Abb Yeh Pyar Na Hoga Dubara... Chapter 1 to 5
Ab Yeh Pyar Na Hoga Dubara..
Hey.. reader's, aaj main apane nayi kahani ka promo share karate hue bahut khush hoon jiska title hai "Abb Yeh Pyar Na Hoga Dubara…"
Apni zindagi mein pahle pyar main asafal hone ke baad, Ansh Delhi shift ho gaya hain. Wah bhavishya mein kisi ke saath kisi bhi tarah ka koi bhi bhavanatmak sambandh mein shamil nahi hona chahata hai. Uska manna hai ki zindagi jine ke liye pyar ki jarurat kya hai wah akela hi kafi hai...wah singhal industries me shamil ho kar apne naye safar ko suru karne wala hai.
Vyom Mehra apni family se pyar karne wala..aur unke liye kuch bhi kar jana… singhal industries ka boss… thoda sa gusse wala… time ko importance dene wala..
doosri taraf uska chota bhai, Nakul Mehra, jinke liye pyar ka koi matalb nahi hai.woh sirf ladkiyon aur ladkon ke sath ek hi chiz ke liye relationships rakhta hai.. uska manna hai ki paise se wah kuch bhi kar sakta hai
Kahani ke main leads se to aap mil hi chuke hai ab baki ke kirdaron se mil lijiye…
Vishal Mehra :- Rahul,Vyom and Alisha's Father (Nakul's bade Papa)
Sangita Mehra :- Vishal's Wife and Rahul,Vyom and and Alisha's Mother(Nakul's badi maa)
Shakti Mehra :- Vishal's Brother and Nakul's Father (Rahul,Vyom, Alisha's chachu)
Rakhi Mehra :- Shakti's wife and Nakul's Mother ( rahul,vyom, alisha's chachi)
Rahul Mehra :- Vishal and sangita elder son
Avantika Mehra :- Rahul's wife
Mrs. Kapur :- avantika's mother
Alisha Mehra :- Vishal and sangita's Daughter
Prajwal :- Ansh ex- boyfriend
Chapter_01
वक्रतुण्ड महाकाय
सूर्यकोटि समप्रभ
निर्विघ्नं कुरु मे देव
सर्वकार्येषु सर्वदा
सर्वकार्येषु सर्वदा
Delhi
Tez barish ho rahi hai. Tab ek car aakar blue moon apartment ke pass rukti hai. Usme se ek mota sa aadmi (Mr.walia) nikalkar bhagte hue building ke andar chala jata hai.. lift out of service hai. Woh staircase use karke flat no 102 ke pass aata hai. Wo piche mud ke dekhta hai.
Mr.walia:- yeh ab tak aaya kyu nahi?
Tab ek ladka (Ansh) dheere dheere waha aata hai. Yeh sab flat no. 101 mein se ek aurat jhank kar dekh rahi hai. Mr.walia 102 ka lock kholta hai.
Mr.walia:-hehehe, aaj hi bigdi hai. Kal subah tak thik ho jayegi, aap tension mat lo
Ansh:-yeh lift...
Dono andar jate hai. Pura ghar well maintained hai.
Mr.walia:- yeh hai aapka naya aashiyana. Yeh hai aapka apna ghar.
Ansh pure ghar ko ek nazar se dekhta hai. Uski aankho mein ek alag hi chamak hai
Mr.walia:- aaj se aap jab mann chahe aao, jab mann kare jao, aapko rokne
wala kon hai? Hehehehe
Mr.walia:-hehehe, ghar dekh kar aap ki toh bolati hi bandh ho gai.
Ansh:- mera saaman abhi tak nahi aaya.
Mr.walia:- me dekhta hoon na, aap tension mat lo.
Woh waha se chala jata hai. Ansh apni backpack mein se apna joining letter nikalta hai. Use khushi se dekhte hue kiss karta hai.
Ansh(to herself):-ready ho ja Ansh, kal se teri life ka fresh start hone wala hai. Ab se tere life mein love, marriage, attachment yeh sab words ke liye koi jagah nahi hogi. Agar kuch hoga to who sirf aur sirf kaam.
Woh phir se joining letter ko kiss karta hai. Next morning. 7 baje alarm bajta hai. Ansh jagta hai. Who bahut khush hai.
MEHRA NIWAS
Living room mein sabhi servants ek line mein khade hai. Samne Sangita, Vishal,Rahul, Avantika, Mrs. Kapur, Shakti, Rakhi aur Dadi khade hai.
Sangita bahot gusse mein hai.
Sangita:-kiski itni himmat hui yeh khabar leak karne ki?
Sab servants sar jhukaye khade hal.
Rakhi:-ab gussa karne se kya fayda? Jo nuksaan hona tha ho gaya Aapki beti ne hame ghar ke bahar nikalne layak nahi chhoda. Bhagna hi tha to kisi hamare standard wale ke saath bhagti Hamare hi company ke accountant ke bete ke saath? Like seriously?
Sangita:- shut up. Agar tumhare bete ke kaarname sunane lagi toh yeh janam bhi kam padega. Pata nahi use pata bhi hoga ya nahi ki ghar mein kya chal raha hai.
Nakul ek ladka(Tanmay) ke saath bed per so raha hai.
Tanmay:- I love you baby
Nakul:- I love you too baby.
Tanmay:- tum pakka mujhe cheat to nahi kar rahe na?
Naku:l-paagal ho kya? Tumhe cheat karne se pehle mar jaana pasand karunga
Nakul mann mein- aur kitna jhoot bulwaoge bhagwan?
Tab use uski girlfriend sanjana ka call aata hai. Tanmay display per name dekhta hai.
Tanmay:- yeh sanjana kon hai?
Nakul:- yeh na meri dur ki bahen hai.
Tanmay:-iss dur ki bahen se dur hi rehna
Nakul:-Jesa tum bolo baby, ab mujhe ghar jana hoga.
Who khada hokar apni shirt pahenta hai. Idher Ansh office ke liye ready hokar apne ghar ke mandir mein aata hai aur apni nayi zindagi ke liye bhagwan se pray karta hai. Phir woh jese hi office jane ke liye apne ghar ka darwaja kholta hai, samne hi 101 wali Mrs. Pandey haath mein 3 katori lekar khadi hai. Use dekhkar Ansh darr jata hai. Mrs. Pandey hasti hai.
Mrs. Pandey:- woh monu ke papa ko chai pini thi. Ghar mein baki sab toh hai, sirf dudh, chini aur chai-patti khatam ho gai hai Who phir se hasti hai.
Ansh:- toh ghar mein hai kya?
Mrs. Pandey:- pani.
Ansh- actually, aaj mera office ka first day hai and me late ho raha hoon, I'm so sorry.
Mrs. Pandey:-are kuchh late nahi hoga.
Woh Ansh ka haath pakadkar andar te jati hai.
Ansh jaldi se use dudh, chini aur chai patti deta hai.
Mrs. Pandey:-wese akele hi rehte ho kya?
Ansh:- haan, mein akela hi rehta hoon...
Mrs. Pandey:- achha woh mein keh rahi thi ki
Ansh:- actually, mujhe sach mein der ho rahi hai, aap shaam ko aana ham baat karenge, chalo bye.
Mrs. Pandey(mann mein):- ek number ka chalu lagta hai.
Woh waha se chali jati hai.
Ek flight land karti hai. Iski announcement hoti hai. Arrival waiting area mein ek aadmi (Vishay) haath mein Vyom Mehra ke naam ka placard lekar khada hai. Woh dekhta hai ki samne se Vyom aa raha hai. Who use dekhkar apna haath wave karta hai. Tab Vyom ka face dikhta hai. Woh apni luggage bag us aadmi ko de deta hai.
Vishay:- sir, it's so good to see you after one month. sir, sangita ma'am ka 5 baar call aa gaya hai.
Vyom-ghar nahi, office chalna hai
Vishay:-but sir, aap ek mahine baad india wapas aaye hai, pehle apni family se nahi minge?
Vyom- unn logo ne ek month tak mera wait kiya hai, ek ghanta aur sahi, iss waqt mere liye delhi ke clients k sath meeting jaruri hai. Ek aur baat, ghar par call karke keh dena ki flight 1 ghanta delay hai. Let's go..
Woh office pahuchta hai. Sab employees use good morning wish karte hai. Kuchh log use office mein dekhkar chauk jate hai.
Employe 1:-yeh aaj bhi office aaye hai? Mujhe nahi laga tha ki aayenge.
Employe 2:- aur nahi to kya? Mehra Niwas ki khabar pure Delhi mein hawa bankar fel rahi hai.
Vyom-kuchh kaha?
Employe 1:- nahi sir kuchh nahi.
Vyom:- kyuki mene kuchh suna.
Woh waha se jane lagta hai tab uski nazar ek empty desk per padti hai.
Woh baju ki desk per bethi RIVA se ishare mein puchta hal.
Riva:-sir, yeh desk Ansh ki hai. Aaj uska first day hai, but who abhi tak nahi aaya hai..
