Pyar Ki Yeh Anokhi Kahani Chapter 13-16
Pyar Ki Yeh Anokhi Kahani
Chapter_13
Priyanshu aaram se abhay ke paas so raha tha...ussne khud ko chaddar se cover kar rakha tha.......Abhay baas usse pyar se dekh raha tha .....
Priyanshu aankhe kholta hai.....
Abhay :- uth gaye meri jaan...
Abhay uske gaalo par kiss karta hai.....
Priyanshu :- hmm uth gaya.......
Abhay :-ab mujhe jana haii…
Priyanshu :-nahi jana
Abhay :-kya matlab…
Priyanshu :-tum mujhe chorr ke jane ka bol rahe hona.....
Abhay :-nahiii jaan.....
Priyanshu :-haab mujhe pata hai tumhara....tum aisa kyu kar rahe ho Abhay tumhe to pata hai na main tumse kitnaa pyar Karta hu.....aur tumhare vampire hone se bhi ab mujhe koi fark nahi padta hai... mujhe bas tum chahiye...jo main janata hun bas yahi janata hun ki main tumse bepannah Mohabbat karta hoon...I love you so much Abhay ....
Abhay :-I know priyu ki tum mujhse kitnaa pyar Karte ho... main bhi tumhe bahut chahta hun par hamara alag honna hi thik hai...dur rah kar tum khush rah paoge.....
Priyanshu Abhay ko dekhta aur uske aansu nikal rahe the .....
Abhay :-jaan
Isse pehle Abhay uske aansu saaf karta Priyanshu usde dur ho jata hai....
Priyanshu :- in aansuon ko pochne ka koi haqq Nahi hai tumhara koi haqq nahi
Abhay :- tumhe pata hai tum Aaise rote huye aache nahi lagte ho mujhe ......
Priyanshu :- dur jaoge to rounga na...jhut bolte ho tum... tumhen achha lagata hai Mujhe rota dekh..... agar aisa hota na to kabhi dur na jate tum.....
Abhay :- priyu
Priyanshu bed pe se uth washroom jata isse pahle Abhay washroom ke door pele kahra tha.....apne vampires wali speed ki wajah se.....
Priyanshu :-kya hai.....
Abhay :-kahi nahi jaunga tumhe chorr kar.....
Priyanshu :-khaoo meri kasam...ki tum hameshaa mere sath rahoge.......
Abhay :- tumhari kaam ....
at_night
Abhay :-kya Kar rahe ho Priyanshu ....
Priyanshu ready ho raha tha.....
Priyanshu :- maa papa nicche hai tum mere sath chloge nicche….aur hum hamari shaadi ki baat karenge
Abhay :- shaadi
Priyanshu :-haan tumhari aur r meri shaadi samjhe tum…
Abhay :-parr Priyanshu main…
Priyanshu :- chup mujhe aur kuch nahi sunna hai
Abhay or Priyanshu nicche jate hain... priyanshu ke mom dad dono the....
Sanjay(priyanshu's father) :-yeh ladka…
Priyanshu :- yeh abhay hai…
Anjana :-ohhh Abhay beta ....
Sanjay :- kon hai yeh....
Priyanshu :- yeh mera boyfriend hai papa, I'm gay
Sanjay (ghusse se):- kya behudagi hai yeh , kya bol rahe ho tum samajh aa raha hai yeh sab tumari laad pyar ka natiza hai (anjana ke tarf dekh kar .....)
Anjana :- jii aap gussaa mat kariye aapka BP bhad jayega shant ho jaiye main baat karti hu na....
Priyanshu :- kya baat Karna hai maa main hamesha se aap Dono ko yeh sach batana chahata tha par kabhi bata nahi paya aaj abhay ke pyar ki wajah se mujhe himmat mili hai.....
Sanjay:- ek ladka hoke ek ladke se pyar chhiiii… samjh mein kya izzat rah jayegi humari.. are thukenge log humpar
Priyanshu :- kis samaj ki baat kar rahe hai aap papa , woh samaj jo aapko dekhne Tak nahi aaya tha aapke accident ke baad… aur main Abhay se shaadi kar raha hu yahi batane aaya tha aap donon ko
Sanjay :- shaadi…. mere Hote huye to yeh shaadi nahi ho sakti…
Priyanshu :- main bhi dekta hu aap kaise rokoge yeh shaadi to hokar rahegi main bhi aap hi beta hu
Sanjay aur Anjana ek dusre ko dekhate hain.....
Sanjay gusse mein apna hath uta kar thapar marne wala hi hota hai ki itne me abhay unka hath pakad leta hai
Abhay :- yeh hath utane ki galti aap bhul se hi mat kariyega, main priyanshu se bahut pyar karta hu aur usse ek bhi kharoch aane nahi de sakta
Sanjay :- nikal jaao mere ghar se aur sath me isse bhi lete jaao , humara koi beta nahi hai, aaj ke baad woh humare liye mar gaya hai….
