti hoon na......


Ye bol Ishika Priyanshu ko bite karti hai......dard se Ishika rone lagti hai ...par woh phir bhi haar nahi manti hai.....aur Priyanshu ko vampire banane mein lagi rahti hai.....kuch der mein woh piche ho jati hai.....usse kuch nazar nahi aa raha tha bas dhundhla dhundhla dikh raha tha......Priyanshu ko zara sa bhi farak nahi padha tha unn sab se......aur Ishika behoshh ho jati hai udhar hi......


Udhar abhay ki nind khulati hai usse kuch ajeeb lagta hai...to wo Bhagg kar Priyanshu ke paas jata hai...or Ishika ko dekh shock ho jata hai...


Abhay woh letter uthata hai.......


"Abhay mujhe nahi pata ki main kya karne ja rahi hun.....par itna kehna hai ki bachpan se dost the hum.....aaj aisa laga dosti nibhane ka waqt aa gaya..... tumhe aise Priyanshu ke liye rote nahi dekh sakti thi to usko vampire banane ki koshish ki hai.....ab yeh mat samjh lena ki tumse pyar karti hun.....aisa kuch nahi hai.....bas dosti nibah rahi hun.......aur best friend ke liye to kuch bhi Karte hai na"


Abhay ki aankho mein aansu the woh Ishika ko jaldi se godh mein utha leta hai…


Abhay :-yeh kya ho raha Hai god..har tarf se mushkil mein hun kuch samjh nahi aa raha mujhe..... meri life mein jitne bhi log the... meri maa mera pyar meri friend sabko itna sahna padha. ........


Ishika apni akhiri saanse le rahi thi ..


Ishika:- abhay mujhe maaf kar Dena main tumhari madad nahi kar payi … bina madad kiye hi ja rahi hu.. ho sake to mujhe maaf kar Dena ..


Abhay :- nahi ishika tumne jo mere liye kiya woh koi nahi karta…. Tum meri sabse acchi dost ho main tumhe khona nahi chahata…


Ishika muskurate huye is duniya is alvida kah chuki thi…


Scene changed.....


Preet :-Raja Sahab ek news hai…


Raja Sahab :-bolo...


Preet usse ishika ke baare mein sab batata hai....


Raja Sahab :-yeh ladki ishika bhi na.....Priyanshu utha to nahi na???


Preet :-nahii


Raja Sahab :-good tum ishika ki body ko jala do… jisse abhay usse dubara zinda na kar paye…


Scene changed...


Abhay pareshan ho raha tha.... woh wapis wahin aata h6 jahan Priyanshu aur uski maa thi ....par wahan Priyanshu kahi bhi nahi tha...


Abhay :-Priyanshu 


Tabhi usse aisa lagta hai jaise kisi ne usse picche se hug kar liya hai...Abhay picche mud kar dekhta hai to Priyanshu tha.....


Abhay :-tum... tum thik ho???


Priyanshu :-mujhe Ishika ne vampire bana diya ..


Abhay ki aankho mein aansu aa jate hai.....wo jaldi se Priyanshu ko tightly hug kar leta hai.....


Abhay :- tumhe nahi pata ki kitna miss kiya hai maine tumhe.....I miss you so much


Priyanshu :-ab sad mat hona ab main aa gaya hun na.....


Abhay:-hamesha paas rehna mere.....


Priyanshu :-hamesha rahuga...


Abhay :-I love you....


Priyanshu :-I love you too...


Abhay Priyanshu ko ishika ke baare mein sab batata hai woh shocked ho jata hai.....dono udhar jate hai.....


Priyanshu :- Ishika itna sab kiya humare liye woh phir se Zinda ho jayegi na ..


Abhay :-hmmm...


Thodi der mein woh log waha pahucte hai jaha ishika ki body thi..lekin ab waha par nahi thi… aur thodi dur par vitika ghayal padi hui thi


Priyanshu :- ishika kaha hai…????aur vitika yaha kaise … tumpar kisne hamla kiya hai….


Preet:- maine uski body ko jala diya jisse tum log usse wapas zinda nahi kar pate .......


Woh Priyanshu ko dekhkar shocked thaa ..


Preet :- tum yaha .. iska matlab tum vampire ban gaye…. Mujhe raja sahab ko yeh news deni hogi…


Isse pahle abhay ya Priyanshu kuch karte woh itna kah kar waha se udd ke chala jata hai


Vitika :- mujhe maaf kar do abhay main ishika ko bacha nhi paayi …


Priyanshu Abhay bahut dukhi ho jate hai....


