Pyar Ki Yeh Anokhi Kahani Chapter 1-4
Pyar Ki Yeh Anokhi Kahani
Chapter_1
Character's
Abhay - Main Lead
Priyanshu - Second Lead
Raja Sahab - Main Villain
Anjana - Priyanshu's Mother
Sanjay - Priyanshu's Father
Vitika - Priyanshu's Friend
Latika - Abhay's Mother
Ishika - Abhay's Friend
Preet - Villain
Priyanshu:- mom main city se bahr ja raha hun
Anjana:- haan janti hun.....Par Jungle main jane ki kya zaroorat hai?
Priyanshu:- mom aap tension mat lo bas ghumne he to ja raha hun na............. travel vlogger hu....to bas vlog shoot karuga
Anjana:- haan dhayan rakhna apna
Priyanshu:- ok mom aap bhi...ab mujhe late ho raha hai.......jaata hun.....
Priyanshu chala jata hai...apni friend Vitika ke sath......
.
.
Priyanshu:- khub maza aane wala h.....
Vitika:- haan jungli janwaro ke bich tum dance jo kroge
Priyanshu:- haha ek yahi to shoq hai mera .......
Dono Dehradun ki wadiyon mein pohanch jate h.....dono jungle ke samne kahre they........
Vitika:- tu sach mein jane Wala hai.....
Priyanshu:- aaye hi hai janne ke liye.....yeh mein pehli bar karne jara hun or main bahut excited hun
Vitika:- priyu daar lag raha hai yaarrr.....
Priyanshu:- darrna nahi hai......
Priyanshu jungle ke andar jane hi lagta hai...ki itne mein koi aadmi usse awaz deta h.....
.
Priyanshu:- ji uncle.....?
Uncle:- beta tum kahan jaa rahe ho.....
Priyanshu:- jungle mein jaa rahe hai...
Uncle:- beta mat jao abhi.....1-2 din pehle yahan pe kisi bande ko koi jungli janwar ne buri tarha se mara hai..
.
Priyanshu:- sach????
Uncle:- haan.....
Priyanshu:- phir to jane mein or bhi maza aane wala hai
Vitika:- shut up Priyanshu hum nahi jane wale.....
Priyanshu:- tujhe Nahi jana mat jaa....main to jane wala hun.....
.
.
Priyanshu jungle mein chala jaata hai.......
.
.
Priyanshu:- wow ye bahut hi khubsurat hai..... Vitika ne to yeh miss kar diya.......
.
.
Priyanshu camera nikalta hai Or video record krne lagta hai .....
.
.
Priyanshu:- wow sub bahut acha hai......
.
.
Priyanshu jaa hi raha tha ki itne mein usse aisa feel hota hai ki jhadiyon ke peeche kuch hal chal si ho rahi hai.....wo tree ke peeche chup jata hai......Wo dekhta hai.....ke koi wahn pe baithe....ek mare hue admi ki neck ke sath kuch kar raha hai.....
Priyanshu:- hey kya kar rahe ho.........
Wo bnda jaldi se wahan se chala Jata hai ki Priyanshu uski shakal bhi nahi dekh pata....par uske camera mein sab record ho gaya tha......Priyanshu us mare huye bande ke pass jata hai...........ek achanak se pichhe se koi aata hai....or uska camera le jata hai..
Priyanshu:- kon hai
Priyanshu ko wahan aajeb lagne laga tha.....to wo wahan se bhag aata hai...
Priyanshu bhag ke bahar aata hai......... vitika wah baithi thi.....wo Priyanshu ko dekh k uske paass jati hai.......
Vitika:- kya hua ..... tera bag sab saman kahan hai???.....
Priyanshu{hampte hue}:- woh jungle mein rah gya.....
Vitika:- hamp kyu Rahi hai
Priyanshu:- wahan pe koi mara hua tha...aur koi uske pass baitha tha...jab meine usko bulaya to woh gayab ho gyaa
Vitika:- haan bhag Gaya kyu ki woh koi insan nahi ghost tha.......
Priyanshu:- shutup woh ghost nahi tha.......