Vyom-interesting Jese hi woh aaye, mere cabin mein bhejo.
Woh apne cabin mein chala jata hai
Ansh ek cab mein hai. Uska driver thoda aged hai. Nakul bhi car drive kar raha hai aur Tanmay uske pass betha hai. Tab Nakul ko uske dost Udit ka phone aata hai
Udit:- yaar tu thik to haina?
Nakul:-mujhe kya hone wala hai?
Udit:-woh tere ghar ki news suni, toh mujhe laga tu pareshan hoga,
Nakul:-waah, mere ghar mein aesa kya ho gaya, jiske baare mein mujhe hi nahi pata?
Udit:-who teri bahen bhaag gai na?
Nakul turant car stop karta hai, jisase ki Tanmay ko jerk aata hai.
Nakul:-you know what? Tu agar iss waqt mere saamne hota na toh teri body ka saara khoon tere chehre se bahar nikal deta
Udit:-are yaar, mein sach bol raha hoon. In fact social media per teri bahen Alisha ki ek post bhi viral hul hai. Jisme woh uss ladke ke saath hai, jiske saath woh bhagi hai. Me abhi tujhe send karta hoon
Uske phone per Udit ka ek message aata hai, jisme Alisha aur Raj ki photo hai. Yeh dekhkar Nakul ko bahot gussa aata hai.
Tanmay:- what happened baby?
Nakul:- just shut up.
Who car full speed mein chalane lagta hai. Samne se Ansh ki cab aa rahi hai. Dekhte hi dekhte, dono car ka clash ho jata hai.
Driver: aap andar hi Bethna, me sambhal lunga. Woh bahar nikalta hai.
Nakul-iss buddhe ko toh mein aaj chodunga nahi.
Woh aur Tanmay bhi bahar nikalte hai. Aas Paas log ikahate hone lagte hai
Nakul:-kya be buddhe, tujhe thokhne ke liye meri hi gadi mili thi kya?
Woh uska collar pakad leta hai. Yeh dekh kar Ansh chauk jata hai aur woh car se bahar nikal ke Nakul ki aur jane lagta hai.
Nakul:- koi baat nahi, aaj mein tujhe achhe se sabak sikhata hoon
Woh usko punch karne ke liye apna hath uthata hai, per Ansh aakar Uska haath pakad leta hai.
Pehli baar Ansh aur Nakul ka aamna samna hote hai
Ansh ko Nakul se sharab ki badboo aati hai.
Ansh:- haath kabu mein rakhna seekh lo tumhare liye hi achha hoga.
Nakul:-how dare you touch me? Jante bhi ho mein kon hoon?
Ansh:-achhe se jaan gaya hoon? Bade baap ki bigdi hui aulad ho. Dekhte hi pata chalta hai. Badi gaadi aur yeh tumhara 2 paise ka ghamand.... yeh sab chikh chikh ke bata rahe hai that you are nothing else but just a brat
Nakul- oh, lagta hai mujh per details mein research ki gayi hai, and why not? After all I'm THE Nakul Mehra Ladkiyan or tum jaise ladke marte hai mujhe per. Tum bhi un mein se hi ek ho. Mujhe tumhare age ke moves bhi achhe se pata hai, Wese bhi tumhara character toh tumhe dekhkar hi samajh aa gaya tha.
Yeh sunkar Ansh ko bahot bada shock lagta hai.
Nakul:- let's go baby..
Woh dono jane lagte hai. Tab Ansh uske kandhe per haath rakhta hai Jese hi Nakul pichhe dekhta hai, Ansh use ek jordar thappad maar deta hai. Kuchh log yeh photos click karne lagte hai. Nakul ko us per gussa aata hai
Tanmay:- how dare you asshole..
Ansh Tanmay ko aur bhi jordar thappad marta hai
Ansh:- har ladke ko apne jesa mat samajhna jo paison ke liye kisi ke sath bhi so jayen, Kaka, police ko phone lagaiya. Wese bhi yeh laad sahab, sharab pikar driving kar rahe hai, ab jurmana to bhrna hi padega.
Police ka naam sunkar Tanmay gabhara jata hai
Ansh:-ya to tum innhe inke nuksan ki bharpai karo, ya phir jail jane liye taiyaar ho jao, choice is yours
Nakul ki aankho mein gussa saaf saaf dikhai de raha hai. Woh apne wallet mein se paise nikakar driver ke haath mein rakhta hai. Woh aur Tanmay jane lagte hai. Jate hue bhi Ansh aur Nakul ek dusre ko gusse se ghur rage hai.
Ansh office pahuchta hai. Sab log use ajeeb tarike se dekh rahe hai. Woh unhe ignore karte hue apni desk tak jata hai, Tab Riva uske pass jaati hai.
Riva:- you are Ansh, right?
Ansh:- yes.
Riva:- wow manna padega tumhe. First day per aadha ghanta late kon aata hai?
Ansh:- actually, raaste mein koi problem ho gai thi
Riva: yeh bahane me accept kar lungi, Vyom sir nahi. Jao bulava aaya hai, Vyom sir ne bulaya hai.
Woh usse Vyom ke cabin ki directions deti hai.
Vyom apne cabin mein apna kaam kar raha hai. Tab peon uske liye pani lekar aata hai. Per galati se woh glass gir ke tut jaata hai.
Peon:- maaf kar dijiye sir, galati se ho gaya. Mein abhi saaf kar deta hoon.
Vyom:- relax, Ho jati hai galati. Don't get hyper. Saaf kardo. It's okay
Woh saare kaach utha leta hai
Peon:- mein yeh pani saaf karne ke liye mop lekar aata hoon.
Woh waha se chala jata hai. Ansh cabin ke bahar tak aata hai aur
bhagwan se pray karta hai.
Ansh:- hey Devi Maiya, sambhal lena.
Woh knock karta hai aur Vyom use andar aane ko kehta hai. Ansh dheere dheere andar jaata hai. Ab tak kisi ne ek dusre ko nahi dekha hai. Ansh ka pair pani per padta hai aur woh fisalne lagta hai. Per end waqt per Vyom aakar use sambhal leta hai. Ansh uski baahon mein girta hai and woh dono eye lock share karte hai.
Aankhon mein teri...
Ajab si, ajab si, adaayein hain
Ho...
ankhon mein teri...
ajab si, ajab si, adaayein hain
Dil ko bana dein jo patang
Saansein ye teri vo hawaayein hain
Aankhon mein teri...
Ajab si, ajab si, adaayein hain
Ho…
Chapter_02
Ansh Vyom ki baahon mein hai. Dono ek dusre ko dekhe jaa rahe hai.
Ansh:-sir...
Par Vyom nahi sunta hai.
Ansh (jara jor se):-sir....
Vyom achanak se Ansh ki aawaz sunkar chauk jata hai aur use chhod deta hai. Ansh janeen per gir jaata hai.
Vyom:-oh I'm sorry. Let me help you to get up.
Ansh:- no it's okay, 'll manage.
Who khada honeka try 2-3 baar karta hai but baar baar paani mein fisal jata hai. Yeh dekhkar Vyom bina use puchhe uska haath pakad leta hai aur use khada karta hai. Tab koi knock karta hai. Who peon hai. Woh andar aakar paani saaf karke chala jaata hai.
Vyom-you are Mr. Ansh, right?
Ansh:-yes sir.
Vyom:- Table per ek paper pada hai, uthao ise.
Ansh woh paper uthata hai aur padhne lagti hai.
Vyom:-you are fired.
Yeh sunkar Ansh ko bahot bada shock lagta hai.
Ansh:- what? But aise kaise? Abhi mujhe yaha join kare ek ghanta bhi nahi hua.
Vyom:- ho gaya. Abhi abhi aapne yaha 15 minutes jo time pass kiya hai...
Ansh:- woh to 15 minutes huye na?
Vyom:- for your kind information, you are 45 minutes late. So 45+15= 60 minutes 1 hour. So you may leave now.
Ansh:- aise kaise leave now? Mene kiya kya hai sir?
Vyom:- I just said, you are 45 minutes late. Aaj. Tumhara joining day tha, right? Tum first day hi 45 minutes late ho, future mein to na jaane kya hoga? Sorry I can't afford that
Ansh:- are but isme meri to galti hai hi nahi. Woh raaste mein mera accident ho gaya tha.
Vyom Ansh ko uper se niche tak dekhta hai.
Vyom:- yeh kaisa accident tha? Na to tumhara haath tuta, na hi pair? Tumhare kapdo per mitti ka namo-nishan nahi hai. Can you explain?
Wait, you don't need to waste my time. Just leave.
Ansh:- nahi, mein yaha se kahi nahi jaunga.
Vyom:- excuse me?
Ansh:- ha, mein kahi nahi jaunga.
Woh apne kaan pakad leta hai aur uthak baithak karne lagta hai,
Vyom yeh sab dekhte hue table per hi beth jaata hai.