Abhay :- Maine apni best friend ko kho diya hamesha ke liye…


Priyanshu:- nahi abhay ro mat hum ishika ki kurbani jaya nahi jane denge uss Raja ko har kiye ka hisaab chukana hoga..


Abhay Priyanshu ko hug karke rone lagta hai.........aur vitika ko hospital lekar aate hai


Abhay :- Ishika…


Priyanshu :- woh iss duniya se jaa chuki hai.....


Dono ghar jate hai.....


Abhay aur Priyanshu ghar jate hai..Abhay woh gift Priyanshu ko deta hai.....jo usse apni shaadi ki raat Dene wala hota hai.....


Priyanshu :-bahut khubsurat haii...


Woh ek Lockett wala chain tha jisne un dono ki tasveer lagi hui thi. ....


To be continued…



Chapter_18


Kuch dinon baad


Priyanshu :- good morning.....


Abhay:-good morning par hum to soye hi nahi the


Priyanshu :-to kya hua???


Yeh kahte huye Priyanshu kiss karne lagta hai .....Abhay uske baalon ko Halke se pakad kar apni taraf karta hai.....


Tbhi Vitika aati hai...


Vitika :- ohhhhh ooops love birds ko disturb kar diya lagta hai...


Priyanshu:- tu thik hai na hospital se kab aayi...


Vitika :-haan...….main thik ho gayi jab hospital mein thi tab doctor marne aaya tha mujhe....par usse pahle maine hi usse mar diya.....usse Raja Sahab ne bheja tha..


Priyanshu :- Raja Sahab uski to…par woh tumhare picche kyu pada hai...ek minute tum raja sahab ko kaise janati hoo..???


Vitika :-hmm… kyuki main ek werewolf hu aur tumhari rakshak..


Priyanshu:- matlab…


Vitika:- matlab jab is duniya mein pavitra aatma aati hai uske sath uska rakshak bhi aata hai… jo werewolf hota hai.. aur main yeh bhi janti hu ki Abhay ek vampire hai..aur ab tum bhi..


Priyanshu :- tumne mujhse itna bada sach chhupaya maine tumhe apna best friend mana tha…


Vitika:- sahi time aane par tum sab khud hi jaati..aur dekho Tumhe sab sach pata chal hi gaya...  


Priyanshu:- phir bhi tu mujhe to bata sakti thi na mere liye khud ki life ko khatre mein kyu dala rahi ho.....


Vitika:- meri yahi kismat hai… mujhe tumhari raksha karne ke liye hi chuna gaya hai


Abhay:-main tumhara ye Ehsaan Kabhi nahi bhulunga....


Vitika :-bass ab maine itna bhi koi bahaduri ka kam nahi kiya jo aise bol rahe ho...bsa apni dosti nibhai hai.....


Priyanshu :-aise dost kismat walo ko milte... ishika bhi aishe hi thi..


Abhay:-miss kari ho usse???


Priyanshu :-haan…uss Raja Sahab ka kuchh karna h...


Abhay:-nahi please usse koi panga mat lena Main dubara nahi khoona chahta hun tumhe......


Priyanshu :-mujhe kuch nahi hoga ab Abhay.....


Abhay:-nahi please mein risk nahi le skta ab...


Abhay usse hug kar leta hai par Priyanshu ke dimgh mein kuch chal raha tha.....


Priyanshu :-tum log kahi ghumne jao…


Abhay:- tumhen chorr ke nahi…


Priyanshu :- arre nahi baba please na.... Mujhe nahi jana Tun jao….


Abhay:-khyaal rakhna apna....


Priyanshu :- rakhunga ab main bhi vampire hun


Abhay:-thik hai...


Abhay Vitika chale jate hai...


Priyanshu:-ab mujhe jo karna hai woh main karunga..


Ye bol Priyanshu chala jata hu..


At night


Abhay Ghar aata hai par Priyanshu ghar nahi mein nahi tha...


Abhay:- Vitika kahi Raja Sahab phir se usse nahi le gaya na???


Vitika :- acha socho...aisa kuch nahi hoga... woh thik hoga....usse call karo...


Abhay call karta hai par uska phone Ghar pe tha.....


Tabhi Priyanshu aata hai...


Priyanshu :-Abhay idhar dekho…


Abhay us taraf mudta hai aur shocked ho jata hai


Priyanshu ke muh pe khoon laga tha... jaise woh kisi ka khoon pee ke aaya ho....