Anjana :- yeh kya bol rahe hai aap…. Woh humara beta hai
Sanjay :- maine faisala kar liya hai ab yeh tum par hai ki tum in donon ke sath jaogi ya apne pati ka sath dogi…
Priyanshu :- thik hai papa main yeh ghar chorr ke ja raha hu hamesha ke liye
Priyanshu Abhay ka hath pakar ghar se bahar le jata hai....Aur Abhay ko tightly hug kar leta hai.....
Priyanshu :- aakhir yeh humare sath hi kyu hota hai hume parivar aur pyar mein se ek ko hi kyu chunana padta hai..... aakhir kyu…
Abhay :- sab thik ho jayega ek na ek din unhen samjh aa jayega humara pyar aur tumne bhi achank se aishe bol diya…. Unke liye yeh sab naya hai….. thoda samay do unko samjhane ke liye..
Priyanshu :-I love you…
Abhay :-I love you too
Dono wapas Dehradun abhay ke ghar aa jate hai…
Next day
Abhay :- priyanshu…
Priyanshu :-hmmm….
Abhay :-good morning uth jao.....
Priyanshu :-sone do na
Abhay :-kitna sote ho tum.......
Priyanshu :-mera pehla pyar h neend
Abhay :-to main kon hoon.....
Priyanshu :- dusra pyar
Abhay :-baat nahi karni mujhe tumse huh.....
Abhay jane lgta hai ki priyanshu usse pakar kar uske uper aajata hai
Priyanshu :-maiin jane dunga to jaoge na.... main kahi nahi jane dunga tumhe.... hameshaa idhar hi rehna mere paas...
Abhay :-shaadi ke baad rahunga hi na...
Priyanshu :- shaadi...
Abhay :- haan jaan… 3 din baad humari shaadi hai
Priyanshu :-I love you.....
Abhay :-I love you too…
Scene changed...
Preet :-Raja Sahab Priyanshu or Abhay ki shadi hai 3 din mein…
Raja Sahab :-hmmm…...
Preet :-kya Raja Sahab humein usse yahan lana hoga…
Raja Sahab :-main janta hun Preet aur main bahut time se janta hoon ki Abhay Priyanshu ko janta hai..aur ye bhi ki woh dono ek dusre se pyar karte hai.......
Preet :-to phir?
Raja Sahab :-to phir yeh ab uss raat ko 10 din hain......aur jab main Priyanshu ko yahaan lana chahoon to koi bhi mujhe rok nahi skta hai koi bhi nahi.......jis din shaadi hogi uss din Priyanshu ko utha lana bass…
Preet :-hmmm.....
Scene changed.....
Abhay or Priyanshu dono Bahut khush the ke Finally woh dono ek hone wale the.....par Abhay ke dil mein abhi bhi khauf tha....Raja Sahab ka..aurr woh Priyanshu ko batana bhi nahi chahta tha kyuki Priyanshu dar jayega isliye .......
Priyanshu :-kya hua abhay Akele kyu baithe hoo??
Abhay :-kuch nahi.....
Priyanshu :-jhut bologe mere se.....
Abhay :- please Priyanshu
Priyanshu :-kya hogaya Abhay tumhe....itna ajeeb behave kyu kar rahe ho.....kuch hai to bolo na.....kya tumhe mere se shaadi nahi karni hai
Abhay :-aisa nahi hai mujhe tumse shaadi karni hai main tumse bahot pyar karta hoon.....
Priyanshu :-to Phir aisi kya baat hai jo tumhe pareshan kar rahi hai.....
Abhay :-kuch nahi Priyanshu .....
Priyanshu uski god mein baith jaata hai.....
.
Priyanshu :-btaaoo mujhe.....kya baat hai......main tumhe aise pareshaan nahi dekh sakta.....jitni mohabbat tum mujhse karte ho utni hi main bhi tumse karta hoon...
Abhay :-so jaooo bahut thak gaye hogr na shopping kar ke.....
Priyanshu ko hurt hota hai yeh soch kar...ki Abhay usse apni koi baat share nahi karta hai
Priyanshu :-hmmm.....
Abhay :-Priyanshu …
Priyanshu :-hmmm.....
Abhay :-kuch chupa raha hoon to tumhare acche ke liye... Main nahi chahata ki tum pareshan hooo.....
Priyanshu :-aur jo tum pareshan ho rahe ho woh.....main bhi to nahi chahta na…
Abhay :-jab sahi waqt hogaa tab sab bataunga.....
Priyanshu :-hmmm.....
Abhay :-meri tarf dekho.....
Priyanshu :-mujhe sona hai….
Abhay uske hothon par kiss karta hai
Abhay :-bass yahi chahiye tha.....
Priyanshu smiles woh Abhay ko tightly hug kar leta hai.......
.m
Priyanshu :-kabhi chorr kar to nahi jao6ogy na???
Abhay :-kabhiii nahi... tumse dur jana matlab maut ho hai mere liye.....
Priyanshu :-marne ki baat mat karna ab.....