Ansh(uthak bethak karte hue):-sir sachchi bol raha hoon, meri koi galti nahi hai. Mein toh ghar se ek ghanta pehle hi nikal raha tha, tabhi achanak meri neighbour aa gayi. Unke ghar mein dudh, chini aur chai patti khatam ho gayi thi. To waha thoda late ho gaya. But uske baad mein jo bhaaga hoon? Raaste mein traffic bhi nahi tha, sachchi. Per phir jo ho na mere saath... kya batau aapko?
Vyom:- Nahi nahi please batao. Mein to yaha free hi betha hoon. In fact, bahar jo log baithe hai, woh bhi time pass hi karte hai.
Ansh:- thik hai toh main batata hoon.
Woh abhi bhi uthak bethak kar raha tha.
Vyom:- okay stop stop stop. Tumhe ek chance mil sakta hai.
Yeh sunkar Ansh bahot khush ho jaata hai
Ansh:- thank you, thank you, so much sir.
Vyom:-I said, ek chance mil sakta hai.
Ansh:- Aap boliye to sahi, mein kuchh bhi karne ko ready hoon.
Vyom side mein padi ek file uthata hai aur use Ansh ki aur fekta hai.
Vyom-catch it.
Ansh file catch kar leta hai.
Vyom:- iss file mein jitne bhi loopholes hai, sabhi dhundh lo aur yeh job lelo.
Ansh:- done, ho jayega.
Vyom:-1 ghante ka time hai tumhare pass. Get back to.....
Ansh puri baat sune bina hi apne desk ki aur bhagata hai.
Vyom:- ajeeb ladka hai.
Avantika aur uski maa, Mrs. Kapur Avantika ke kamre mein hai.
Mrs. Kapur biscuits kha rahi hai aur Avantika use ajeeb tarah se dekh hai.
Avantika:- yaha ghar mein itna bada kaand ho gaya hai aur aapko khane ki Padi hai?
Mrs. Kapur(haste hue):- kaand aur Mehra Niwas ka to purana naata hai, isme nayi baat kya hai? Bhul gayi apne chhote dewar(Nakul) ko? jab tak 2-4 kaand na karde, uska din pura nahi hota.
Avantika:- exactly, per mujhe to yakin nahi ho raha.. iss baar Alisha? Uske jesi sidhi sadi aur chupchap rehne wali ladki aisa kuchh kar sakti hai, mujhe yakin nahi ho raha.
Mrs. Kapur:- akshar shant paani gehra hota hai.
Tab Avantika ko vomiting hone lagti hai, toh wo bhag kar bathroom mein chali jati hai. Thodi der baad woh bahar nikalti hai.
Mrs. Kapur:- kya hua? Sab theek hai na?
Avantika:- ha ha, sab thik hai.
Mrs. Kapur:- achha mein ab chalti hoon. Kuchh aur bhi khana padega.
Woh jane lagti hai, toh galati se uska per dustbin se lagta hai aur saara kachra bikhar jaata hai. Yeh dekhkar Avantika gabhara jaati hai. Mrs. Kapur kachre ki aur dekhti hai tab Avantika chillate hue uske pass aati hai.
Avantika:- maa, kya kar rahi ho? Dekh Ke chalo na...
Mrs. Kapur:- ha ha, tu toh aise behave kar rahi hai jese ki iss dustbin mein tera koi bada raaz dafan hai.
Avantika:- aisa kuchh nahi hai. Agar aap niche jaa rahi ho toh mini (servant) ko bhej dena, yeh saaf karne k liye.
Mrs. Kapur waha se chall jati hai. Tab Avantika us dustbin mein se pregnancy test kit uthati hai.
Avantika:- ise kahin aur fekhna padega. Kisi ko pata nahi chalna chahiye ki main pregnant hoon.
Ansh apni desk per betha hai aur Vyom ki di hui file study kar raha hai. Uske saath ek aur paper hai, jisme legal transactions ki list hai. Tab Riva waha aati hai. Uske saath aur 2-3 employees hai.
Riva:- Ansh, ham log canteen jaa rahe hai, tu bhi chalna.
Par Ansh response Nahi karta hai. Riva phir se puchhti hai. Ansh haath hila kar mana kar deta hai. Woh log chale jate hai.
Ansh:- oh god, 1 ghanta pura hone mein sirf 15 minutes baki hai aur yaha kuch bhi pata hi nahi chal raha. Ansh jaldi kar, werna 15 minutes baad sach mein woh letter uthakar yaha se nikalna padega. Mata rani, please madad karo.
Tab uski nazar ek doubtful entry par padti hai.
Ansh:- ohhhhhh, yeh kya chakkar hai. Yeh 1,50,000 ki entry transaction history mein hai, per iss file mein toh iska namo-nishan nahi hai. Woh aur jyada check karti hai toh pata chalta hai ki transaction history mein 1,50,000 ki entry 2 baar hai, per account file mein uski entry nahi hai. Woh khush ho jata hai aur desk per bethe bethe ki dance karne lagta hai.
Aas Paas ke log use dekhne lagte hai.
Ansh:- mr. Vyom Mehra, aa raha hai Ansh Sharma puri shaan ke saath.
Woh khada hokar royal andaaz mein Vyom ke cabin ki aur jane lagta hai. Woh door knock karta hai, per koi jawab nahi aata. Woh phir se knock karne jaata hai tab ek peon aakar use rokta hai.
Peon:- are yeh aap kya kar rahe ho? Sir, gussa karenge?
Ansh:- usme nayi baat kya hai? Logo ko hobby hoti reading books, listening to music, playing cricket, but inki hobby hai gussa karna.
Peon:-woh chahe kuchh bhi ho, aap abhi sir se Nahi mil sakte.
Ansh:- mera milna important hai. Ek ghanta khatam hone mein sirf 2 minute baki hai, usase pehle mujhe yeh file unhe submit karna hai. Werna meri job jayegi.
Peon:-nahi nahi, abhi sir ek important call per hai. Unho warning di hai ki kol unhe disturb na kare.
Vyom sangita se phone per baat kar raha hai.
Vyom- maa, aap tension mat lo. Me abhi aata hoon. Mein Alisha se baat karunga. Mein use samjhaunga. Woh meri baat kabhi nahi talegi.
Sangita:- tum kisi se baat nahi karoge. Mene apna fesla le liya hai.
Vyom:- kesa Fesla?
Sangita:- tum ghar aao, ham baad mein baat karte hai.
Vyom:- mein abhi aata hoon.
Woh phone rakh ke bahar ko aur jane lagta hai. Ansh bhi darwaje ke exact samne khada hai. Vyom jese hi darwaja kholta hai bhi Ansh andar jane lagta hai.
Ansh sir abhi bhi ek minute baki hai.
Per woh galati se Vyom se takrata hai aur dono ek sath gir jate hai. Ek baar phir se romantic song play hota hai.
Vyom use ishare se uthne ko kehta hai. Per Ansh ko samajh nahi aata. Vyom Ansh ko halka sa dhakka dekar side mein kar deta hai aur khud bahar ki aur jane lagta hai. Ansh bhi khada hokar uske pichhe pichhe jane lagta hai. Vyom Nakul ko call karta hai
Ansh: sir, mujhe pata chal gaya hai ki iss file mein garbad kaha hai.
Nakul call receive karta hai.
Vyom- naku, jaldi se ghar pahoch.
Nakul-bhai, mein raste mein hi hoon, abhi pahoch raha hoon.
Ansh:- sir, ek baar toh meri baat sun lijiye.
Ansh ki aawaz sunkar Nakul ko bahot bada shock lagta hai.
Vyom:- will you please just shut up? Dekh nahi rahe ho mein important call per hoon? File mere cabin mein rakh dena, mein dekh lunga. And don't worry, tumhara job final.
Yeh sunkar Ansh bahot khush ho jata hai.
Nakul:-bhai, abhi abhi jo ladke ki aawaz thi woh.....
Vyom:-tum yeh sab chhodo, jaldi se ghar pahocho.
Woh phone rakh deta hai. Vyom dekhta hai ki Ansh abhi bhi wahi khada hai.
Vyom what?
Ansh:- nothing sir.
Vyom-then get back to your work.
Woh waha se chala jata hai. Ansh khushi ke mare wahi dance karne lagta hai.
Mehra Niwas mein sab log living room mein khade hal.
Mrs. Kapur (to sangita)- aapne sabko yaha yunn bulaya hai? Kuchh khane ke liye mangwaya hai kya?
Sangita gusse se uski aur dekhti hai.
Rakhi:- ab batayegi aap? Sabko yaha kyu ikaththa kiya hai?
Tab tak Vyom aur Nakul bhi waha aate hai. Vyom sabko achhe se milta hai. Shakti use australia wall deal crack karne ke liye badhai deta hai.
Sangita:- mene ek fesla liya hai
Dadi:- kesa fesla?
Sangita:-;mene aur inhone(vishal) yeh decide kiya hai ki ham Alisha ko iss family se disown karte hai. Yeh sunkar Rakhi aur shakti khush ho jate hai. Baki sab chauk jate hai.