Vitika:- koi insan kaise gayab ho sakta hai phir
Priyanshu:- yeh bhi hai.....par woh ghost tha ya nahi..... mujhe nahi pata yaarr.....I think wo mare huye aadmi ki help kar raha hoga....
Vitika:- aur tera camera?
Priyanshu:- mere camera mein record hi kar raha tha..... I think camera gir gaya.....par mujhe nahi mila
Vitika:- kahi tere peeche bhoot to nahi padh gaya......
Priyanshu:- bhoot nahi tha..........wo bhoot nahi tha....meine usko side se dekha tha......
Vitika:- acha yeh sab chore chal hotel mein room le lete hai....tera intazar kar rahi thi........
Priyanshu:- ok.....
Dono dekhte hai woh subha wala uncle abhi bhu wahi tha.......or unhen hidekh raha tha
Priyanshu:- lgta hai uncle idhar hi rahtey honge
Dono hotel jate hai Room mil jata hai..jungle ke pass mein hi tha unka hotel......
Scene changed.......
Koi Banda baitha tha.......uske hath mein Priyanshu ka camera tha ..........
Person:- hmm ladka to aacha hai......๐
Wo bar bar Priyanshu ki video play kar raha tha...........par video mein wo scene bhi tha.....jab koii murda aadmi k pass baita tha.......
Uss bande ko wo dekh ke gussa aata hai...... woh apne hath mein camera itna zor se pakrta hai ki camera tut jata hai
Person:- mujhe pakroge....acha game hai ye........khelne mein maza aayega.......
Scene changed.....
Priyanshu so ke uthta hai.......woh log breakfast kar hi rahe the ....ki usko hotel ke bahar police car ki siren sunai deti hai.......
Priyanshu bahar jata hai ......usko wohi aadmi milta hai..jo kal use jungle mein jane se rok raha tha.....
Uncle:- aaj phir ek insan mara gaya.....jiss janwar ke bare mein bol raha tha.....ussi jungli janwar ne mara hai isse..... bahut t kahtra hai jungle mein.......
Priyanshu thora aage hokar dekhta hai.....to woh aur koi nahi balki wohi person tha.......jisko kal usne mare hue dekhaa tha jungle mein.....
Priyanshu:- agar woh janwar itna hi kahtrnak tha...........to usne uss insan ko kyu nahi mara jo iske tha.......
Priyanshu police k pass jata hai......
Priyanshu:- yeh jo person hai jisko jungli janwar ne mara hai.........apko iske sath koi aur mila tha kya??๐ถ
.
Poilce:- nahi, par aap yeh kyu puchh rahe hai
Priyanshua:- kuch nahi main to bas aishe hi pucha......
Priyanshu unn uncle ke pass jata hai....
.
Priyanshu:- uncle aap yahi jungle ke b5ahr hi rahte ho na.......
Uncle:- rahta to nahi.....par kal mei idhar hi tha pura din.......
Priyanshu:- to uncle aapne mere se pehle.....ya mere baad kisi sur ko aate ya jate huye dekha kyaa.....
Uncle:- nqhii beta....
Priyanshua:- hmmm… kamal hai yeh kaise ho sakta hai (Priyanshu in mind woh person gaya kahan....kya wo sach mein ghost tha.....nahi wo ghost nahi ho sakta hai.........)
Itne mein vitika aati hai.....
Vitika:- kya kar raha hai Priyanshu?????
Priyanshu:- main wapas jungle mein jaunga
Vitika:- what??are you mad.....tujhe marne ka itna hi shokh hai to kisi gaadi ke nicche kyu nahi aa jata.....
Priyanshu:- shutup viti.....mujhe jana hai....mera camera bhi udhar hai.....aur wo person bhi
Vitika:- no please.....
Priyanshu:- tu mom se is bare m kuch nahi kahegii tujhe meri kasam hai........
Vitika:- par Priyanshu.....
Priyanshu:- bola na meine
Vitika:- okk....
To be continued..
Chapter_2
Priyanshu hotel ke room mein tha......jane ke liye ready ho raha tha.....usne new camera bhu le liya th
Vitika :- are you sure tujhe jana hai???matlab ek bar phirse soch le....
Priyanshu :- haan Vitika mujhe jana hai
Vitika usse hug kar ke rone lgti hai......Priyanshu bhi udko hug kar leta hai......