Abhay :-kabhi nahi karungaa.....aur waise bhi main kabhi marta nahi...vampires nahi marte hai.. bas unki body ko jalaya ja sakta hai ya werewolves hi vampire ko maar sakte hai Punam ki raat ko…
Priyanshu :-hmm par huum Insan mar jate hai…
Abhay :-kitne time jeete ho tum log…
Priyanshu :- 70 ya 80 years bass......
Abhay ka dil hil jata hai yeh soch kar...ki kabhi Priyanshu bhi aise chorr ke chala jayega ussse
Abhay :-main tumhe kahi jane nahi dunga hameshha mere paas rahoge tum samjhe
Priyanshu :-hmmm
Priyanshu smiles
2 din guzar jate hain.......ab waqt tha Priyanshu aut Abhay ki shadi ka dono bahut khush the...par kisi ko kya pata tha.....ab Priyanshu ke upar khatra mandra raha tha…
To be continued...
Chapter_14
Aaj Abhay aur Priyanshu ki shaadi hai....(jo church wedding hone wali hai)
Priyanshu apne room mein tha... tabhi Abhay uske room mein aata hai.....
Priyanshu :-are Abhay yahan kya kar rahe ho???
Abhay:-baat karni hai
Priyanshu uske paas jata hai.....
Priyanshu :-itni jaldi kya hai shaadi hone wali hai thoda wait kar lo
Abhay uske kamar ko pakar kar apni taraf khichta hai ......
Abhay :-wait to kar lunga par tumhe kuch batana hai chalo mere sath.....
Priyanshu :-kahan pee....
Abhay :-trust karo…..kisi se milwana hai......
Priyanshu :-shaadi se pahle waps aa jayenge na
Abhay :-bola na trust Karo.....
Abhay usko apni godh mein uthata hai ....aur apani vampire wali speed se dhorne lagta hai....... thodi der mein dono Ek room ke bahar the.......
Priyanshu :-yahan??
Abhay uska hath pakar kar room m6 le jata hai wahan ek aurat so rahi thi..... woh Abhay ki Maa thi......
Priyanshu :-ye kon??
Abhay :-mom hai meri…
Priyanshu :-mom,, tumne bataya nahi kabhi aur yeh iss tarha se kyu so Rahi hai.....
Abhay :-yeh kabhi uth nahi sakti na isliye…
Priyanshu :-kya matlab.....
Abhay :-baass main yeh kehne aaya hun agar mujse shaadi kroge mere paas rahoge to.....to tumhari halat bhi aidi ho sakti hai.......
Priyanshu :-main samjha nahi.....
Abhay :-inki halat ko aaj hai woh dusre vampires ki wajah se hai.......
Priyanshu :- dusre vampires ne kyu kiya aisa......
Abhay :- kyuki ek antaryaami ne bhavishyavani ki thi ki bhavishya mein aane wali 3 insanon ki aatmayen aishi hogi jo pavitra hogi jo vampires pe raaj karegee.......jo hamare raja sahab yani ki vampires ke sardar ko maar sakti hai...aur aisha mana jata hai jo bhi vampire un 3 pavitra aatmaon ke khunn ko piyega woh sabse zyada shaktishali ho takatvar ho jayega...
Priyanshu:- matlab.....
Abhay :-matlab un pavitra aatmaon mein se ek meri maa bhi thi ….Woh Punam ki raat 100 saal ke baad aati hai.....us raat tum jaisi pavitra aatmaon ki shaktiyan kam ho jati hai......aur tumko aaram se khatm kiya ja sakta hai….100 saal pahle woh raat thi raja sahab ne meri maa ka khunn piya aur woh hameshaa ke liye aisi ho gayi.......aur usne pahle hi 2 pavitra aatmaon ke khunn ka paan kar liya hai tum aakhiri ho…
Priyanshu :- tumhari maa Insan thi to phir tum vampire kaise bane..... aur yeh kya thik nahi ho sakti???..... Tum jaisi aatmaon se tumhara kya matlab hai..????.... Kya main bhi ek pavitra aatma hu!!!!
Abhay :- haa tum bhi ek pavitra aatma ho…..haa maa thik ho Sakti hai agar inko vampire Banaya jaye to par inko vampire wahi bana sakta hai jo pavitra aatma ke sath sath ek vampire bhi ho….aur jaha tak mere vampire banne ki baat hai to main half breed hu yani half human aur half vampire mere pita ek vampire the woh raja sahab ke liye kaam karte the….aur unhen pavitra aatma ko dhundhne ka kaam Mila tha… yani meri maa ko… par unhen maa se pyar ho gaya aur unhone ne maa se shaadi kar li… is baat ka pata raja sahab ko kuch saalon baad pata chala tab tak mera janm ho chuka tha… raja sahab ko jab papa ki Ghaddari ka pata chala to usme mere pita ko jala ke maar diya...aur maa ko iss halat me pahucha diya.. aur raja sahab ne hi mujhe pala hai isliye mujhe unki ghulami karni padti hai.......