Rohan:-but maa....
Sangita:- my decision is final. Aaj shaam ko press conference bulakar ham yeh announce kar denge.
Sangita(to Vyom)- agar mein tumhari life ka ek decision tumhare behalf per loon, toh tumhe koi problem nahi haina?
Vyom- maa, mene apni life ka har ek decision dene ka haq aapko already de diya hai.
Sangita khush ho jaati hai.
Vyom-but kya aap meri ek baat maan sakti hai?
Sakshi:-bolo kya baat hai?
Vyom:- please yeh press conference kal tak postpone kar dijiye. I mean aaj shaam ko meri ek important meeting hai toh mein press conference mein present nahi reh paunga, isiliye.
Sangita:-theek hai. Tumhare liye itna toh kar hi sakti hoon. Woh smile karke waha se chali jati hai. Sab log chale jate hai..
Nakul:- chal kya raha hai dimaag mein?
Vyom kuchh soch raha hai.
Nakul:-wese aapne bataya nahi uss ladke ke baare mein?
Vyom uski aur shaq bhari nazron se dekhta hai.
Chapter_03
Vyom aur Nakul car mein kahi jaa rahe hai. Nakul car drive kar rahe hai.
Vyom:- wese tu uss ladke ke baare mein baar baar kyu puchh raha tha? Sach sach bata baat kya hai?
Nakul:- koi baat nahi hai bhai seriously. Aapko mujh per yakin nahi hai?
Tab Nakul ko woh scene yaad aata hai, jab Ansh ne use thappad mara tha...
Nakul:- aap meri chhodo, apni batao. Badi maa se ek din ka time Mangne ke pichhe wajah kya hai?
Vyom:- seriously are you asking this? I don't know ghar wale Alisha ke baare mein kya soch rahe hai? Mujhe pura yakin hai meri bahen aisa kadam kabhi nahi uthayegi. Baat jarur kuchh aur hai. Aur yeh toh mein 24 hours mein pata laga hi lunga. Mujhe office mein thoda kaam hai, woh me khatam kar loon, phir shuru karte hal police police khelna.
Dono office pahuchte hai.
Nakul:- bhai aap andar jao, mein abhi aaya.
Vyom:- ha ha, jaise teri girlfriend mar hi jayegi agar usne ne teri aawaz nahi suni toh.
Avantika apne kamre mein kisi se baat kar rahi hai. Darwaja bandh hai.
Avantika:- Doctor, 2 din baad ki appointment confirm hai na?
Doctor:- yes, your appointment is confirmed.
Avantika:-ok, mein aa jaungi, bas yeh baat meri family mein kisi ko pata nahi chaini chahiye. Tab pichhe se darwaja khulta hai. Avantika gabhara jati hai.
Avantika:- mein aapse baad mein baat karti hoon.
Darwaje per Mrs. Kapur khadi hal. Wo andar aati hai.
Mrs. Kapur -konsi baat family mein pata nahi chalni chahiye?
Avantika fumble karne lagti hai.
Avantika:- mein apni dost se baat kar rahi thi.
Mrs. Walia:- dekh mein tujhe sidha sidha warn kar rahi hoon. Tune dekha na abhi bahar kya hua? Tumhari saas ne apni beti ko disown karne se pehle 2 baar bhi nahi socha. Tu toh phir bhi bahu hai. Agar tune koi bhi galati ki, tujhe toh woh kachcha chaba jayegi aur dakaar bhi nahi legi.
Avantika: thik hai, aapne keh diya aur mene sun liya. Aap bhi sun lijiye. Me kuchh galat nahi kar rahi hoon.
Woh waha se chali jati hai Vyom apne cabin tak aata hai Woh dekhta hai ki Ansh wahi side mein ek chair per betha hai. Jese hi Vyom waha aata hai who khada ho jaata hai
Vyom- tum yaha kya kar rahe ho?
Ansh-sir aapko yeh file dikhani thi na?
Vyom are you crack or what? Maine bola tha file mere cabin mein rakh dena, Don't tell me jab se me gaya hoon tabse tum yahi bethe ho,
Ansh(dheere se)-tabse yahi hoon sir.
Vyom- kya ladke ho yaar tum.
Who hasne lagta hai. Yeh dekhkar Ansh ko achha lagta hai. Dono andar jate hai. Ansh Vyom ke pass jaakar use file ki entries dikhata hai. Hawa ki wajah se Ansh ke baal Vyom ke chehre per aa rahe hai. Vyom baar baar unhe pichhe kar rahe hai. Ek baar Ansh yeh dekh leta hai. Dono ke face ek dusre se kaafi kareeb hai. Nakul dheere dheere Vyom ke cabin ki aur aa raha hai.
Ansh:-sir entries file mein hai.
Vyom file mein dekhne lagta hai. Nakul Vyom ke cabin ke pass aata hai.
Ansh:-yeh shakti khanna naam ke aadmi ne 3 lakh ka gafla kiya hai.
Yeh sunkar Vyom aur Nakul dono chauk jate hai, Nakul ko phir se Ansh ki aawaz yaad aati hai.
Nakul:- yeh awaz to wahi hai. Who dheere se thoda darwaja kholta hai aur Ansh ka chehra dekhkar shock ho jaata hai.
Vyom-kya bakwas kar rahe ho? Tumhe pata bhi hai shakti khanna kon hai..
Ansh:- sir, mein thodi bol raha hoon? Yeh sabhi entries bol rahi hai.
Vyom uske haath se file aur woh paper le leta hai aur check karne lagta hai.
Nakul [khud se]:- what the hell? Yeh do kodi ki ladka hamare office mein? Ise abhi iski aukat dikhata hoon. Woh andar jane lagta hai tab uske phone per ek message aata hai. Who ruk jata hai. Uske dost Uday ka message hai.
Uday-yaar, social media per yeh tera video bahot tezi se viral ho raha hai.
Nakul woh video dekhta hai. Iss video mein woh scene hai, jab Ansh ne Nakul ko thappad mara tha. Nakul yeh video dekhkar chauk jaata hai.
Vyom- thik hai tum apne desk per jao, mein dekh leta hoon.
Ansh bahar ki aur aane lagta hai. Nakul bahar hi khada hai. Lekin jese hi Ansh darwaja kholta hai, Nakul waha nahi hai. Thodi der baad Vyom aur Nakul car mein hai. Dono alag alag soch mein pade hai.
Nakul:- agar woh video ghar mein se kisi ne dekh liya toh?
Vyom:- aakhir chachu ko 3 lakh rupees ki aesi kya jaroorat aa gayi thi..unhe kisi ko bina bataye lene pade? kya karu? Unse direct puchhu?
Saamne se ek truck aa raha hai. Truck driver phone per baat kar raha hai, uska bhi dhyaan raste per nahi hai. Jab truck nazdik aa jaati hai tab Nakul ki nazar truck per padti hai aur woh gabhara jata hai. Woh Vyom ko inform karta hai. Vyom turant stearing mod leta hai. Woh side mein car rokta hai.
Nakul-are you okay? Laiye mein drive kar leta hoon.
Vyom-no I'm fine.
Thodi der baad Vyom aur Nakul Viraj ke ghar par khade hai. Samne Viraj ke maa baap khade hai..
Nakul: dekho uncle, jyada time pass mat karo. Jaidi se Viraj aur Alisha ko bulao.
Vyom use ishare se chup rehne ko kehta hai.
Viraj dad:-beta mein yahi toh batane ki koshish kar raha hoon. Kal raat se Viraj ka koi ata pata hi nahi hai.
Vyom aur Nakul chauk jate hai
Vyom:- matlab Viraj kal raat se ghar hi nahi aaya?
Viraj dad:-nahi. Mene police station mein report bhi likhway, per who log keh rahe hai ki 24 ghante se pehle missing report nahi likh sakte.
Vyom:- kya ham Viraj ka kamra dekh sakte hai?
Viraj dad:- aaiye.
Viraj ke papa, Vyom aur Nakul Viraj ke kamre mein jate hai. Nakul pure kamre ki talashi lene lagta hai. Vyom dekhta hai ki Viraj ke sare kapde Uski almirah mein aese ke aese pade hai.
Nakul:- bhai, iska to saara ka saara saaman aese ka aesa hai
Vyom:- mein bhi yahi soch raha hoon.
Nakul:- toh phir yeh bhaga kese?
Viraj dad:- mein bol raha hoon, woh bhaga nahi hai. Mera beta aesa nahi kar sakta, Mujhe darr hai, woh kisi bade khatre mein hai.
Yeh sunkar Vyom aur Nakul gabhara jate hai.
Vyom:- matlab Alisha bhi?
Night hoti hai. Viraj aur Alisha ek jungle area mein bhaag rahe hai. Unke pichhe kuchh gundey pade hai. Ek ke haath mein gun hai. Dono ki haalat bahot kharab hai. Woh log gundo se nazrein bachakar zaadiyon ke pichhe chhup jaate hai. Alisha ro rahi hai.