Vitika :- agar kuch hogaya to aunty ko kya kahungi
Priyanshu :- yahi ke apka beta mar gaya.......
Vitika :- shutup......kuch bhi na ho aisa.......bass mein chahti tu sahi se jaye sahi se aaye
Priyanshu :- mujhe pata hai mein sahi se hi aunga.......ok bye mujhe jana hai ab
Priyanshu jungle mein chala jaata hai.......
Scene changed......
Person:- hahaha.....mujhe dhudhna chahte ho๐๐.....jab tak mein na chahu tab tak tum mujhe kabhi bhi dhudh nahi sakte ๐
Other side.....
Priyanshu jungle mein jaa raha tha....woh ussi jagah per tha.....jahan kal usne uss person ko mare huye aadmi ke pass baithe huye dekha tha.......
Priyanshu idhar udhar dekhta hai to wahan camera padha tha.....jo ajeeb tarha se tuta hua tha
Priyanshu :- itni buri halat๐ฐ...............
Priyanshu usko on karne ka try karta hai.... par wo on nahi ho raha tha....
Priyanshu :- no no please.....on ho jao.....isme Uss person ki video thi.....face bhi zaroor hoga......par yeh To chal hi nahi Raha .....
Priyanshu camera apne bag dal deta hai.......
Priyanshu :- isko thik karwa lunga kya pata wo video abhi bhi isme ho.....aur main uss person tak pahunch jaun....par is camera ki ye halat ki kisne
Priyanshu idhar udhar dekhta hai.....par wahan koi nahi tha...... woh aage jata hai.....to wahan bahut beautiful butterfly thi....... yeh dekh kar priyanshu smile karne lagta hai..... uski pic Leta hai.....
Itne mein usse feel hota hai ki uske peecha se koi gaya hai.....who turn kar ke dekhta hai.....to whn koi nahi tha....usko phir se feel hota hai...uske peeche se koi Gaya.....woh fir turn Karta par wahan koi nahi tha.......
Priyanshu :- kon hai please mujhe dar lagra hai........mat Karo......
Priyanshu ki aankhon mein aansu aa jate hai..... woh tree koh jake hold kar leta hai.....uske hath pe khun ki boond ghirati hai .... priyanshu upper ki taraf dekhta hai toh tree k uper kisi ki lash thi.......
Priyanshu :- ohh god.....aisa bhi kon sa janwar hai.... Jo laash ko pedh ke upar le gaya
Priyanshu :- mujhe jana chahiye yaha se ....nahi toh Vitika thik kah rahi thi ki kahii mein bhi apni jaan na gawah betun.....
Priyanshu jaldi se jaldi wahan se bahar nikalne ki try karta hai.......Priyanshu chala jata hai.........koi person wahan kahra tha......
Person:- abhi toh khel shuru hua tha aur tum ho ke itni jaldi dar gaye๐.......
Wo person bhi wahan se chala jata h.....Priyanshu jaldi se hotel jata hai...uske kapdo par khun dekh kar.....Vitika dar jati hai.......
Vitika :- Priyanshu tum thik hona
Priyanshu kuchh nahi bolta direct shower lene chala jata hai...kyu ki usko abhi relax hona tha thora..........Thori der mein aata hai.....
Vitika :- thik hai tuu.........
Priyanshu :- yes I am fine
Vitika :- to woh blood.....??
Priyanshu :- aaj bhi koi mara hua tha jungle mein....
Vitika :- Priyanshu ab tu wahan nahi jayega.....
Priyanshu :- ok... par vitika woh janwar mujhe kyu nahi mara matlab 2 bar main jungle mein gaya..... aur yeh log to I think first time gaye honge na......
Vitika :- tere jaise pagal honge jo itna sub jaane ke baad bhi chle jate hai.......
Priyanshu:- exactly main bhi yahi soch raha tha.....matlab jab unhe pata hai wahan aise log mar jate hai to kyu jate hai woh log
Vitika :- tu in sub mein kyu padh raha hai jane de na......
Priyanshu:- main uss Janwar ko dhundh ke nikalu ga.....pata hai aaj maine feel kiya jaise koi mujhe chhup ke dekh raha ho.....uske baad aisa laga ki mere pechhe se gaya ho.....