Priyanshu :-matlab tum uske gulam hooo.....aur tumne kabhi usse badla lene ki nahi Sochi….
Abhay :- Bahut baar socha badla lene ka par nahi le sakta… kyuki main baki vampires ke jaisa nahi hu andha Insan hone ki wajah se unke mukabale mujhme kam shaktiyan hai… agar main badla lene ki kosis bhi Karta to haar meri hi hoti….. isliye usne mujhe apna gulam bana liya aur mujhe hi tumko dhudhne ka kaam diya tha.....par mujhe bhi to tumse pyar hogaya
Priyanshu :- to tumhari age kitni hai abhi....
Abhay :- 118 saal….
Priyanshu:- tum 118 saal purane vampire ho…
Abhay:- hmmm….
Priyanshu :- tum shaadi ke baad mujhe vampire nahi banaoge???
Abhay :-nahi...par kya tum ab bhi shaadi karoge mujse......
Priyanshu :-han kyuki koi bhi chiz tumse juda nahi kar sakti hai mujhe.........
Priyanshu yeh bol Abhay ke paas aata hai...aur uske hothon par kiss karta hai
Abhay :-I love you.....
Priyanshu :-I love you too.....
Priyanshu Abhay ko hug kar leta hai....Abhay usse godh me utatha hai aur wapis Ghar le aata hai....
Abhay :-ab church mein milenge.......
Priyanshu smiles.....
Abhay chala jata hai or Priyanshu bahut happy tha.......aaj Abhay ne usse ssb sach bata diya aur dusra woh Abhay ke naam hone jara tha.......par shayd kismat mein kuch aur hi likha tha...... shayd inki lambi judai.......
Priyanshu ready ho raha Hota hai.....usne usme black color ka suit pehna wah bahut hi handsome dikh raha tha
Vitika:- kitana handsome lag raha hai mera yaar kahi kisi ki nazar na lage .........
Priyanshu usse hug kar leta hai...........
Priyanshu:- aaj maa papa ki Bahut yaad aa rahi hai meri life ka itna bada din hai par unke bina adhura sa lag raha hai and Thank you viti jo tu aayi hai...tune mujhe samjha..
Vitika:-rona nahi tu rote huye bilkul aacha nahi lagta Aaj Teri shaadi hai to aaj ke din no rona dhona aur rahi uncle aunty ki baat to ek na ek din woh bhi tujhe aur teri feeling ko samjh jayenge unko thoda time de...
Priyanshu :- hmmm
Ishika:- tum dono ka ho gaya to chale waha Dhule Miya ki wait karte huye halat kharab ho rahi hai…
Dono car mein baith kar church jane ke liye nikalte hai.......aur ishika apni shaktiyon ki madad se church ke liye nikal jati hai
Abhay se to wait nahi ho raha tha ki kab woh aapne priyanshu ko dekhega ek - ek minute uske liye ek ghante se kam nahi tha......
Abhay :- jaldi aajaooo priyu.....
Ishika :- aa raha hai bas thoda hosla.....
Abhay :-wahi toh nahi ho raha.....kaisa lag raha hoga woh..... pata nahi...
Tbhi Priyanshu aata hai vitika ke sath ..... vitika ne uska hath pakara tha...Abhay usse Dekhta hai aur dekhta rahta hai woh waka mein handsome lag raha tha... bahut khubsurat..... abhay ke liye use zyada khubsurat ladkai puri duniya mein nahi tha
Abhay ki aankho mein aansoo the....... woh Priyanshu ko dekh rone lagta h.....Priyanshu uske paas jata hai.....
Priyanshu :-ro to mat....
Abhay :- tum mere ho rahe ho hamesha ke liye...khushi ke aansu Hai…
Shaadi ki rasane shuru hoti hai
Father (priest) :- "Abhay and Priyanshu, have you come here to enter into Marriage without coercion, freely and wholeheartedly?"
"Are you prepared, as you follow the path of Marriage, to love and honor each other for as long as you both shall live?"
"Are you prepared to accept children lovingly from God and to bring them up according to the law of Christ and his Church?"
Abhay:- I have
Priyanshu :- l have
Father :- now you exchange the rings.
Vitika Priyanshu ko ring deti hai...Priyanshu use Abhay ko pehnta g hai...Ishika Abhay ko ring deti hai.......Abhay Priyanshu ko ring pehnata h….
Father:- Since it is your intention to enter into the covenant of Holy Matrimony, join your right hands, and declare your consent before God and his Church.
Father :- Abhay, do you take Priyanshu to be your husband? Do you promise to be faithful to him in good times and in bad, in sickness and in health, to love him and to honor him all the days of your life?
Abhay :- I do..
Father:- Priyanshu, do you take Abhay to be your husband? Do you promise to be faithful to him in good times and in bad, in sickness and in health, to love him and to honor him all the days of your life?
Priyanshu :- I do..