Alisha:- pata nahi ghare wale mere baare mein kya soch rahe honge? Pata nahi ab mujhe unke saamne apni baat rakhne ka moka milenga bhi ya nahi?
Viraj:- bilkul milega. Mujh per yakin rakho. Tumhe kuchh nahi hoga. Tumhe sahi salamat ghar pahuchana meri zimmedari hai.
Alisha use gale lagti hai.
Ansh fresh hokar apne kamre mein aata hai aur bed per bethti hai.
Ansh:- thank god, kam se kam job haath mein toh hai. Agar us sarfire boss ne sach mein mujhe fire kar diya hota toh?
Woh side table per rakhi book uthats hai aur padhne lagta hai. Tab achanak se ek khidki ka kaach tutata hai aur kagaz mein lapeta hua paththar aakar uske bed ke pass girta hai. Woh gabharakar bahut jor se chillata hai. Woh khidki ke pass jakar dekhta hai per niche koi nahi hai. Woh wapis jakar who patthar uthata hai aur woh kagaz nikalti hai.
Usme likha hai I AM BACK. Yeh sunkar Ansh bahot jyada gabhara jaati hal.
Ansh yeh kon kar sakta hai?
Tab uske dimag mein sirf ek insaan ka chehra aata hai. Uska ex- boyfriend prajwal. Yeh naam soch kar hi who gabhara jaata hai.
Ansh nahi nahi, woh yaha kese ho sakta hai? Who toh agra mein hai.Oh god yeh kya ho raha hai?
Ansh, Vyom aur Nakul teeno apne apne kamre mein hai aur apne apne problems ki wajah se pareshan hai
Next morning
Alisha aur Viraj ek khule maidan mein behosh pade hai Tab dheere dheere Alisha ki aankh kholti hai. Who dekhti hai ki saamne 2 gundey khade hal. Ek ke haath mein gun hai. Alisha bahot gabhara jaati hai Woh Viraj ko uthati hai.
Gunda 1:- bahot ho gai bhagam-bhaag. Ab dono apne aakhiri safar ke liye taiyaar ho jao.
Dono khade ho jaate hai. Viraj khade hote waqt apne haath mein thodi mitti bhar leta hai. Woh mauka dekhkar dono ki aankho mein mitti daal deta hai. Phir woh uss aadmi ke haath se gun chhinane lagta hai
Haathapai mein woh gun chhutkar side mein gir jaati hai. Dono gundey Viraj ko maarne lagte hai. Tab Alisha woh gun utha leti hai.
Alisha:- chhod do use, werna mein goli chala dungi.
Gunda 1:- dekho, woh gun hai, koi khilona nahi. Goli chal jayegi.
Alisha:- mein bhi yahi keh rahi hoon, goli chal jayegi, chhod do use.
Gunda 2(to Gunda 1)-tu dekh kya raha hai, jakar uske haath se gun le le
Gunda 1 Alisha ki aur aage badhne lagta hai. Tab Alisha trigger daba deti hai. Gunda 1 ko goli lag jaati hai. Alisha gabharakar Gunda 2 ko bhi goli maar deti hai. Woh shocked state mein wahi beth jaati hai. Viraj uske pass aakar use sambha ta hai. Woh uske haath se gun le leta hai.
Alisha:- yeh mene kya kar diya.
Viraj:- tumne kuchh nahi kiya, yeh jo kuchh bhi hua hai yeh mujhse hua hai.
Woh aaspass dekhta hai toh waha ek telephone booth hai
Ansh apne ghar breakfast kar raha hai. Tab use kal raat ka incident yaad aata hai. Woh plate aisi hi chhod ke kitchen mein jakar hand wash karta hai. Phir woh apni bag lene apne kamre mein jaata hai. Uske bag ke niche ek chitthi rakhi hai. Usme likha hai, "AAJ OFFICE MEIN MULAQAT HOGI, PURANI YAADEIN TAAZA HO JAYEGI, SEE YOU SOON Aalu...
Yeh padhkar Ansh shocked ho jaata hai.
Ansh:- Aalu? Iss naam se toh mujhe sirf Prajwal hi bulata, matlab who yahi mumbai mein hai? Per use iss ghar ka address, meri office ka address, yeh sab kese pata?
Vyom apne cabin mein hai aur woh kisi se phone per baat kar raha hai.
Vyom- no inspector, I can't take the risk. Waha meri bahen khatre mein hai, uske saath kabhi bhi, kuchh bhi ho sakta. How can I be so calm?
Inspector: aap tension mat lo, ham abhi investigation start kar dete hal
Vyom please, and koi bhi lead milti hai, pehle mujhe inform kijiye.
Who phone rakh deta hai. Ansh apni desk per hai aur apna kaam kar raha hai. Pichhe se Nakul dheere dheere uske taraf aa raha hai. Uski aankho mein gussa hai. Ansh ko bhi ehsaas hota hai ki koi uske pichhe aa raha hai. Woh gabhara jaata hai. Tab use aaj subah mili chiththi ke words yaad aate hai. Woh darr ke maare apni aankhe bandh kar deta hai. Nakul uske kaafi kareeb aa jaata hai.
Ansh(khud ko):- kitna daregila Ansh? Tu jitna darega, Uski himmat aur jyada badhegi. Waqt aa gaya hai, ek aur baar ussse samna karne ka Lekin iss baar tu woh purana Ansh nahi rahega. Woh firmly khada hoti hai. Woh jese hi pichhe mud ta hai, waha koi nahi hai. Woh chauk jaata hai. Uski ghabrahat dur se Uska ex-boyfriend Prajwal dekh raha hai. Woh Ansh ko aese dekhkar bahot khush hota hai.
Prajwal :- ek baar firse hogi mulaqat, per iss baar mein hoon aur bhi jyada khatarnak...
Nakul chalte hue lobby mein aata hai. Uske phone ki ring baj rahi hai.
Nakul:- agar abhi yeh phone nahi aata toh uss Ansh ko uski aukat pure staff ke saamne dikhata. Per ye number hai kiska Woh call receive karta hai. Saamne Alisha us se phone per baat karte hue ro rahi hai. Nakul uski aawaz pehchan leta hai.
Nakul:- Alisha, kaha hai tu? Aur tu ro kyu rahi hai?
Alisha:- bhai, woh sab mein abhi nahi bata sakti. Ham log bahot Badi musibat mein pade hai. Sirf aap hi hame bacha sakte hai
Nakul- tu bata mujhe tu hai kaha, mein abhi aata hoon.
Alisha:- but please Vyom bhai ya ghar mein se kisi ko kuchh mat batana. Vyom apne cabin mein betha hai. Tab use Ansh ki baat yaad aati hai,
jab usne kaha tha ki shakti mehra ne 3 lakh ka gafla kiya hai. Woh shakti ko call karta hai.
Vyom:- chachu aapse milna hai. Urgent hai. Ghar par nahi kahi bahar.
Chapter_04
Nakul us jagah aata hai, jaha Alisha aur Viraj hai. Woh un dono ke paas aata hai. Alisha rote hue Nakul ke gale lagti hai,
Nakul:- tu ro kyu rahi hai? Bata to sahi baat kya hai?
Nakul (to Viraj):- agar tune kuchh bhi galat kiya hai na toh trust me, tujhe yahi gaad dunga, woh bhi zinda Alisha unn do gundo ki laash ki aur finger point karti hai. Yeh dekhkar Nakul shocked ho jaata hai.
Nakul:- kya hai yeh sab?
Alisha:- woh mein
Viraj:- goli maine chalai thi.
Nakul ko gussa aata hai. Woh Viraj ka collar pakadta hai. Nakul bola tha na maine. Agar teri koi bhi galati hogi to yahi ki yahi zinda gaad dunga. Teri himmat kese hul aesa kuchh karne ki? Do you have any idea? Ab teri wajah se meri bahen inn sab mein fas sakti hai.
Woh use punch kame jaata hai per Alisha use rok leti hai Alisha yeh jhooth bol raha hai bhai, goli mene chalai thi.
Nakul- what the hell is going on? Yeh blame ek dusre per lene se dono mahan nahi ban jaoge. Jo bhi hua hai mujhe sach sach batao, to iska solution nikal sake.
Alisha use puri baat batati hai.
Alisha:- bhai ab kya hoga? Mujhe toh bahot darr lag raha hai. Agar police ko kuchh pata chal gaya toh?
Nakul:- kisi ko kuchh pata nahi chalega, tu tension mat le.
Nakul(to Viraj):- kisi ko kuchh pata nahi chalna chahiye? I mean kisi ko bhi nahi, tumhare parents ko bhi nahi. Alisha, tu bhi iss baat ko bhul ja. Yaha kuchh hua hi nahi hai. Tu iss baare mein kisi se kuchh baat nahi karegi. Aage kya karna hai, mein sambhal lunga.
Vyom cafe mein Shakti ka wait kar raha hai. Shakti aur Rakhi waha aate hai.
Vyom- chachi aap yaha?