Vitika :- kitna dangerous hai yeh sab.....
Priyanshu :- haan.......par mujhe aise Kaam karne mein maza aata hai ๐
Vitika :- tu pagal hai, soja ja ke....
Priyanshu udhar baith kar kuch soch raha Hota hai......
Priyanshu so ke uthata hai...... woh pehle apna camera lekar shop pe jata hai.......
Priyanshu :- hello kya aap please yeh camera thik kar denge
Shopkeeper:- yeh to bahut bure tarike se tuta hua hai.....kya hua tha...
Priyanshu :- ummm.....wo...wo truck ke nechhe aagaya tha..
Shopkeeper:- truck...... pata nahi yah thik hoga bhi ya nahi
Priyanshu :- please aisa mat boliye isse. Thik kar dijiye......isme kuch bahut important hai.....
Shopkeeper:- okk main try karuga
Priyanshu :- thank you.......kab tak Lene aayu..
Shopkeeper:- 2 din baad๐l
Priyanshu :- ok.....
Priyanshu wahan se chala jata hai...usse raste mein Bar bar feel ho raha tha.....jaise usse koi dekh raha ra ho....... ya usse koi follow Kar raha ho........Priyanshu ghabra jata hai.....aur tez tez chalne lagta hai.....woh peche turn karta hai.....to wahan koi nahi tha.....wo hotel jata h.......
Scene changed.......
Person:- yeh camera tumhe thik ho ke kabhi nahi mil sakega.........jab tak main na chahu tab tak na to tum mujhe dhundh sakte ho....aurr na hi kuch mere bare mein pata laga sakte ho........
Itne mein usse koi telepathy ke zariye contact Karta hai..... woh person waha se biljli ki raftaar se gayab ho jata hai jaise waha par koi tha hi nahi...
Person:- ji raja sahab..... aapne mujhe bulaya.....
Raja Sahab:- haan tumse kam tha kuch.....
Person:- apki kidmat mein hazir hun main.......
Raja Sahab:- Priyanshu ko jante ho?
Person smile karne lagta hai.......
Person:- ji samjh gaya main.....aapne kyu bulaya hai mujhe yahan par...... meri nazar ussi par hai.....har pal uske pechhe hu.....jo aap soch rahe hai woh nahi hoga.......
Raja Sahab:- hona bhi nahi chaahiye.........
Person:- jiii Raja Sahab.....
Raja Sahab:- agar baat bigad gayi toh zaroorat padhne per usse maar dena......
Person:- Marne ki zaroorat hi nahi aayegi๐
Raja Sahab:- yeh acchi baat hai.....
Woh person wahan se chala jata hai
Other side.......
Priyanshu hotel jata hai.....
Priyanshu :- vitika tu mera peccha kyu kar Rahi thi
Vitika :- maine nahi kiya tera peccha
Priyanshu:- mujhe aisa feel hua jaise koi mujhe dekh raha tha.....mere pecche aa raha tha
Vitika :- yah sab tere uss jungle mein jane ki wajh se ho raha hai.......
Priyanshu :- main pata laga ke rahuga ke woh kon hai.....jo mujhe nahi mil raha wo bhi Mere itne pass hoke.........
Vitika :- kya pata woh bhoot ho๐ถ
Priyanshu :- tu yeg horror films dekh aur bass yehi soch ke woh bhoot tha.....kyuki Tu aur kuch soch bhu nahi sakti hai.........
Vitika :- huh.......
Vitika wahan se chali jati hai.....aapne room mein Priyanshu bed pe hi baith jaata hai.......
Priyanshu :- main pata laga ke rhunga tum jo bhi ho yeh mera promise hai khud se...........
Scene changed
Person:- hahaha tum kabhi nahi pata laga paoge ke main kon hun.....main har pal ek saaye ki tarha tumhare peccha karuga........... tumhari har agali chal se wakif rhnunga.....
Priyanshu :- main kal hi jungle mein phir se jaunga sirf tumhare liye.....
To be continued..
Chapter_3
Next day.......
Priyanshu jungle mein phirse jata hai............