Abhay:-Priyanshu...


Priyanshu :-woh main Abhay.....


Abhay:-tum khoon pe kar aaye na....


Vitika :-sorry Priyanshu hum logo ko nahi yaad raha ki tumhe khoon ki need hai h...nahi to hum khud hi tumhe Shikaar pe le jate.....


Priyanshu :-Abhay meri suno to.....


Abhay uske close jata hai...to Priyanshu usse hug kar leta hai aur behosh ho jata hai...


Abhay:- priyu kya hua tumhe.......


Abhay uske hath ko ragadne k

Lagta hai par Priyanshu behosh tha..Abhay hadbada jata hai woh Priyanshu ko bed pe lita deta hai......


Abhay:-isne kisi bimar insan ka khoon to nahi pee liya na??


Vitika :-par usse aisa nahi hota hai..... yeh uthega to hi pata lagega.....


Abhay Priyanshu ka haath pakad kar baith jata hai...thodi der mein Priyanshu ko hosh aata h.....


Abhay:-tum thik ho???


Priyanshu :-woh kahan pe hai???


Abhay:-woh kon???


Tabhi kisi ki piche se aawaz aati hai.....


Lady:-Abhay.....


Abhay turn karta hai to uski maa thi.....


Abhay:-maa.......


Abhay ko samjh nahi aa raha tha kya hua hai Wo ek nazar Priyanshu ko dekhta hai phir apni maa ko.....


Latika(Abhay's Mother) :-gale nahi lagoge???


Abhay bhag kar jata hai aur apni maa ko tightly hug kar leta haii.....


Abhay:-maa aap kaise??


Latika :- priyanshu lekar aaya hai mujhe yahan.....


Abhay ko tab sab samjh aa jata hai ki Priyanshu ne hi unko thik kiya hai.....


Abhay:-maine bahut miss kiya aapko maa.....I love you I love you so much...


Aur Abhay hug kar bachoo jaise ronee lagta hai...uski maa bhi usse tightly hug kar leti hai.....thodi der aisa hk hota hai.....


Priyanshu :- aunty aap thik ho chuki hai to kyu na party ki jaye???


Abhay:-haan.....


Priyanshu :- par is baar party kuch alag tarha se hogi...


Latika :-kaise???


Priyanshu :-Raja Sahab ko mar kar....usne jitna mere Abhay ko rulaya hai mujhe usse utna rulana hai...jitna usne mujhe dard diya hai utna mujhe usse dena hai...har chizz ka badla lunga main usse...har ek chizz ka....


Abhay:-Priyanshu par.....


Vitika :-woh thik keh raha hai Abhay.....ab to Raja Sahab ko marna hoga.....


Latika :-haan...


Priyanshu Abhay ko dekhta hu uske face pee dar tha.....Priyanshu usse aage ho kar gale laga leta hai...


Priyanshu :-is baar kuch nahi hoga mujhe na aunty ko.... hamari shaktiyan uss Raja se zayda hai...


Abhay:-par mujhe dar lagta hai.....


Priyanshu :-darne ki zarorat nahi h6...bas itna pata rakho I love you aur ab kabhi nahi chodunga….


Abhay smiles...


Vitika :-thik hai woh to par ab shikar pe chalte hai.....aunty ko bhi khoon chaiye hoga….


Abhay:-thik hai...


Sab jate hai Abhay Priyanshu Ko pakar side pe le jata hai.......


Priyanshu :-kya kar rahe ho....


Abhay:-sshhh.....


Abhay uske hothon pee kiss kar deta...mmPriyanshu bhi usse support karti hai......


Priyanshu :-kya hua......


Abhay:-thank you.....


Priyanshu :- kis liye??


Abhay:-meri mas ko wapis lane ke liye.......I love you.....


Priyanshu :-love you too.....aur yeh thank you mat bolo samjhe......... pyar Karta Hun tumse...... khushiya dene ka haq hai mujhe...samjhe...


Abhay:-samaj gaya.......


Priyanshu :-good ....


Scene changed.....


Preet :-ab kya karenge raja sahab.....Abhay ki maa aur Priyanshu dono vampire ban gaye hai.....


Raja Sahab:- humse ek galti ho gayi humein unko jala dena chahiye tha......


Preet :-par ab kya.....


Raja Sahab:- aab bas wahi jo socha hai.....sab ko taiyar karo...hum kal hi unpar attack karenge... mujhe koi risk nahi lena hai


Preet :-thik hai....


Scene changed


Vitika :-ahm ahm love birds.....