Rakhi:- ab tujhe mere husband se koi baat karni hai, woh bhi ghar se bahar. But ab kya unke saath mein bhi nahi aa sakti?
Shakti:- yeh sab baatein chhodo, Vyom tum batao, aesi kon si baat hai jo ghar par nahi ho sakti.
Vyom:- chachu, baaton ko ghumaunga nahi, direct puchhu ga. Aapko aishi konsi jaroorat aa gai thi ki aapne company account se 3 lakh rupees nikale, woh bhi kisi ko bina bataye?
Yeh sunkar Shakti gabhara jaata hai aur Rakhi chauk jaata hai.
Shakti dono se nazrein chura raha hai.
Shakti:- tumhara kehne ka matlab hai ki maine woh paise churaye hai?
Vyom:- mera woh matlab nahi tha. Per ab aapke naam se transaction hua hai to mera haq banta hai ki me aapse uss baare mein clarification loon?
Shakti:- waah, bahot sahi jaa rahe ho. Mujhe nahi pata tha ki mujhe agar kabhi paiso ki jaroorat hui toh mujhe paai paai ka hisaab bhi dena padega.
Vyom: aap galat....
Rakhi:- Vyom, I know tum pura business achhe se handle kar rahe ho,but abhi tum itne bade bhi nahi hue ki tum mere husband ko mere hi samne embarrass karo aur me chup chap sunti jau.
Vyom:- chachi , mera yeh intension kabhi bhi nahi ho sakta. Okay, I guess it was my mistake. I am sorry. Mera sirf concern yahi tha ki paiso ka misuse toh nahi hua? But agar apne liye hai toh kuch jaruri kaam ke liye hi live hoge.
Shakti:- agar yeh paise Vishal bhaisaab ne liye hote, toh tum unse yeh sawal kabhi nahi karte right?
Vyom:- aeshi baat nahi hai chachu, meni dil mein papa aur aapke liye same jagah hai. Mujhe ab realize ho raha hai, mujhe aapse yeh sawal nahi karna chahiye tha
Tab use ek call aata hai.
Vyom:- mujhe urgently office ke liye nikalna hoga.
Woh waha se chala jaata hai .
Shakti:- ham bhi chale?
Rakhi:- oh hello, kaha chale? Pehle yeh 3 lakh ka hisaab do mujhe? Aur galati se bhi emotional blackmail karne ki koshish mat karna. Woh tumhara bhatija emotional fool hai, mein nahi..
Shakti:- achha? Jab bade bade plans banati ho tab dimaag mein nahi aata ki kitna kharcha hoga? Yeh hamne jo movie banal hai na "Alisha bhaag gai" Uska budget hai 3 lakh rupees. Use aur us Viraj ko kindap karne ke liye jo gundey hire kiye they na? Un devatao ko bhog to chadana hota haina?
Rakhi:- 3 lakh ka bhog?
Shakti:- ji ha, aur kahi woh dono gundey apna muh na khol de, uske liye abhi bhi unhe 2 lakh dene honge.
Rakhi:- but agar 5 lakh mein puri ki puri Alisha disown ho jati hai, to sauda bura nahi hai.
Vyom office aata hai. Woh dekhta hai ki Ansh ki desk khali hai. Woh Riva ke pass jaata hai.
Vyom:- yeh janab(Ansh) kaha hai?
Riva:- sir actually woh washroom gaya hai.
Vyom tum mujhe ek baat sach sach batao. Yeh kuchh kaam bhi karta hai ya pura din office mein yaha se waha karta hai? Ise join kiye 2 din ho gaye, mene ek baar bhi ise apni desk per nahi dekha..
Ansh washroom mein apna face wash karta hai. Tab use mirror mein main door khulta hua dikhta hai. Woh dekhta hai ki Prajwal andar asta hai. Woh gabhara jaata hai aur pichhe dekhti hai. Prajwal darwaja andar se bandh karta hai.
Ansh:- Tum? Tum yaha kya kar raglhe ho? Jarur mera pichha karte hue aaye honge na?
Prajwal:- tum mujhe kitne achhe se jante ho na?
Woh uske kareeb aane lagta hai.
Ansh:- dekho mere pass mat aana. Tumhe ab kya chahiye? Breakup to ho chuka hai humara..
Prajwal:- wahi toh nahi karna tha. Bahot Badi galati kardi tumne woh kadam uthake.
Woh Ansh ke kaafi kareeb aa jaata hai. Ansh jor jor se help ke liye chillane lagata hai.
Vyom washroom ke pass se jaa raha hota hai, Prajwal apne haath se uska muhh bandh kar deta hai. Per Ansh uske haath ko kaat leta hai aur help ke liye chillane lagta hai. Vyom yeh sun leta hai aur shocked ho jaata hai. Prajwal phir se Ansh ka muh bandh kar deta hai.
Vyom (knock karte hue):- is everything alright inside?
Woh 2-3 baar puchhta hai per andar se kol jawab nahi aata.
Vyom:- shayad mujhe vahem hua hoga.
Woh jane lagta hai. Tab Ansh apne haath se aaspass ki cheezein idhar udhar fekne lagta hai. Yeh aawaz Vyom ko sunai deti hai
Vyom:- pakka koi na koi garbad hai.
Tab use yaad aata hai ki Riva ne bataya tha ki Ansh washroom gaya hai.
Vyom- oh god, kahi Mr. Sharma problem mein toh nahi?
Woh knock karne lagta hai aur darwaja kholne ko kehta hai. Prajwal khud ko Ansh per force karne ka try kar raha hai aur Ansh khud ko bachane ki nakaam koshish kar raha hai
Vyom:- I guess ab koi aur raasta nahi hai.
Woh darwaja todne ka try karne lagta hai. Thodi aur efforts ke baad darwaja unlock ho jaata hai. Woh dekhta hai ki Ansh behosh Pada hai
Woh daudkar uske pass jaata hai. Prajwal jo ki darwaje ke pichhe chhupa hai, woh chupke se bahar nikal jaata hai.
Vyom:- yeh toh behosh ho gaya hai ise hospital le jaana padega.
Woh use baahon mein uthakar bahar jata hai. Sabhi employees use dekh rahe hai. Woh use lekar hospital mein pahuchta hai. Samne se ek lady doctor aa rahi hai.
Vyom:- doctor, yeh achanak se behosh ho gaya hai, please examine her. Thodi der baad Vyom doctor ki cabin mein betha hai. Tab doctor waha aati hai
Vyom:- doctor, is He okay? Koi tension wali baat to nahi haina?
Doctor:- relax, relax. He is completely fine. Stress ki wajah se who behosh ho gaye the. Now He is okay. I must say, He is so lucky, jo unhe aap jaise caring boyfriend miley....
Yeh sunkar Vyom ko samajh nahi aata ki who kya aur kaise react kare.
Ansh hospital mein bed per leta hai. woh khade hone ki koshish kartahai. Tab Vyom waha aake use letne ko kehte hai.
Ansh:-sir aap yaha?
Vyom:- ji haa, tum yaha ho kyuki me yaha hoon.
Ansh:- thanks for the help. But ab aap jaiye, mein khudse manage lunga.
Vyom-l:- achha? Thik hai mujhe chalke batao.
bed se utarne chalne ki koshish karta hai per uske kadam ladkhadate hai aur woh girne lagta hai per Vyom use sambhal leta hai. Dono eye lock share karte hai...aur ek song play hota hai
नैनो कीजो बात नैना जाने है
सपनो के राज़ नैनो जाने है
नैनो कीजो बात नैना जाने है
सपनो के राज़ नैनो जाने है
दिल की बातें धड़कन जाने है
जिसपे गुज़री वो कल जाने है
हम दीवाने हो गये है आपके
हम तो बस इतना जाने है
तू मेरा है सनम तू मेरा हम दम
तेरे संग जीना अब सातों जनम(जनम)
तू मेरा है सनम तू मेरा हम दम
तेरे संग जीना अब सातों जनम(जनम)
Thodi der baad
dono normal hote hai.
Vyom:- aaya Bada, maie khudse manage kar launga. Tum 2 minute yahi ruko, mein paperwork clear karke aata hoon, phir mein khud tumhe ghar chhodne aaunga.
Ansh:- sir but itna sab kuchh ek aesi ladke ke liye jise aap jante tak nahi?
Vyom:- mein apne sabhi employees ko achhi tarah se janta hoon.
Who waha se chala jaata hai. idher Nakul ki car Mehra Niwas mein aati hai
Alisha:- nikku bhai, sach mein mujhe bahot darr lag raha hai. Mein maa papa ko kese face karungi?
Nakul:- iska matlab tu sachhi ghar se bhagi thi?
Alisha:- what nonsense? Aapko pata hai ki yeh khayaal mujhe sapnemein bhi nahi aayega.
Nakul:- exactly, I know.. aur jab tune kuchh galat nahi kiya toh darr kyu rahi hai? Aur waise bhi tera yeh bhai hai na hamesha tere saath?
Alisha:- thank you so much.