Priyanshu :- kon ho tum.....I know tum koi insan hi ho.......kyu kar rahe ho Mera pecchha kyu dara rahe ho mujhe.....kyu chhup rahe ho mujse...... trust me....agar tum mere samne aaogey to mein tumhe kuch bhi nahii karuga.....
Priyanshu jungle k andar jata hai............par usse na hi Kisi insan ki awaz or na kisi insan k udhar majood hone ka ehsas hota h.......
Priyanshu :-haadd h๐......
Itna mein usse feel hota hai ki jhadiyan hil rahi hai.......
Priyanshu :- to tum yahan ho
Priyanshu jhadiyon ki tarf jata hai...... Unhen side karta hai................. woh udhar dekh ke shocked hojata hai.....kyuki udhar koi insan nhai tha..... Balki ek bhediye(๐บ) the........Priyanshu usko dekh dar jata hai.......
Priyanshu wahan se bhagne ki koshish karta h.....par 5 6 bhediye usse gher leete hai.....Priyanshu ko ab sirf muat nazar aa rahi thi.....uski aankhon se aansu nikla rahee the....woh apni aakhon par hath rakh leta hai.......
Usse aisa lagta hai...ki koi usse zameen se uper ki tarf uthaya hai.....isse pehle woh apni akhienn khol uss insan ko dekh pata isse pehle hi woh jungle ke bahar road par khada tha......
Priyanshu :- mein yahan kese.........yeh kaise mumkin hai.....ohhh god mujhe yakeen nahi ho raha hai...... yeh mere sath kya hora h๐ฐ๐ฐ๐ฐ.....
Priyanshu wahan se hotel mein bhagata hai.....
Vitika :- tu thik hai na.....
Priyanshu :- bilkul nahi.......
Priyanshu Vitika ko sab batata hai.....Vitika shocked hojati hai... yeh sab Sune ke baad
Vitika :- mujhe laga hi tha........wo koi bhoot hai.....
Priyanshu:-shutup woh bhoot nahi tha..... woh kon tha....... itni jaldi ek pal mein main jungle mein tha.....or dusre he pal mein main jungle se bahar tha
Vitika :- haan Yeh baat bahut ajeeb hai.......
Priyanshu(in mind):- kya yeh wohi insan tha.....agar usne mujhe bachaya to agli baar bhi mujhe kuch hua to woh bchayega........... matlab agar mujhe usse dekhna hai to khud ki jaan ko wapis khatre mein dalna hoga aur main abhi hi aisa krunga....
Priyanshu car leta hai.....aur nikal padhta hai....... woh khayi ke paas jaata hai apne hath stayring pe se hata Leta hai........kuch duri par khayi thi....... woh apne aakhe nand kar leta hai.........break dabane ke bajaye car ki speed aur barha raha tha...........
Priyanshu :- mujhe bacha lena god ji please ๐๐ป
Ki itna mein uski car ruk jati Hai.....Priyanshu hath hata kar dekhta hai.....to woh khayi se kuch hi duri pe uski car ruk chuki thi.......
Priyanshu :- bagair break dabaiye car ruk kaise gayi
Priyanshu idhar udhar dekhta hai to wahan par koi nahi tha.......
Priyanshu :- konn ho tum........
Scene changed.......
Person:- tumhari chaal aache se samjh chuka hun main .... abki baar khud ko mushkil mein dala toh mein nahi bchayuga tumhe.
Priyanshu hotel chala jata hai............
Priyanshu :- yeh possible nahi ho sakta hai.......bilkul bhi nahi yeh jo kuch bhi ho raha hai yeh normal to bilkul nahi hai.......kal jab woh camera mujhe mil jaiyga toh pata chal jaiyga ki woh Banda kon hai....
Priyanshu washroom mein chala jata hai shower le kar bahar aata hai.......bed pe let jata hai lethe sath hi so jata hai kyuki woh bahut thak chuka tha......
Itne mein woh person window se aata hai uske room mein......
Person:- tum itne masoom ho bhole ho......par utne hi daring bhi ho..... mujhe yahi baat tumhari bahut pasand hai.......main tumhe mar ne nahi de sakta nahii pata kyu par nahi..... kyuki ab mujhe aadat ho gayi hai tumhara peechha karne ki sath rahne ki
Wo person uske forehead pe kiss karta hai aur waha se chala Jata Hai.......