Dono jaldi se side pe hote hai.....


Abhay:-kya kabab mein haadi ban rahi ho bolo kya hua hai???


Vitika :- maa bula rahi hai aapki.....


Priyanshu :-arre haa.... chalo Abhay.....


Dono jate hai....


Latika :-Raja Sahab kal attack karne wala hai humpe…


Priyanshu:-aapko kaise pata.....


Latika :-woh sab ka time nahi hai.....humien kuch karna hoga.....


Priyanshu :-thik hai.........


Vitika :-aag???


Abhay:-kya aag???


Vitika :-vampires aag se darate hai..... tumhe nahi pata kya….???


Abhay:-haan to???


Vitika :-to Raja Sahab ka swagat karenge…


Priyanshu :-thik hai ....


Next day.....


Raja Sahab nikal chuka tha..... woh jaise hi aata hai....


Raja Sahab:- Preet aur baki sab tum ghar mein jao.......


Sab Ghar mein jate hai...par Vitika piche se ghar ko hi jala deti hai.....aur jo vampires andar the woh sab blast mein mar jate.....kuch vampire se werewolf Ladd rahe the jinhen Vitika ne bulaya tha…


Raja Sahab (in mind):- ohhhh aisa to ab meri bari......


Priyanshu tree ke upar tha.....raja use dekh leta hai woh upar jata hai.......aur mokke ka fayda utha kar usse silver chain pehna deta hai.....


Raja Sahab:- hi.....

Priyanshu :-chorro mujhe


Raja Sahab:-nahi choduga....


Raja Sahab:- bahut hi kamzor ho tumhari shaktiyan kam ho rahi hai.....


Priyanshu yeh sun kar dar jata hai...


Priyanshu :-nahiiii.....


Raja Sahab:-hooooo


Priyanshu :-Abhay.....


Par Raja Sahab Priyanshu ke muh par Hath rakh deta hai....


Raja Sahab:-acha hai ab tu banega mere bechne ka tareeka.....


Priyanshu ki eyes s tears nikl re th.....


Priyanshu ( in mind):-yeh maine kya kiya mujhe pata hota to aisa kuch main kabhi nahi karta ab kya hoga......


Priyanshu yahi sab soch raha tha...


Scene changed...


Vitika :-ab tak to Raja Sahab ko Priyanshu ne silver chain se bhand bhi diya hoga.....


Abhay:-haan...


Wo sab udhar jate hai par wahan koi nahi tha.....


Abhay:-Priyanshu .....


Latika :-Abhay...Priyanshu ko Raja Sahab le gaya.....uski shaktiyan kam ho rahi hai...


Abhay bahut dar gaya tha.....wo apne priyanshu ko nahi khoona chaahta tha.....


Latika :-mujhe pata hai Raja Sahab kahan pe h chalo...


To be continued..



Last_Chapter


Raja Sahab Priyanshu ko Mahal mein le jata hai.....


Priyanshu :- tumne mujhe ya meri family ko nuksan puhanchane ke baare mein socha bhi na to acha nahi hoga


Raja Sahab :-tum kya karoge??? Tum to is silver chain mein ho na?? Tumhari shaktiyan ab kaam nahi karengi...


Priyanshu :-mera Abhay aayega......


Raja Sahab :-wo Abhay jo pehle bhi tumhe nahi bacha paya??? Wo Abhay aayega kya......???


Priyanshu :-hass lo tum par yaad rakhna ki tumhare tukre tukre kardunga yahan se bahar nikalne ke bsad.....


Raja Sahab :-wahi to nahi karne dunga tumhe..... bas tum dekhte jao...


Thodi der mein Abhay uski maa aur Vitika waha aate hai......


Vitika :-Raja Sahab itna gir jaoge tum socha nahi tha


Raja Sahab :-aisa ky8...???main gir gaya ya tum giri..... tumse main pyar karta tha Vitika aur tum.....


Vitika :- pyar yeh nahi hota hai..... maine badalne ko bola aur tum woh bhi nahi kar sake.....Abhay ki maa ko mardiya tumne. ..to kaise rahti tumhare sath???


Priyanshu confuse hogaya tha soch kar yeh kya hogaya haii.....


Vitika :-tum Priyanshu ko chorr do..... please


Raja Sahab :-kabhi nahi is Abhay ne tumhe mujse cheena 6h....... mujhe barbad karna chahta hai main isko barbad kardhga iske pyar ko mardunga......