Dono andar jate hai. Sangita Alisha ko dekhkar gussa ho jati hai aur wahi ruk jane ko kehti hai.
Sangita:- ab tum iss ghar mein wapis nahi aa sakti.
Nakul:- per Badi maa....
Sangitai:- shut up. My decision is final. Mujhe pata hi tha ki tum ek na ek din ghar wapis jarur aaogi, per woh din itna jaidi aa jayega mujhe idea hi nahi tha.
Alisha:- maa, aap galat samajh rahi hai. Mein ghar se...
Sangita:- you know what? Wahi se wapis nikal jao. Iss ghar mein aane ke baare mein sochna bhi mat Woh darwaja bandh karne lagti hal
Sakshi (to Nakul):- tu andar aayega? Ya iske saath jayega.
Nakul:- ab to jab Alisha andar aayegi tabhi mein aaunga.
Sangita:- great, wishing you both good luck. Woh darwaja bandh kar deti hai. Yeh sab dur se Mrs. Kapur aur Avantika dekh rahe hai
Mrs. Kapur:- dekha? Apni khudki beti ke saath kesa behave kar rahi hai Ab khud hi soch lena ki tumhare saath kya ho sakta hai?
Avantika: oh please maa, 24*7 ek hi baat bol bol kar bore nahi ho jati?
Woh waha se chali jati hai. Ansh aur Vyom car mein hai. Halki halki baarish ho rahi hai aur andhera bhi ho gaya hai. Vyom radio on karta hai. Usme ek romantic song
play hota hai.
एहसास की जो ज़ुबान बन गए
एहसास की जो ज़ुबान बन गए
दिल में मेरे मेहमान बन गए
आपकी तारीफ में क्या कहें
आप हमारी जान बन गए
आप हमारी जान बन गए
आप ही रब आप ईमान बन गए
आप हमारी जान बन गए
Vyom turant channel change kar deta hai. Uss per bhi romantic song baj raha hai
जो तेरी खातिर तडपे पहले से ही
क्या उसे तडपाना ओ ज़ालिमा ओ ज़ालिमा
जो तेरे इश्क में बहका पहले से ही
क्या उसे बहकाना ओ ज़ालिमा ओ ज़ालिमा
आँखें मरहबा बातें मरहबा
मैं सौ मर्तबा दीवाना हुआ
मेरा ना रहा जब से दिल मेरा
तेरे हुस्न का निशाना हुआ
जिसकी हर धड़कन तू हो
ऐसे दिल को क्या धडकना
ओ ज़ालिमा ओ ज़ालिमा..
Aesa 2-3 baar hota hai. Ansh ko hasi aa rahi hai.
Ansh:- it's okay sir, I like romantic songs.
Vyom finally woh song play hone deta hai. Tab achanak se jor se bijli kadakne ki aawaz aati hai. Ansh gabhara kar Vyom ka haath pakad leta hai. Dono ek dusre ki aur pyaar se dekh rage hai. Tab aaspass ke vehicles ke horb ki wajah se dono normal ho jate hai. Ansh apna haath pichhe lekar use sorry kheta hai.
Vyom:- it's okay, happens.
Tab woh car rokta hai.
Ansh: car kyu rokh di sir?
Vyom ungli ke ishare se use apartment dikhata hai.
Vyom-m:- your blue moon.
Ansh smile karke use thank you kehti hai aur phir bahar nikalke building ke andar jane lagti hai. Woh dekhti hai ki Vyom bhi uske pichhe pichhe aa raha hai.
Ansh:- aap kaha aa rahe ho?
Vyom:- ajeeb ladke ho yaar tum? Mene tumhari itni help ki, aur tum mujhse hi rude ho rahe ho?
Ansh:- mein kab rude huya?
Vyom:- yeh abhi kya hai? Waise bhi maine tumhe kaha tha ki main tumhe ghar drop karunga. Abhi tumhara ghar toh aaya hi nahi.
Ansh hasne lagta hai.
Ansh:- chaliye. Dono chale jate hai. Woh log 102 ke pass pahuchta hai. Mrs. Pandey apne ghar se jhank rahi hai. Ansh aur Vyom kisi baat per has rahe hai aur ek high-five share karte hai.
Chapter_05
Ansh apne ghar ka lock kholta hai Dono andar jane lagte hai.
Ansh:- aaiye aur jise jo complain karni ho, kijiye. Yaha bolne wala bhi mein hoon aur sunne wala bhi mein hu hu hoon.
Yeh sunkar Vyom wahi ruk jata hai.
Vyom:- tum akele rehti ho?
Ansh:- hann, filhal to..kyu? Kya hua?
Vyom:- I guess, ab mujhe ghar jaana chahiye. You take care of yourself.
Ansh sir, aapne meri itni help ki hai, ek chai to banti hai.
Vyom:- phir kabhi pakka. And tum proper rest kama. Wese bhi kal office se chhutti hai.
Ansh:- chhutti? Kyu?
Vyom:- bhul gaye? Kal navaratri suru hone wale hai.
Ansh:- are haa, itna bada din mein kaise bhul sakta hoon? You know what? Har navaratri per mein aur meri chhoti bahen Anshika, hamare ghar per khud decoration karte they, ham khud hi mata rani ki murti pasand kame jaate hai. Puri family ek saath milkar bahot enjoy karte the
Woh thodi emotional ho jati hai.
Vyom:- are haa, ek important baat toh batana hi bhul gaya. Kal hamare Durga pandal mein maha aarti hogi. Office ka pura staff aata hai waha. And this time you are also invited.
Ansh:- but sir, mein??? Kaise???
Vyom:- I know pichhle 2 din mein tumne office mein kuchh kaam nahi kiya hai, but tum yeh kaise bhul sakte ho ki tum ab Mehra Industries ke employee ho?
Ansh:- mene inn 2 dino mein bahot kaam kiya hai.
Vyom:- kuchh bhi...
Dono hasne lagte hai.
Nakul aur Alisha Mehra Niwas ke bahar bethe hai.
Nakul:- can you imagine? Mehra family ka youth aise ghar ke bahar pada hua hai. Aur ghar mein se kisi ne ek baar darwaja khol ke dekha bhi nahi.
Alisha:- himmat bhi kon karega? Maa living room mein hi bethi hogi.
Nakul:- you know what? Kapur aunty ko bhabhi se chhup chhup kar mithai ke box maine diye hai, aur aaj unho ne bhi palla jhad diya. Ghar mein sab ke sab selfish bhare pade hai. Aur uper se yeh bhai bhi phone nahi utha rahe.
Woh phir se Vyom ko call karta hai. Vyom ka phone Uski car mein pada hua hai. Tabhi uska phone low battery ki wajah se switch off ho jaata hai.
Nakul:- hadd hai, ab toh switch off aa raha hai.
Vyom (to Ansh):- ab main chalta hu. Take care, rest properly and see you tomorrow.
Woh waha se chala jaata hai. Who ghar pahuchta hai. Nakul aur Alisha bahar bethe hai, Alisha ko dekhkar woh bahot khush ho jata hai. Alisha use gale laga leti hai.
Vyom:- tu thi kaha? Aur tu thik toh haina?
Alisha:- mein thik hoon bhai.
Woh use puri baat batane lagti hai. Nakul gabharane lagta hai.
Alisha aur phir mene......
Vyom:- aur phir tumne kya?
Nakul:- aur phir tab tak waha police aa gayi aur unn gundo ko arrest kar liya.
Vyom:- thank god. By the way, tum dono yaha kyu bethe ho?
Nakul:- apni marzi se nahi bethe, aapki pyaari aur pujniya matashri(maa) ne ham dono ko ghar mein ghusne se mana kar diya hai.
Vyom hasne lagta hai.
Vyom:- tere saath toh thik hua, tere saath aisa hi hona chahiye.
Nakul:- ab has kya rahe ho? Chalo aur hamare mahel ke dwaar khulwao.
Mehra Niwas mein ek ek karke sab log dinner ke liye aane lagte hai.
Mrs. Kapur lunch ki itni achhi khushbu aa rahi thi, yeh toh sirf mujhe hi pata hai ki maine apne aapko ab tak kaise control kiya hai. Chalo jaldi jaldi khaa lete hai.
Sangita:- you mean "DINNER KI KHUSHBU"
Mrs. Kapur:- haa wahi wahi, same to same.
Tab doorbell bajti hai. Ek servant darwaja kholta hai Vyom, alisha aur Nakul andar aane lagte hai. Alisha ko dekhkar Rakhi aur Shakti ko bahot bada shock lagta hai.
Rakhi:- yeh yaha? Kahi hamara bhanda toh nahi futne wala?
Shakti:- use thodi pata hoga ki uske pichhe gundey hamne lagaye they?
Sangita:- wahi ruk jao. Vyom, agar tumhe aana hai tum aa jao. Nikku tum bhi aa jao, per yeh ladki nahi aayegi.
Vyom:- maa ek baar sun toh lo, baat kya hai?