Person:- yeh mujhe kya ho raha hai..... tumhara khyaal nahi nikal paa raha hu main apne zehen se....... tumhara peccha karne ki aadat hai..... tumhe tang karna achha lagata hai.......kya main pyar mein hun par agar aisa hai Toh yeh galat hai bahut galt.......main tumhe kabhi chah kar bhi apna nahi bana paunga.....Abhay bhul ja usse......
Yes wo person or koi ni balki story kaa hero hai Abhay
Abhay wahan se Priyanshu ke hotel ke paas jata hai.....
Priyanshu so ke uthata hai....... woh jaldi se ready ho jata hai aaj camera lena jana tha usse...
Priyanshu :- aaj wait nahi ho raha mujhse.....aaj finally uss insan ka pata lag jayega ki kon hai woh.....
Udhar shopkeeper uska Camera thik karta hai......... woh camera chala ke dekhta hai ki woh thik hua hai sahi se ya nahi.......par woh jo dekhta hai uske baad shocked ho jata hai.....
Abhay :- kya. Hua
shopkeeper :- tum tum to is video mein.....
Abhay :- Haan main hi hun
shopkeeper :- m-mujhe c-ch-chorr do ki-kisi se k-kuch ni kh-khunga.....
Abhay :- nahi jane de sakta hun.....
Scene changed.......
Priyanshu ready ho jata hai......
Vitika :- kahan ja rahe ho?
Priyanshu :- woo camera mil jaiyega aaj
Vitika :-hmmm…
Priyanshu :- tu khush nagi hai…
Vitika :- kaise khush ho sakti hun teri jaan kahtre mein hai.....
Priyanshu :- aisa kyu kah rahi ho....
Vitika tv on karti hai...Priyanshu shocked ho jata hai.....kyuki usme ussi shopkeeper ke murder ki news thi jo camera thik kar Raha tha....
.
Priyanshu :- yeh to wahi shopkeeper
Vitika :- haan......
Priyanshu :- iska murder kon???
Vitika :- wohi jungli janwar
Priyanshu ek dum shocked tha usse smjh nahi aa raha tha woh kya bole.......uski aankho mein aansoo aa jate hai kyuki ab woh bahut dar gaya hai.........
Vitika :- umeed hai ke tum dubara ab jungle mein nahi jayega....
Vitika yeh bol ke chali jati hai.....Priyanshu udhar hi bed par baith jata hai..
Priyanshu :- jungali janwar woh azaad ghum raha hai kyaa......... mujhe aisa kyu lag raha hai ki jo shopkeeper ke sath hua usse zaroor mera koi connection hai
Priyanshu ko kuch samjh nahi aa raha tha.......
Abhay :- umeed karta hun tum ab jungle mein nahi aaoge tumhare liye wahan pe bahut kahtra hai main tumhe kisi mushkil mein nahi dekh sakta hun.......
Priyanshu :- kon Hoga aakhir yeh jab se iss city mein aaya hu tab se katal ho rahe hai......police ko kuch nahi pata.....kahi yeh wohi insan toh nahi jisko mein dhudhna chah raha hun
Priyanshu ek dum uth kar baith jaata hai....
Priyanshu :- par woh yeh sab kyu kar raha hai kahi woh serial killer to nahi..... mujhe police ko batana chahiye.......par police to dhudh hi nahj pa rahi hai......
Priyanshu ankhien band kar leta hai woh bahut uljha hua tha.........usse kuch samjh nahi aa raha tha.....jo kuch bhi ho raha tha wo normal nahi tha.....itne murder.....or wo bhi ek insan aur usse sab janwar samjh rahe hai.......
To be continued..
Chapter_4
Priyanshu bahut pareshan tha.....
Priyanshu(in mind):- Vitika bhi mere sath hai agar usne vitika ke sath kuch kar diya toh mujhe uski Life risk mein nahi daalni hai aaj se jungle nahj jaunga kbhi bhi nahi........ab Ghar jana hai mujhe..... yahan har dusre din murder ho rahe hai........
Priyanshu baith jata hai woh bahut dar chuka tha uss shopkeeper ki muat ke baad.......