Father:- now you may kiss the groom
Abhay smiles karta hai.......wo Priyanshu ko khud ko paas khinch kar apne lips uske lips pe rakh deta hai...both were kissing each other passionately.........dono ke kiss mein ehsaas tha pyar tha care tha.....dono bahut kush the.......
Tabhi Vitika bhaagte huye aati hai….
Vitika:- abhay… abhay…
Woh bahut dari huyi lag rahi thi
To be continued…
Chapter_15
Tabhi Vitika bhaagte huye aati hai….
Vitika:- abhay… abhay…
Woh bahut dari huyi lag rahi thi….
Abhay palat kar vitika ke tarf dekhta hai … woh dekhta hai priyanshu to abhi tak aaya hi nahi hai woh sapna dekh rakha tha… woh vitika ke paas jata hai….
Vitika:- woh log priyanshu ko le gaye main usse nahi bacha saki….
Abhay :- kya huaa…. Baato kya hua …
Vitika:- jab hum dono car mein baithe to priyanshu ka phone kamre mein rah gaya tha woh phone lene gaya lekin bahut der tak nahi aaya jab main andar kamre me gayi thi …. Toh ….toh… woh waha par nahi tha sirf yeh letter tha….. I'm sorry abhay….. main uski rakshak hokar usse bacha nahi payi …. mujhe maaf kar do..
Abhay :- isse tumari koi galati nahi Vitika … woh letter kaha hai jo tumhe mila tha…
Vitika woh letter abhay ko deti hai ...abhay woh letter padhta hai
In_Letter
"Priyanshu hamara hai bhul ja usse.....le gaye hum usse........
~ Preet~ "
Abhay ki eyes mein aansu aa jate hai....
Woh jor se chillata hai
Abhay :-priyyaaaaanssshuuu .......
Abhay ghutno ke bal baith jata hai kyuki woh Janta tha ab woh kuch nahi kar sakta.....chah kar bhi apne pyar ko wapis nahi laa sakta hai.....par woh haar manne walo mein se nahi tha....
Abhay :- apni jaan ko wapis leke rahunga......Ishika …
Ishika :-Abhay hum usko dhudh lenge.....
Abhay :-Raja Sahab leke gaya hai… usse......nahi ladd sakta main......
Ishika :-to apni mom ko vampire abna do....... woh zinda ho jayegi Abhay woh hamari help kar sakti hai.....
Abhay :-unko sirf Priyanshu vampire banane ke baad wapis la Sakta hai Ishika .....aur yeh Raja Sahab hone nahi dega kyuki jiss raat woh vampire banega woh raat us raja sahab ki aakhiri raat hogi... mere mein itni shaktiyan nahi hai.....unko vampire banate banate meri jaan bhi jaa sakti hai.....
Vitika:-to phirrr
Abhay :-mujhe nahi pata hum usse dhudh lenge.....
Ishika :-aur agar woh tumhari mom ke tarha ho gaya to.....kaise laoge wapiss
Abhay :- please yeh mat bolo..... main usse kuch nahi hone dunga........
Ye bol abhay bhagne lagta hai vampires wali speed se Ishika bhi uske piche bhagti hai..... vitika werewolf roop mein unke picche jati hai...
Ishika :-kahan ja rahe ho.......
Abhay :-Raja Sahab ke paass.....
Vitika :-nahi Abhay please woh tumhari is gustakhi ki wajah se tumhe maar bhi sakta hai...
Abhay :- l don't care,,Priyanshu nahi to main bhi nahi.....
Abhay chala jata hai.......
Next_Day...
Priyanshu ki aankh khulti hai woh kisi khaali se kamare mein tha Hath paoo bandhe huye the.....
Priyanshu :-Abhay kahan ho tum?????Abhay .....yeh mujhe banda kissne hai.....
Tabhi Raja Sahab aata hai.....
Raja Sahab :- finally hosh aa hi gaya......
Priyanshu :- dekho tum kon ho aur mujhe is tarah kyu rakha hai…
Raja Sahab :- awwww......
Priyanshu :-Abhay ko pata chala na....toh maar dega tumhe Woh.........
Raja Sahab:- ohhhhh tumhara Abhay Mujhe hath bhi nahi laga payega…. kya usne tumhe sach nahi bataya.....
Priyanshu :-kaisa sach .....
Tbhi Raja Sahab vampire ban jata hai...dant bahar ko aakhen laal ho gayi thi...
Raja Sahab:- yaahiii.......
Priyanshu dar jata hai.....
Priyanshu :-tum uss Raja Sahab ke aadmi hona…
Raja Sahab:- maiin wahi Raja Sahab hoon.......
Priyanshu ka halak mein sans ruk gaya tha usse pata nahi tha ki ab kya karega woh.......
Priyanshu :-mujhe jane do please....
Raja Sahab:- tumhe chorr du aur khud mar jaun kyaaaa......
Priyanshu :-main kuch nahi karunga... mujhe jane do
Raja Sahab:- uske hath kholta hai.....