Sangita:- puri mumbai ko pata hai baat kya hai? Jab ise aisa kadam uthane se pehle hamara khayaal nahi raha, toh rahe uss ladke ke saath yaha kyu aai hai wapis.
Vyom:- kyuki woh ghar se bhagi hi nahi thi.
Yeh sunkar sab log chauk jaate hai, Vyom sabko puri baat batata hai. Dheere dheere Rakhi aur Shakti ka darr badhne lagta hai. Jab unhe pata chalta hai ki who gundey arrest ho gaye hai, unn dono ko bahot bada shock lagta hai. Alisha sabhi family members se milti hai.
Mrs. Kapur achha hua tum aa gayi. Tumhare bina mere muh se toh ek niwala tak nahi utarta tha.
Sangita:- oh really?
Sab log hasne lagte hai.
Vyom:- maa woh aap aaj kuchh announcement karne wall thi.
Sangita:- yes, actually mein ab woh kal karungi, navaratri ke pandal mein sabke saamne. Sab log dinner ke liye jane lagte hal. Nakul Vyom ko rokta hai.
Nakul:- waise aap itni der tak kaha they? And aapka phone bhi switch off aa raha tha.
Vyom:- woh hamari office mein ek naya employee ne join kiya hai na, aaj woh washroom mein faint ho gaya tha. So use hospital le jaana pada and all.
Yeh sunkar Nakul chauk jata hai.
Nakul (mann mein):- naya employee matlab yeh wahi hoga, Bhai use hospital tak le gaye. Ab toh mujhe usme personal interest lena hi padega.
Vyom:- puchhega nahi uska naam?
Nakul:- kya bhai aap bhi? Aapko kya lagta hai mein pura din ladko ke bare mein hi sochta hoon?
Vyom:- obviously.
Nakul:- wese kon tha woh naya employee?
Vyom (with smile):- fresh hoke aaja, dinner tera aur mera wait kar raha hai, Who waha se chala jata hai.
Nakul:- Mr. whatever your name is, tumne mujhe ek thappad mara hai na? Uski goonj tumhe abse roz sunai degi. Uthate bethte, aate jate,Sote jagte, tumhare chehre per ek hi naam ka khouf hoga. Nakul Mehra. See you soon.
Dusre din ki subah hoti hai, Avantika doctor ke cabin mein bethi hal.
Doctor:- are you sure you want to abort this child?
Avantika:- yes doctor, I'm sure. Waise kitna time lagega isme?
Doctor:- 2 hours to lag hi jayenge. Aap thoda wait kijiye, mein aapko bulati hoon.
Thodi der baad doctor Avantika ko aawaz lagati hai. Avantika jaise hi cabin ke bahar jati hai woh dekhti hai ki saamne Sangita aur doctor khade hai. Yeh dekhkar Avantika ko bahot bada shock lagta hai. Sangita dheere dheere uske kareeb aane lagti hai.
Avantika:- woh woh Mummy actually mein woh routine checkup ke liye aai thi.
Sangita:- chup chap mere saath chalo. Woh uska haath pakadkar use bahar Le jati hai. Dono car mein bethe hai.
Sangita:- tumhe pata hai iss puri duniyan mein sabse jyada lucky insaan kon hai?
Avantika (darte hue):- kon?
Sangita:- tum...
Avantika:- main kyu?
Sangita:- kyuki iss waqt tumhare pet mein Mehra family ka waris hai. Trust me, agar aisa kuchh nahi hota, toh tumhari haalat kuchh aisi hati na, jo tum apne bure se bure sapne mein bhi nahi soch sakti. Let me make one thing very clear. Agar iss bachche ko kuchh bhi hua... Kuchh bhi to tum apne aapko puri zindagi dhundhti reh jaogi.
Shaam hoti hai. Mata ke pandal achhe se decorate hua hai. Mata ki Badi si murti ki stapna huj hai. Guests aa rahe hai. Tab Vyom dekhta hai ki Ansh bhi Riva ke saath aata hai Woh use dekhta hi rehta hai.
Nakul apne dosto ke saath khada hai. Uski nazar bhi Ansh per padti hai.
Nakul:- aur yeh bakra khud halaal hone ke liye saamne se chalke aata huaa.
uske dost hasne lagte hai. Ansh devi maa ke Darshan karta hai.
Ansh:- maa aap toh sab janti ho na. Aaj tak mere bina mange hi aapne mujhe woh sab de diya hai, jiski mujhe jarurat thi. Per aaj pehli baar aapse kuchh mang raha hoon. Mein nahi chahta ki Prajwal naam ke kaale baadal phir se meri zindagi mein andhera kare. Kal jo kuchh bhi hua, woh mere liye bade shock se kam nahi tha. Aur agar aesa kuchh ho, toh mujhe inn halaat se ladne kk shakti dena.
Vyom:- sare bolo.....
Sab:- jai mata di..
Vyom:- jorr se bolo......
Sab:- jai mata di....
Pandit ji:- maha aarti ka shubh samay hone ko hai, sab log yaha aa jaye.
Sangita:- ek minute pandit ji, mujhe maha aarti se pehle ek important announcement karni hai.
Woh mic lekar announcement start karti hai.
Sangita:- aaj ke iss pavitra din per mein aap sabhi logo ko ek bahot bahot bahot special insaan se milwana chahti hoon.
Tab achanak se sabhi lights off ho jati hai aur centre mein ek spotlight on hoti hai. Waha ek ladki(Aditi Rajput) khadi hai. Woh NAGADA SANG DHOL BAAJE song par perform karti hai.
हे धिन तड़ाक धिन तड़ाक
आजा उड़ के सरात
पैरों से बड़ी ज़रा खोल
नगाड़ा संग ढोल बाजे, ढोल बाजे
धांय धांय धम धम धांय
नगाड़ा संग ढोल बाजे, ढोल बाजे
धांय धांय धांय धम धांय
रे खट खट हाँ खट खट
बाजे दस्तक वो ना
अब तक आया रे
तब से हाँ तब से, हाँ देखे राहें की
अब तू खोल बाहें आज
उमड़-घुमड़ घूमें,
रे मचले रे मोरा मन गूंजे रे
बालम के बोल
नगाड़ा संग ढोल बाजे, ढोल बाजे
धांय धांय धम धम धांय
नगाड़ा संग ढोल बाजे, ढोल बाजे
धांय धांय धांय धम धांय
Performance ke baat Aditi aur Uski maa, Reshma Rajput Sangita ke pass atti hai.
Sangita:- ladies and gentlemen, yeh hai Aditi, Vyom ki hone wali wife and Mehra family ki hone wali bahu.
Sab log taaliyan bajane lagte hai. Vyom shocked state mein hai. Who Ansh ki aur dekhta hai. Ansh bhi taaliyan baja raha hai. Woh Vyom ki aur dekhkar smile karta hai. Uske baad sangita sabko Avantika ki pregnancy walu good news deti hai. Yeh sunkar Mrs.. Kapur Avantika ke pass jaati hai.
Mrs. Kapur:- waah beta, itni Badi baat apni zaalim saas ko bata di, per apni bholi bhali maa ko nahi batayi?
Avantika:- oh please.
Sangita:- mein chahti hoon ki iss saal, mata rani ki pehli maha aarti yeh hone wali jodi kare Woh Vyom ko bulati hai, per Vyom abhi bhi shocked state mein hai.
Nakul uske pass jakar use shake karta hai.
Nakul:- are you alright? Ya abhi se Aditi bhabhi ke saath honeymoon ke liye nikal live?
Vyom:- what rubbish?
Maha aarti start hoti hai. Vyom- Aditi aarti karte hai.
Ansh Riva ke pass aata hai aur use puchhti hai ki washroom kaha hai? Yeh pichhe se Nakul sun leta hai aur uske dimaag mein ek idea aata hai. Woh turant washroom ki aur jane lagta hai. Male and female washroom pass pass hi hai. Woh dono washrooms ki name plates swap kar deta hai. Ansh usi taraf aa raha hai. Woh male washroom ki name plate dekhkar andar jane lagta hai, but woh actually mein female washroom hai. Tabhi usse female washroom me se kuch girne ki awaj aati hai jo actually mein male washroom hai.
Wah dekhta hai ki washroom ke pass ek aadmi khada hai.
Ansh:- what the hell? Tum yaha kya kar rahe ho?
Woh aadmi pichhe mudta hai. Woh Vyom hai.
Ansh:- sir, aap yaha? Sorry to say but yeh harkat aap ko shobha nahi deti.
Vyom:- what harkat? Kya bole jaa rahe ho?
Ansh:- jo dekh raha hoon, wahi bol raha hoon sir. I know yeh aapke ghar ka function hai, but iska yeh matlab to nahi ki aap bina kuchh soche samjhe ladies washroom mein ghus jaye?
Vyom:- cut the crap. Pehli baat ki ghusa mein nahi hoon, ghuse tum ho. Aur most importantly, yeh ladies washroom nahi, gents washroom hi hai. Ansh hasne lagta hai.
To be continued….

Comments
Post a Comment