Priyanshu:- mujhe apna mind divert karna hoga nahi toh iss tarha main bahut pareshan ho jaunga.......
Priyanshu ready hone Lagta hai woh club jane wala tha wo bahut hot lag raha tha.
Abhay(in mind):- ohhhhhh god tum itne hot or sexy ho apni feelings ko control krn5a mushkil hota ja raha hai yeh tumhare pink lips dil kar raha hai abhi kiss kar lun tumhe...........
Abhay usse dekh raha tha.....Priyanshu ko aisa feel hota hai jaise usse koi ghoor raha ho......
Woh sab jagah dekhta hai par wahan koi nahi tha.....
Priyanshu :- har pal aisa Lagta hai jaise mujhe koi har waqt dekh raha hota hai..
Priyanshu hotel se bahar nikalta hai cab leke club chala jata hai.......
Priyanshu bar mein tha kuch boys usse gandi nazron se dekh rahe the priyanshu unhen ignore karta hai…
Priyanshu wahan baitha Hota hai itne mein Abhay aata hai usne cap pehan rakhi thi jiski wajah se priyanshu uska face Nahi dekh paa raha tha.......
Priyanshu ko woh kuch jana pahchana Lagta hai woh uske paas jata isse pehle ek ladka uska hath pakar ke khud ke close khichta hai aur kiss kar deta hai.....
Abhay:- how dare he๐ก
Par Priyanshu uske waha par zor se Marta hai jaha sabse zayda dard hota hai uski khub dhunai krta hai........
yeh dekh ke Abhay smile krta hai
Priyanshu apna bill dene jata hai........
Bartender:- sir aapka bill pay kar diya gaya hai......
Priyanshu :- kisane
Bartender:- unhone...
Priyanshu udhar dekhta hai woh abhay tha par priyanshu usk Face sahi se dekh nahi paa raha tha woh uske paas jata utne me hi abhay wahan se gayab ho chuka tha.....
Priyanshu :- kya yeh wohi tha jisko main itne time se dhund raha hun par woh mera bill kyu pay kiya hoga kya ab woh mujhe marna chahta hai
Abhay (in mind):- tumko toh chah kar bhi nahi mar sakta hun main kyuki main tumse pyar karne laga hun janata hun ki yeh galat hai par mujhe pyar ho gaya hai tumse
Priyanshu cab leke wapas hotel chala jata hai woh abhay ke baare mein hi soch raha tha.......
Priyanshu :- kon hai aakhir woh kya chahta hai woh mere se
Priyanshu bed pe lait jata hai usse nind aa jati hai itne mein Abhay aata hai woh uske shoes utarta hai usko sahi se litata hai thodi der ke liye abhay uski masumiyat mein hu gum ho jata hai
Abhay uske lips ko dekh raha tha jo usse kiss karne pe majboor ka rahe the woh priyanshu ko halki si kiss karta hai
Abhay :- I love you
Abhay udse blanket deta hai aur wahan e se chala jata hai.....
Next day....
Priyanshu so ke uthata hai woh kal raat ke baare mein hk soch raha tha ki aakhir woh koun tha woh Banda uska peccha kyu kar Raha hai.......
Priyanshu ready hone lagte hai.....
Vitika :- kahan ja raha hai??
Priyanshu :- jungle
Vitika :- tu pagal hai kyu ja raha hai dekh nahi raha hai woh jungali janwar jungle se bahar aa ke logo ko maar ke ja raha hai to kya woh tujhe chhor dega
Priyanshu :- l don't care mujhe bas uss person ko dundhna hai aaj last baar jana hai mujhe agar mil gaya to thik nahi to main Tere sath Ghar chlunga Mera promise hai tere se par please tu mom ko kuch mat bolna......
Vitika :- okay par tum galat kar raha hai Priyanshu .....
Priyanshu :- please Vitika jane de mujhe.....
Or Priyanshu wahan se chala jata hai......
Abhay in mind:- tum apne ghar nahi jaa sakte mujhe chhor ke mujhe tumhari aadat ho chuki hai main kaise rahunga tumhare bagair.......
Priyanshu jungle mein jata hai.......
Priyanshu :- aaj to main tumhe dundh ke rahuga.........