Raja Sahab:- samne khana padha hai kha lo.....abhi woh raat aane mein 7 din Hai...khaana khao.........aur pani bhi piyoo...main nahi chahata tum mar jao..... tumhe marne ka haq sirf mujhe hai.......
Priyanshu ki aankho se aansu nikalne lagte hai.......
Priyanshu :-nahi khaunga.....
Raja Sahab:- khao
Priyanshu :- tune mere Abhay ko bahut pareshan kar rakha hai na abhi aur nahi bilkul nahi.......tu mujhe kabhi nahi mar sakta hai …
Raja Sahab:- pyar se keh raha hun...kha lo.....
Priyanshu apna sar na mein hilata hai.......Raja Sahab se ab control nahi hota.......woh usse thapar maar deta hai... woh to tha b6 vampire uska thapar bhi zoor se laga tha Priyanshu ko…. uske muh se khoon aane laga tha.....
Raja Sahab wo khoon dekhta h.....aur usse khoon piyas lagane lagi thi.......
Raja Sahab:- aisha lag raha hai uss raat ka wait nahi kar paunga ,,, tumhare khoon ki khusboo bahut acchi hai...khana kha lena......
Raja Sahab yeh bol kar chala jata hai...aur Priyanshu dard se rone lagta hai.......
Priyanshu :-Abhay kahan ho tum.....Abhay please le jao yaha se.....
Priyanshu rote rote apne chehre ko apne hathon se chupa leta hai .....
wo miss kar raha tha Abhay ko.....ki uske rone pe Kaise usse apni baahon mein le liya karta tha......uski care karta tha.......thhodi si chhot bhi nahi lagne deta tha.....aur aaj woh khoon mein lat pat padha tha.......
Abhay Mahal ke bahar tha.......wo miss kar raha tha apne Priyanshu ko.....uske soft hoth ko apne hothon pe.....uski smell ko..... uske hone ke ehsaas ko.........Abhay ne kisi se bhi apni maa ke baad itna pyar nahi kiya.....jitna usne Priyanshu ko kiya tha........woh usde bahut pyar karta tha.........
Abhay :-promise kiya tha har mushkil mein sath dunga....is baar bhi nagi manuga haarrrr.......bana lunga tumhe apna.........
Abhay Mahal mein enter karta hai...Raja Sahab us waqt samne h baita tha......
Raja Sahab :- mujhe pata tha tum aaogey hi.....
Abhay :-Raja Sahab Priyanshu kahan hai......
Raja Sahab:- kon Priyanshu Abhay woh Priyanshu jiske liye tumne mujhe dhoka diya ........
Abhay :- I'm sorry Raja Sahab mujhe maaf kar dijiye.....par please mere Priyanshu ko dur mst kariye mujhse.......
Raja Sahab:- kya tum nahi jante ho Raja Sahab oi dhoka deni ki saza moat hai...??? Jaise tere baap ko mili thi….
Abhay :-haan.....aap beshak mazr de par Priyanshu usse chorr de.... woh masoom hai bahut nazuk hai.......
Raja Sahab:- hmm par main tumhe maar nahi raha........to usse chorr bhi nahi raha ......kya hai na mere paas ise zayda acchi saza hai tumhare liyd
Abhay Raja Sahab ko confuse hoke dekhne lagta hai.......
Raja Sahab:- katra katra kar ke jaan nikalne mein jo maza hai na woh kisi bhi saza mein nahi hai.......to kaisa hoga agar tumhari jaan ko tumhare samne hj maarrr dun to.......roz maroge katra katra uski yaad mein
Abhay ki gusse se aankhein laal ho jati hai h.......he was trying to control his anger.....koi uske samne uske Priyanshu ko marne ki baat kaise kar sakta hai?????
Raja Sahab:- awwww gussa aa raha hai.....waise bechaara subah mere se thappad bhi kha liya tha.... bahut ziddi hai na..... tumhare liye tadap raha tha.....laga di ek.......
Abhay apna hath band kar leta hai zorr se.......
Raja Sahab:- bichara khoon bhi aa raha tha....... khusboo bahut acchi hai uske khoon ki..... wait nahi ho Raha hai ki kab uske khoon ko piyugaa ......
Abhay se ab nahi hota wo ab aur nahi gussa control kat sakta tha.....woh jaise hee Raja Sahab ko punch marne jata hai ki Raja Sahab hold his hand and slapped on his face...aur usse dhaka dete hai.....Abhay diwar se takrarta hai......usko Bahut chhot lag gayi thi
Raja Sahab:- tu kuch nahi kar sakta Mera....... tujhe to main bataunga tere saamne teri jaan(Priyanshu ) ki jaan lunga.....aur tu bebas hoga teri yahi sazaa hai.......
Abhay bhag kar uske pairo mein gir jata hai.......
Abhay :- please please aap mujhe maar dijiye par Priyanshu ko nahi......... please main bahut pyar karta hun usse...nabi rah paunga uske bagair.......
Raja Sahab:- ek normal ladke se pyar karte bhi to woh mil jaata par Priyanshu sirf mera hai.....