Vitika :- please.... mujhe tumse nafrat karne ki ek or wajah mat do


Latika :-kuch sochna bhi mat waisa....


Abhay :-tum jo kahoge main karunga par Priyanshu ko chorr do..


Raja Sahab :-to mujhe jane do yahan se.....


Abhay :-thik hai...


Priyanshu :-bilkul nahi main isko yahan s6 jane nahi dunga..sab hisab lena hai mujhe is se...


Latika :-Priyanshu samjho please....


Priyanshu :-Abhay.....main aise kaise jane dun…


Abhay :- mujhe kuch nahi pata mujhe bas tumhe bachana hai.....


Priyanshu chup ho jata hai...


Priyanshu :-thik hai jana par mujhe kholo.....


Raja Sahab jaise usse kholne jata h...Abhay door lock kar deta hai...aur ussse side pee le jake marne lagta hai.......Vitika key dhudhene nahi lagi jaldi jaldi.....


Raja Sahab Abhay ke upar aajata hai... woh usse bite karne lagta hai...


Priyanshu :-Abhay .....


Priyanshu bahut zor lagata hai jiski wajah se silver chain tut jata hai....aur woh Raja Sahab ko side pee kar uski gardan pakad kar dhar se alag kar deta hai.....


Thodi der mein Raja Sahab nicche gira pada tha...Latika jaldi se aag lati lekar aati hai aur usse jala deti hai.....


Priyanshu :-huh...


Abhay usse hug kar leta hai bhag kar


Priyanshu :-Abhay tum thik hai na.....


Abhay :-haan 


Wah uske mathe par kiss karta hai.....Priyanshu bhi usse tightly hug kar leta hai...


Latika :-Vitika kahan hai???


Sab dekhte to Vitika ka kahi bhi nahi thi..


Priyanshu :-Abhay woh aur Raja Sahab kya tha unnme…


Abhay :-baad main bataunga abhi usse dhundhna hai.....


Abhay aur sab jate hai......to Vitika ka ussi pahadi pe baiti thi jahan pe Raja Sahab sabka khoon peeta tha...


Abhay :-Vitika ....


Vitika ka :-haan…


Vitika apne aansu saaf karti hai aur inki tarf muddati hai..


Abhay :-tum thik ho na…


Vitika ka :-haan...


Vitika fake smile karti hai...


Priyanshu :-sach main...???


Vitika Priyanshu ko hug kar leti hai tightly.....aur rote huye kahati hai…


Vitika :-haan .... achha hua wo margaya...aisa hi hota bure logo ke sath.....tum meri fikar na karo main thik hun...


Abhay :-main sab janta hu tu usse pyar karti thi.....


Vitika :-usse kya fark padhta hai..... woh mere liye badla nahi...jante ho Priyanshu main aur woh ek dusre se bahut pyar karte the woh jab Raja bana to woh badal gaya..... woh mera tha hi nahi.. main usse badalne ki koshish bhi ki...par woh nahi badla ..aur Main usse chorr aayi yeh umeed se ki woh wapis badal kar aayega ..par na wo mere paas aaya na badla. .. woh shayd pyar karta ho mere se par mujhe aisa pyar nahi chahiye.....isliye kabhi uski baat nahi ki


Priyanshu :-hmm tum ro mat…


Vitika :-nahi ro rahi hai..


Abhay :-par maa apko kaise pata chala ki Priyanshu kahan hai ???


Latika :-mere paas aisi shaktiyan hai...jo ho raha hota hai sab pata chal jata hai.....


Abhay :-acha......


Latika :-han by the way aaj se tum is vampire samrajya ke Raja ho…


Priyanshu :-sachi main…


Latika :-haan..... par Abhay tum kabhi mat badalna...


Abhay :-kabhi nahi..


Sab khush the.....


Abhay Priyanshu ko kamar se pakad kar khud ke paas khenchta hai.....


Abhay :- i love you.. my jaan main promise karta hu ki kabhi bhi nahi badalungaa aur hameshaa tumse hi pyar karunga


Abhay uske maathe par kiss karta hai aur sab uss mahal ke andar chale jate hai...


 Few weeks later


Abhay :-maa aap yahan kya kar rahi ho Priyanshu ko jaldi ready karo na please…


Vitika :-haan haan dulhe sahab se wait nahi hora hai aunty


Abhay :-meri lena band karo.....waise bhi mera hone wala husband hai...aaj dusri baar shaadi karne wale hai I hope sab kuch thik ho …. Kuch gadbad na ho…


Vitika ka :-jo bhi hai....par yeh to tujhe hi pata hai na Priyanshu ko thode hi pata hai uske liye to suprise hai???