Priyanshu usko dhundhte dhundhte jungle mein bahut aage jaa chuka tha aur shaam bhi hone wali thi......
Abhay :- mat jao itna aage please main tumhaare samne nahi aa sakta hun, main majboor hun,aage khatra hai please.....
Abhay khud se hi bol raha tha,Priyanshu bahut aage chala gaya th6.....
Priyanshu:- kahan ho tum...........
Itne mein uske samne koi aata hai.....
Priyanshu :- aap kon.....
Abhay :- Abhay .......
Priyanshu :- aap idhar kya kar rahe ho is jungle mein.....
Abhay :- wahi main tumse puchna chahta hun tum kya kar rahe ho idhar
Priyanshu :- maib kisi ko dhundh raha tha....
Abhay :- yahan se chalo...
Abhay uska hath pakar leta hai....
Priyanshu :- kya kar rahe hohath choro mera....
Abhay kuch nahi sunta hai, usko le jane lagata hai....
Priyanshu:- choro mujhe....
Priyanshu usse hath churane ki bahut koshish karta hai par Abhay ne uska hath tightly hold kar rakha tha Priyanshu uske hath pe bite karta hai par Abhay ko koi asar nahi hota h.......
Abhay :- kya problem hai tumhare sath
Abhay usko apne godh mein utha leta hai.....
.
Priyanshu :- chorrrooo mujhe kya kar rahe ho
Abhay :- aahista awaz mein bolo samjhe tum
Priyanshu chup tha Abhay usko jungle se bahar tak le jata hai usko godh se utar deta hai.....
Priyanshu :- hum bahut jaldi pahunch gaye....
Abhay jungle mein jane lagta hai ki Priyanshu uska hath pakar leta hai....
Priyanshu :- suno.....
Abhay Priyanshu ko dekhta hai.......
Abhay :- bolo.....
Priyanshu :- mujhe wahan se kyu le aaye tum??
Abhay (jhut bolte hue):- wahan janwar t5h to bas isliye....
Priyanshu :- jhut bol rahe ho tum
Abhay :- nahii Mera hath choro.....
Priyanshu :- churwa lo khud hi.....
Abhay :- maine to tumhari help ki..
Priyanshu :- maine nahi bola tha help karne ko.......
Abhay Priyanshu ko tree ke sath laga deta hai.......
Abhay :- ek to tum insan bahut ajeeb hote ho help Karo to thank you bolne ke bajaye baattien sunate ho.........
Priyanshu :- thanks....
Abhay :- rakho apne paas nahi chahiye mujhe tumhe aur kuch kahna hai
Priyanshu :- kya
Abhay :- aage se jungle mein mat anaa...... woh jungle mein jane lagta hai
Priyanshu :- toh tum kyu jungle mein jaa rahe ho
Abhay :-meri mrziii ....
Priyanshu :- toh yeh bhi meri marzi.....main to jaunga jungle mein
Abhay :- tumhari Jaan ko kahtra hai smjho, tum nahi jaoge udhar.....
Priyanshu :- toh tumhaari jawn ko khatra nahi hai kya
Abhay :- nahiiiiii
Priyanshu :- phir mujhe kyu hai khatra…
.
Abhay :- zayda mat bolo jitna kahan hai utna Karo bas, yeh city bahut beautiful hai, yahan ghumo phiro parr jungle mein nahi kyuki jungle jitna khubsurat dikhta hai na wahan ki cheezien utni hi khatarnak aur daravani hai
Yeh bol ke Abhay hat taa hai, Priyanshu tree ke paas se hatt ke side pe chala jata hai........
Abhay jungle mein chala jata h.......Priyanshu hotel aata hai.....
.
Vitika :- nahi mila na woh??
Priyanshu :- mom ko bolo main idhar hi rent par Ghar leke idhar hi rahne wala hun....
Vitika :- tu pagal hogaya hai Priyanshu ....
Vitika gusse se wahan se chali jati hai priyanshu ke hath mein dard ho raha tha woh dekhta hai toh uske bazu pe ungaliyon ke nishan the.......
Priyanshu yaad karta hai ki kaise Abhay ne uska hath tightly pakra tha
To be continued…
Comments
Post a Comment