Ye bol Raja Sahab chala jaata hai.....aur Abhay rote huye Mahal se bahar aa jata hai.....
Scene changed.......
Priyanshu ka khana ab bhi waisa hi padha hua tha.......ussne hath bhi nahi lagaya tha...... shaadi Wale din hi usse apne pyar se juda kar diya gaya kaise kha sakta tha woh ........
Thodi der mein Raja Sahab aata hai uske liye aur khana leke.......
Raja Sahab:- ye kya tumne to yeh khana bhi nahi khaya.......
Priyanshu :-Abhay se milna hai.....
Raja Sahab:- kha lo achaa nahi hogaaa......
Priyanshu :- ekk baar abhay se mil lun kya please...ek bar please .... phir kha lunga promise ek bar.......
Raja Sahab smiles.......
Wo Priyanshu ke paas aata hai...aur uske gaal pe zor se bite kar ke uska khoon peene lagta hai.......he was screaming in pain.........Raja Sahab usse chorrta hai.......
Raja Sahab:- apne Abhay se Milne ke liye itna bhi dard bardasht nahi kar sakte???
Priyanshu kuch nahi bolta.......
Raja Sahab:- bhej dunga usse bass 15 minutes ke liye...uske baad nahi .....
Raja Sahab chala jata hai....Priyanshu se wait nahi ho raha tha ki kab wo Abhay se milegaa......
To be continued....
Chapter_16
Next day.....
Priyanshu soya nahi tha.......nind aati bhi kaise.....Abhay se dur hoke....... woh bas apne pyar ka intazar kar raha tha ki kab woh ayega.....
Tbhi door open hota hai.....Priyanshu dekhta to samne Abhay khada tha.....aur usse Dekht raha tha......
Priyanshu ke chehre pe smile aa jaata hai jo ke itne time se nahi aaya tha.......
Priyanshu :-Abhay
Priyanshu khade hone lagata hai.....par kamzori ki wajah se girne lagata hai tabhi Abhay bhag kar usse pakar leta hai.....Priyanshu ne kuch khaya nahi tha to usme takat nahi thi.....
Priyanshu pehle to smile kar raha thai thi.....par phir rone lagta hai.....aur Abhay ko hug kar leta hai.......
Priyanshu :- please Abhay le jaao...nahi rehna yahan please tum mujhe le jaoge na...mujhe abhi nahi marna hai mujhe tumhare sath apna life spend karna hai
Priyanshu :-aahhhhh.....
Abhay :-dard ho raha haii.....
Priyanshu :- bahuttt...
Jahab raja ne bite kiya tha waha par Abhay kiss karta hai.......
Abhay :-thik ho jayega.....
Priyanshu :-tum sath rahoge to.......
Abhay :-Priyanshu mein chala jaunga abhi.....
Priyanshu Abhay ko kaskar pakad leta hai.....
Priyanshu :-nahiii please niii mat jana please….
Priyanshu bahut t darra aur sehma hua tha..Abhay ko usse aise dekh control nahi hota aur woh rone lagta hai.....Abhay jaldi se hug kar leta hai........Priyanshu ro raha tha.....
Abhay :- tumhe meri kasam hai rona band kro please..... mujhe dard hota raha haj nahi dekhha jata hai aise tumhe...
Priyanshu chup ho jata hai Abhay ussse chair par bitata hai.....aur khud bhi chair pee baitaha hai.........room me bas ek table aur 2 chairs thi.......
Abhay :-ab khana khayenge hum.....
Priyanshu :-nahii.....
Abhay :- please mere liye.....
Priyanshu :-6 din baad marna hai to ab mar gaya bagair khaye to kuch nahi hoga.....
Abhay :-aisa mat bolo mein bacha lunga tumhe
Priyanshu :- tumahare sath rahna hai Abhay .....
Tbhi wahan 2 vampires aate hai.....
Vampire:-15 minutes hogaye..........
Abhay :-haan by Priyanshu .....
Priyanshu Abhay ko hug kar leta hai............. woh Abhay ko chorr hi nahi raha tha bss roye ja raha tha...............Abhay bhi ro raha thaa... woh bhi nahi jana chahta tha.....par majbur tha.......agar abhi na jata to aage bachata kaiss Priyanshu ko.......
Priyanshu ne bahut tightly pakad rakha tha usse.....
Priyanshu :- please nahi mat jaaooo please
Abhay :-mujhe jana hoga.....khud ko sambhalo kuch nahi hone dunga.....
Ek vampire aake Priyanshu ko Abhay se dur karta hai............Priyanshu chilla raha tha.....
Priyanshu :-Abbhhhaaayyyy please maattt jaaoooo
Abhay chala jata hai woh jaise hi bahar aata hai zameen pe baith kar rone lagta hai.....
Raja Sahab:- aaaawwww dil tut raha hai.....waise katra katra marne to abhi se lage ho tum.....
Abhay kuch nahi bolta aur mahal se chala jata hai......Ishika bhi wahi thi.....Ishika usse hug kar leti hai.....