Abhay ki maa chahati hai......ki in dono ki shadi dubara ho kyuki pahli baar adhuri rah gayi thi... lekin Abhay ki tarf se ye6 Priyanshu ko surprise hai....usse iske bare mein kuch bhi nahi pata hai


Scene changed...


Priyanshu :-meri shaadi thodi hai aisa suit laye ho aap...


Tbhi Vitika ka aati hai...


Vitika :-Abhay chahta hai tujhe aise dekhna tabhi.....


Priyanshu :-ufffoo yeh Abhay aur uski ulati sidhi farmaishen....


Vitika:-hehe chalo pehn lo ..


Priyanshu :-haan thik hai...


Priyanshu woh suit pehan kar aata hai...thodi der mein sab nikal jate hai...Priyanshu ko blindfold kardete hai...


Priyanshu :-kya kar rahe ho tum log…


Latika:-thodi der beta...


Sab church ki tarf jate hai...Priyanshu ko car se bahar nikalte hai.....aur church mein enter karte uski aankho par se pati hata dete hai.......


Priyanshu woh sab dekhta hai aur iski aankhon mein aansu aa jate hai....sab bhuth aache se decorated tha...har tarf Abhay Priyanshu ki pics thi...aur Abhay samne tha.....Priyanshu rone lagta hai...


Vitika:-kya hua.....


Abhay Priyanshu ke paas aata hai aur uske aage aa kar apne ghutno pee baith jata hai.....


Abhay :-kya mujhse phir se shaadi karoge???


Priyanshu haan me apna sir hilata hai ....


Abhay khada hota hai aur Priyanshu usse gale laga leta hai.....


Priyanshu :-itna pyar karne ke liye thank you...


Abhay :-sshhhh rona nahi ab...


Priyanshu smile karta hai...


Dono jate hain dono ki shaadi ki rasmhe shuru hoti hai.....


Shaadi...


Father:- Since it is your intention to enter into the covenant of Holy Matrimony, join your right hands, and declare your consent before God and his Church.


Father :- Abhay, do you take Priyanshu to be your husband? Do you promise to be faithful to him in good times and in bad, in sickness and in health, to love him and to honor him all the days of your life?


Abhay :- I do..


Father:- Priyanshu, do you take Abhay to be your husband? Do you promise to be faithful to him in good times and in bad, in sickness and in health, to love him and to honor him all the days of your life?


Priyanshu :- I do..


Father:- now you may kiss the groom


Abhay smiles karta hai.......wo Priyanshu ko khud ko paas khinch kar apne lips uske lips pe rakh deta hai...both were kissing each other passionately.........dono ke kiss mein ehsaas tha pyar tha care tha.....dono bahut kush the.......


sab khush the…tabhi Vitika kahati hai…


Vitika :- priyanshu tumahre liye tumhare shaadi ka tohfa layi hu dekhoge nahi…


Priyanshu uss tarf dekhta hai..waha priyanshu ki maa anjana thi… jo usse dekhkar bahut khush thi…


Priyanshu:- papa nahi aaye…


Anjana:- unke liye yeh sab bahut naya hai… unhen thoda time do woh samjh jayenge… mujhe vitika ne samjhaya ki gay hona koi bimari nahi hai balki naturel hai… koi bade hokar decide nahi karta hai ki woh gay banega.. yeh to janam se hi hota hai…


Priyanshu Vitika ki tarf dekhkar usse thank you kahta hai…


Priyanshu:- thank you viti tune mujhe mere shaadi par bahut hi special gift diya hai isse aacha gift ho hi nahi sakta


Vitika:- apne yaar ke liye main itna nahi kar Sakti….


Anjana:- haan beta Vitika ne mujhe aishi kai logo se milaya jo LGBTQI+ community se hai.. aishe Bahut se couple's se milaya jo ek dusre ek sath bahut Khush hai…..isi ke wajah se meri barson purani soch badali hai…Aur main yahan aa gayi apne bete ko aashirwad Dene…


Priyanshu apni maa ke gale lag jata hai… anjana apne dono bete ko aashirwad deti hai..


Anjana:- humesha khush raho… aur aishe hi ek dusre se pyar karte raho...


Abhay aur Priyanshu aaj bahut khush the… donon ne sabhi musibaton ka samana kar apne pyar ko pa hi liya tha… aur apni zindagii ek saath batayi…


The End...



Comments