Ishika :- please rona band karo....
Abhay :-Ishika Priyanshu woh woh ro raha tha..... mujhe acha nahi lag raha tha bilkul bhi nahi.....
Ishika :-hum usse bachayenge na Abhay par please pehle tum rona band karo please.....
Abhay:-usko usko bahut mara Bhi hai...uske chehre par nishan the.....
Ishika :-Abhay please.......
Par Abhay chote bachoo ke jaise ro raha tha.........Ishika usse chup karati hai hosala deti hai.......
Vitika :-main hun na Priyanshu ko kuch nahi hoga trust me ......hum mil kar bachayenge usse mere paas ek plan hai.....
Abhay :-plan.....
Ishika:- kaisa plan….
Vitika :-haan par please tum rona band karo.....
Abhay :-nahi rounga.......
Vitika :-to thik hai plan ye hai ke....... tumhe to Pata hi hoga ki vampires bimar insan ka khoon nahi peeta hai???
Abhay :-haan
Vitika :-haan to bas humaine ek injection Priyanshu ko lgana hai.......aur woh bimaar ho jayega.....
Abhay :-bimaar ….main nahi dekh sakta hu usse takleef main…
Ishika :-Abhay ek baar try karke dekh sakte hai ....... mujhe vitika aur uske plan par bharosha hai…
Abhay :-thik hai par uske room ke bahar hamesha vampires rahte hai...aur agar yeh successful nahi hua to.....
Ishika :- to yaad hai raja sahab ki ek special jagah hai jahan jake woh pavitra aatmaon ka khoon peeta hai.....to jab woh Priyanshu ko le ja rahe hoge tab hum usko woh injection laga denge.....
Abhay :-thik hai...bsss ek baar woh raat aa jaye Priyanshu khud hi vampire ban jayega........aur raja saheb kuch nahi kar payega.....
Ishika :-haa.....
Abhay smiles....
Scene changed.....
Priyanshu ka ro ro kar halat kharab ho raha tha... tabhi raja sahab aate hai.....
Raja Sahab Itna shor kyu macha rakha hai??
Priyanshu :- please mujhe Abhay ke paas jana hai...mujhe chor doo..
Raja Sahab woh raat guzar ne do phir mar kar jana uske pass......
Priyanshu :- please
Raja Sahab ke hath mein silver ki chain thi...
Priyanshu :-yeh kya hai??
Raja Sahab:- tumhare Abhay ko pakadne ke liye silver chain hai...
Priyanshu :- par kyu usne kuch bhi nahi kiya…
Raja Sahab:- wo to tumhe bachane aayegaa...isse pehle main usse pakad loonga aur uske samne tumhari jaan loonga socho woh kitna tarpega
Raja Sahab ye bol kar chala jata hai.....din guzarte Hai...ab woh din bhi aa jata hai jiss din Priyanshu ko marna tha......uska khoon peena tha Raja Sahab ko.....Abhay ne bahut koshish ki par woh injection Priyanshu ko laga nahi paya tha.....asj uske liye aakhri chance thaa…. aaj woh Priyanshu ko injection laga kar bacha leta ya hamesha ke liye khooo deta
Ishika :-woh log Priyanshu ko leke kisi bhi waqt niklenge.......
Abhay :-mujhe usdse bachana hai har kimmat pe.....
Tbhi wahan Preet aata hai...
Preet :- Raja Sahab bula rahe hai tumhe....
Abhay :-mujhe kyu??
Preet :-kya pta aakhri baar Priyanshu se milne ke liye bula rahe hoge???
Abhay :-mere Priyanshu ko kuch nahi hoga...dekhna tum
Preet :-hahaha.....dekh lenge abhi chaloo...
.
Abhay Preet Ke Sath jata hai ......... woh wahan pohanchta hai to Raja Sahab khafe tha le.... tabhi pichee se koi usse silver chain pehna deta hai..... yeh woh chaain thi jiski wajah se vampires ki power kamm jati hai...jab tak woh is chain se khud ko chura na le tab tak woh kuch nahi karsl sakte hai....
Abhay :-yeh kya kar rahe ho
Raja Sahab:- Priyanshu ko marte huye dekhna tum.....
Abhay :- please
Abhay khud ko chodanne ki koshish karta hai par churah naji pataa hai...Ishika ko 6b silver chain pehna deta hein.....aur vitika ko pinjare mein band kar dete hai
Abhay ko Priyanshu ke paas le jate hai.....
Abhay :-Priyu
Priyanshu :-Abhay
Dono ek dussre ko dekhte hai.....dono haarr mann chuke the...Abhay janta tha ki ab wo Priyanshu ko nahi bacha sakta dono ro rahe the.........ek dusre ko dekhkar
Raja Sahab:- le chalo Priyanshu ko aur sath mein unn tinon ko bhi le anaa.........iske samne Priyanshu ka khoon piyugaa…
To be continued...
Comments
Post a Comment